“Musalmano ….!! “Namaz-e-Fajr ka ehtemaam karo….” “Allah ki Panah me Rahoge..”


Abdul Mussavir

New member
ﺑﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ



“Musalmano ….!!
“Namaz-e-Fajr ka ehtemaam karo….”
“Allah ki Panah me Rahoge..”

Tehreer :- Shaikh Hafiz Akbar Ali Akhtar Ali Salafi
Romanised :- Abdul Mussawwir

الحمد الله والسلام على رسوله الكريم اما بعد



Mohtram qa’ireen Allah ﷻ ne apne bando par din aur raat me 5 waqt ki namazein farz ki hai agar koi banda in ko ada karta hai to Allah ﷻ-:

1) isse 50 waqt ki namaz ka sawab ada karta hai (Sahi Muslim 162)
2) us ke gunaho ko muaf karta hai (Sahi Bukhari 528)
3) uske darjaat ko buland karta hai (Sahi Bukhari 2119)
4) aur qayamat ke din us ke liye yeh namaz daleel aur nizaat(kamyabi ka sabab ) hogi ( Musnad Imam Ahmed tehqeeq Shaikh Arnout 11/141 sahi)
5) woh banda Jannat me dakhil hoga (Sahi Muslim 13)

Inke elawa aur bhi kayi fawaid se hum-kinar honge lekin aaj is tehreer me bator Khass fajr se muta’alliq chand batein ki jaygi .

Hamare mua’shre me bohut se log aise hai jo namaz fajr ka ehtemam nhi karte sote rehte hai , mo’azzin ki pukar par labbayk nhi kehte unke ahbaab jab unko baidar karte hai to unhe bhi jhadak dete hai ya unki baat ko nazar-andaazkardete hai.

Mere bhaio Aur behno
1) raat me jaldi soye
2) namaz fajr ka ehtemaam kare
3) namaz neend se behtar hai

Aur aap gaur kare :-

4) bacho ko har subah sawere school bhejne ke liye aap uth te hai lekin namaz fajr ke liye nhi kyu nhi uth te ????Aap muje btaye!! kya bacho ko school bhejna namaze fajr ada karne se behtar hai ?? Hargiz Nahi ..!!
5) Har roz subhwalking ke liye uth te haiNamaz fajr ke liye kyu nhi uth te ??
6) rozana rizq haasil karne ke liyesubhuth te hai namaz fajr ke liye kyu nhi uth te ?

Aap mujhe bataye!!! Kya rabb kin a-farmani karke rabb ko naraz karkr rozi hasil karna sahi hai ?? Hargiz Nahi!!

Mere Pyare bhaio! NamazFajr kaehtemaam karo masjidko aabad karo duniya ko akhirat partarjeeh na do Allah ko naraz mat karo,Allahko khush karo , wallahi !! me kehta hu ki aapki zindagi haseen ban jaygi.


*Namaz Fajr ka ehtemaam karne se fawaid(faide)*

*1) Banda Allah ki Panah me ajata hai*

Jundub Bin Abdullah رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulallah‎ﷺ ne farmaya ..
«مَنْ صَلَّى الصُّبْحَ فَهُوَ فِي ذِمَّةِ اللهِ»
*”Jo Subah ki namaz padhta hai woh Allah ki panah me ajata hai ..”* (Sahi Muslim 657)

Biradrane Islaam !! Aaj musalmano ke jo halaat hai usse hum sab waqif hai .Isse maddenazr rakhte hue yeh baat kahi ja sakti haike bilasubha aaj musalmano ko aik panah ki zarurat hai aur mazkurah hadees me aik azeem panaah ka zikr mojud hai aur woh hai :- *Allah ki Panah*. Ya’ni agar koibanda fajr ka ehtemaan karta hai to woh Allah ki panah me ajata hai Aur puri duniya janti hai ke jo Allah ki panah me ho use duniya aur duniya ki koi bhi cheej nuqsaan nhi pohcha sakti.

