Umar Asari

Administrator
Staff member
Do Shawwal ko Roza rakhna jaaiz hai!

❀Sawaal:❀
Kya eid ke doosre ya teesre din qaza ka Roza rakhna jaaiz hai?

✿Jawaab:✿
Eid-ul-Fitr sirf ek din hai jo ke ek Shawwal hai.
Lekin logon mein jo yeh mashhoor ho chuka hai ke Eid-ul-Fitr teen din hoti hai, sirf logon mein hi yeh mashhoor hai jis se kisi bhi qism ka shar’ee hukm nahi lagta.
Imam Bukhari Rahimahullah kehte hain:
Eid-ul-Fitr ke din Roza rakhne ka baab:
Phir us ke baad unhon ne Abu Sa’eed Radhiallahu Anhu se Hadees bayan ki hai ke Nabi ﷺ ne Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Azha ke din Roza rakhne se mana farmaaya hai.
(Sahih Bukhari: 1992)

To is bina par Eid-ul-Fitr ek hi din hai jis mein Nabi ﷺ ne Roza rakhna haraam qaraar diya hai. Lekin Shawwal ki do ya teen tareekh ko Roza rakhna haraam nahi balki Ramadhan ki qaza ya doosre Roze rakhna jaaiz hain.
Wallahu A’lam.

Source: Islamqa
 

Similar threads


Top