Apni Posts Ya Articles Ko Khoobsurat Kaise Banayen


Staff Member

Member
Staff member
Assalamu Alaikum Warehmatullahi Wabarakatuhu

Dear Members!
Is Thread Mein Aap Ko In Sha Allah Yeh Bataya Jaayega Ki Aap Apni Posts Ya Articles Ko Khoobsurat Kaise Banayen?
Sab Se Pehle Yeh Dekh Len Ki Text Editor Mein Kon Kon Si Cheezein Hain Jin Ke Zariye Aap Apni Post Ko Khoobsurat Bana Sakte Hain:
Screenshot_2018-08-21-21-09-56.png

Upar Screenshot Mein Aap Ko Kai Saari Cheezein Dikh Rahi Hongi. Ab Aayen Aik Aik Kar Ke Unke Baare Mein Jaane Ki Unka Istemaal Kis Tarah Se Kiya Jaata Hai. Hum Left Side Se Start Karte Hain.
Sab Se Pehle Left Side Par Jo Option Hai Aap Us Ke Zariye Apni Post Mein Kiye Gaye Formats Ko Khatm Kar Sakte Hain. For Example: Agar Aap Apni Post Se Colour, Bold Aur Italic Formatting Hataana Chaahte Hain To Us Ke Liye Is Option Ka Istemaal Kar Sakte Hain.
Note: Formatting Apply Karne Ke Liye Pehle Aap Ko Woh Text Ya Sentence Select Karna Hoga Jis Par Aap Apply Karna Chaahte Hain. Tamaam Formatting Mein Yahi Karna Hai.
Us Ke Baad Aapko B Dikh Raha Hoga. Is Option Ke Zariye Aap Apni Post Ko Bold Kar Sakte Hain.

Us Ke Baad Jo Option Hai Aap Us Ke Zariye Aap Apni Post Ko Italic Kar Sakte Hain.

Us Ke Baad Jo Option Hai Aap Us Ke Zariye Aap Apni Tehreer Ko Underline Kar Sakte Hain.

Us Ke Baad Jo Option Hai Aap Us Ke Zariye Aap Apni Post Ko Colorful Bana Sakte Hain. Example Dekhen:
Red blue

Us Ke Baad Jo Option Hai Aap Us Ke Zariye Aap Apni Post Ka Size Chota Ya Bada Kar Sakte Hain.

Us Ke Baad Jo Option Hai Aap Us Ke Zariye Aap Text Mein Link Attache Kar Sakte Hain.

Us Ke Baad Jo Option Hai Aap Us Ke Zariye Images Upload Kar Sakte Hain.

Us Ke Baad Jo Option Hai Aap Us Ke Zariye Smiles Laga Sakte Hain.

Us Ke Baad Second Line Mein Left Side Mein Jo Pehla Option Hai Aap Us Ke Zariye Kisi Media Ka Link Add Kar Sakte Hain. Is Ke Alawah Us Mein Mazeed Cheezein Hain.

Us Ke Baad Jo Option Hai Aap Us Ke Zariye Text Ko Center Mein Ya Right Side Mein Kar Sakte Hain. Is Ka Istemaal Khaas Taur Se Heading Ko Center Mein Laane Ke Liye Aur Arabic Text Ko Right Side Mein Laane Ke Liye Kiya Jaata Hai. For Example: Agar Aap Ki Post Mein Koi Ayat Ya Hadees Etc Arabic Mein Hai To Aap Usko Select Kar Len Uske Baad Right Align Ke Option Par Click Kar Den. Arabic Text Right Mein Aa Jaayega.

Mazeed Aap Kisi Cheez Ke Baare Mein Jaanna Chahte Hain To Pooch Sakte Hain.
 
Top