Apni sar-zameen se muhabbat karna - Watan se Muhabbat


Abdul Mussavir

New member
ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ


Apni sar-zameen se muhabbat karna Watan se Muhabbat

(حب الوطنی)

Hadees:-

كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا قَدِمَ مِنْ سَفَرٍ فَأَبْصَرَ دَرَجَاتِ الْمَدِينَةِ أَوْضَعَ نَاقَتَهُ، ‏‏‏‏‏‏وَإِنْ كَانَتْ دَابَّةً حَرَّكَهَا""
قَالَ أَبُو عَبْد اللَّهِ:‏‏‏‏ زَادَ الْحَارِثُ بْنُ عُمَيْرٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ حُمَيْدٍحَرَّكَهَا مِنْ حُبِّهَا،

"Jab Rasulallah ﷺ safar se medina wapas aate aur medina ke uchayi ilaqo par nazar padhti to apni uthni ko tez kar dete koi dusra janwar hota to usse bhi tez karate."

Imam bukhari ne kaha hai ke harith bin umair humaid se yeh lafz jyada kiye hai ke Medina ki muhabbat ki wajah se gadi tez kardete

Sahih Bukhari 1802


Shaikh Mubashar Ahmad Rabbani kehte hai :-

Is hadees se ek tashreeh yeh bhi nikali hai mufassiro ne ke :-

ومشروعية حب الوطن

Yeh hadees daleel hai hubbul watani (watan se Muhabbat) ki

Dekhe :-

فقال في (فتح الباري): وفي الحديث دلالة على فضل المدينة، وعلى مشروعية حب الوطن، والحنين إليه

Fath ul bari 5/43
Umda tul Qari 8/350
Awn al bari 3/190

Shaikh Albani رحمه الله kehte hai ke

Watan se Muhabbat to khud se Muhabbat karne jese hai ya khud maal se Muhabbat karne ke jese aur yeh sab fitri muhabbat hai aur yeh emaan ka hissa bhi nhi na hi imaan mukammal ke liye iski zarurat hai .. Aap yeh nhi dekhte ke isme sab ki muhabbat barabr hoti hai chahe muslim ho ya ghair muslim

Dekhe islamweb fatwa nom 334171

Wazahat:-

1) Dekhiye Watan se Muhabbat karna yeh insani fitrat hai jis tarh admi apni zaidad se Muhabbat karta hau usi tarh to ab youm e azadi ka jashn manana wese iski hurmat islam me nhi hai lekin is azadi me hume hadd se jyada bahr nhi nikalna jese naach gana wagrh.

2) Muhabbat me ghulu nhi krna chahiye bil-akhir hune sabse jyada muhabbat Allah aur Uske Rasul ﷺ se karni hai yeh iman ka kamil hone ka farz hai

3) Watan ki muhabbat me behke hume rashtrawadi(nationalist) nhi banna iska matlub yeh hum dusre mulq ko haqeer na samjhe aur khud ko tarjeeh na de kyu ke hadees me hai na arabi ko azami par fazilat hai aur na azami ko arabi par yeh hadees nationalism ka radd karti hai

Lehaza hume is youm e azadi ke mauqe par islamic sharait aur hudud me rehte hue rehna hai

Allah hume mehfuz rakhe

Hum Bhi Ta'mir-e-Watan me hai barabar ke shariq

Dar-o-Diwar agar tum ho to buniyad hai hum


#Happy_independenceday #youm_e_azadi Mubarak
 

Similar threads


Top