Saas-Bahu me kyun nahi ban paati hai


Umar Asari

Administrator
Staff member
Saas-Bahu me kyun nahi ban paati hai

Iski wajah ye hai ke …
1. Sabse pahle Saas apni BAHU ka dard aur uske jazbaat ko apni BETI ke dard aur jazbaat ki tarah nahi mahsus karti hai.
BETI ko insan samjti hai aur BAHU ko ROBOT.
Beti ki koi galati par Maa kahti “Beti, koi baat nahi” lekin Bahu ki kisi chhoti galati ko pahaad banakar pesh karti hai.
2. Dusari taraf, Bahu bhi apne Saas ko Maa ki tarah izzat nahi deti hai.
Aurat jis tarah Apne Maa-Baap ki khaamiyo aur galtiyo ko jis tarah chhupati aur sabr karti hai aur usi tarah apne Saas-Sasur ke khamiyo aur galtiyo Na hi chhupati hai aur Na hi sabr karti hai.
Sasural ke chhote chhote muamlaat (issues) ko Mayke me jaakar bayan karti hai is wajah se 2 khandano ke talluqaat bigad jaate hai.
Bahu, Sasural ki har chiz ko apne Mayke ke chizo se compare karti hai. Kahti hai ke mere Mayke me waisa hai lekin Sasural me aisa hai.
Maaldaar Bahu, apne sasural ko haqeer samajti hai.

Iska Hal:
1. Sabse pahle ham, zindagi me Allah ke siwa, Insano se had se zyada Ummid na rakhe.
Jab ummidein puri nahi ho paati hai to dil ko dukh pahunchta hai aur apas me naraazgi paida hoti hai.
2. Ye baat zahen me acche se rakhe ke, Rasool SallallahuA’laihiWaSallam ke siwa koi bhi Insan perfect aur masoom nahi hua karta.
Har 1 ke andar Kuchh Na Kuchh khamiya Maujud rahti hai.
Maa Baap apni awlaad ki tarbiyat is tarah kare ke wo bade hokar ek-dusre ke huqooq adaa karne wale bane.
3. Shadi se pahle DULHA-DULHAN ko SHADISHUDA ZINDAGI ke huqooq aur zimmedariyo ke bareme unko nasihat, taalim, Kitabo se ya training ke zariye bataya jaaye.
4. Shadi ke liye ladka-ladki ko Allah aur Rasool ke rahenumayi ki roshni me chuna jaaye Na ke Maal,, Khubsurati aur degree ko dekh kar.
 
Top