*2) Jannat me Dakhila naseeb hona*

Abu Musa Ash’ari رضي الله عنه farmate hai ke Rasulallah‎ﷺ ne farmaya :-
«مَنْ صَلَّى الْبَرْدَيْنِ دَخَلَ الْجَنَّةَ»
*”jisne 2 thandi namazein(ya’ni fajr aur asr) padhi woh Jannat me dakhil hoga ‘*.
(sahi bukhari 635)

*3) woh hargiz jahannum me dakhil nhi hoga.*

Aamarah bin rubiya رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulallah‎ﷺ ne farmaya :-
لَا يَلِجُ النَّارَ مَنْ صَلَّى قَبْلَ طُلُوعِ الشَّمْسِ، وَقَبْلَ غُرُوبِهَا
*”koi aisa admi jahannum me dakhil nhi hoga jisne suraj tul’u aur suraj guroob hone se pehle namaz padhi.(ya’ni fajr aur asr) ki.”* (Sahi muslim 634)

Imam Nawawi رحمه الله‎ ne upar ki dono hadees parin alfaaz me ba’ab(chapter) bandhe:-
بَابُ فَضْلِ صَلَاتَيِ الصُّبْحِ وَالْعَصْرِ، وَالْمُحَافَظَةِ عَلَيْهِمَا
*”Namaz fajr aur Namaz asr ki fazilat aur in dono par muhafizat (ya’ni hameshgi) ki fazilat ka ba’ab.”*


*4) Puri Raat Qiyam ul Lail karne ka sawab*

Usmaan bin Affan رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulallah‎ﷺ ne farmaya :-
«مَنْ صَلَّى الْعِشَاءَ فِي جَمَاعَةٍ فَكَأَنَّمَا قَامَ نِصْفَ اللَّيْلِ، وَمَنْ صَلَّى الصُّبْحَ فِي جَمَاعَةٍ فَكَأَنَّمَا صَلَّى اللَّيْلَ كُلَّهُ»
*”Jisne Isha ki namaz jamat se ada kari goya usne adhi raat qiya kara aur jisne ne subah ki namaz ba-zamaat ada kari goya usne puri raat namaz padhi .”* ( Sahi muslim 656)


Subhaan Allah ! yeh hamare rab ka fazl haikya ab bhi koi banda namaz fajr ka ehtemaam nhi karega? Kya aap ki neend Allah ﷻ ke azeem fazl se behtar hai ?? *Hargiz Nahi*

*5) Qayamat ke din Mukammal Noor naseeb hoga*
"لِيَبْشَرْ الْمَشَّاؤونَ فِي الظُّلَمِ إلى المساجد بِنُورٍ تَامٍّ يَوْمَ الْقِيَامَةِ"
Sahl bin Sa’ad رضي الله عنه farmate hai Rasulallah‎ﷺ ne farmaya :-
“*andhero me masjid ki tarf chalne walo ke liye qayamat ke din mukammal noor ki khuskhabri hai “* ( sunan Ibn majah 780 sahi albani )

Biradrane Islaam…!!Allah ﷻ fermata hai quran mazeed me


يَوْمَ تَرَى الْمُؤْمِنِيْنَ وَالْمُؤْمِنٰتِ يَسْعٰى نُوْرُهُمْ بَيْنَ اَيْدِيْهِمْ وَبِاَيْمَانِهِمْ بُشْرٰىكُمُ الْيَوْمَ جَنّٰتٌ تَجْرِيْ مِنْ تَحْتِهَا الْاَنْهٰرُ خٰلِدِيْنَ فِيْهَا ۭذٰلِكَ هُوَ الْفَوْزُ الْعَظِيْمُ

(Qayamat Kay) din tu dekhay ga kay momin mardo our orton ka noor unn kay aagay aagay our unkay dayen dor raha hoga aaj tumhen inn jannaton ki khushkhabri hai jinkay neechay nehren jaari hain jin main humesha ki rehaeesh hai yeh hai bari kaamyabi.
(surah hadid ayah 12)

Mufassireen qiram ne is ayah ki sharah me likha hai ke :-

“*yeh qiyamat ke din pul sirat par hoga aur yeh noor unke amal ke baqdr hoga aur yehi noor Jannat ki taraf rehnumayi karega”*. ( fath ul qadeeer imam shawkani 5/203)

Aur isi noor ki babat mo’min in alfaaz me dua bhi karenge :-



يٰٓاَيُّهَاالَّذِيْنَ اٰمَنُوْا تُوْبُوْٓا اِلَى اللّٰهِ تَوْبَةً نَّصُوْحًا ۭعَسٰى رَبُّكُمْ اَنْ يُّكَفِّرَ عَنْكُمْسَيِّاٰتِكُمْ وَيُدْخِلَكُمْ جَنّٰتٍ تَجْرِيْ مِنْ تَحْتِهَاالْاَنْهٰرُ ۙ يَوْمَ لَا يُخْزِي اللّٰهُ النَّبِيَّ وَالَّذِيْنَ اٰمَنُوْا مَعَهٗ ۚ نُوْرُهُمْ يَسْعٰى بَيْنَ اَيْدِيْهِمْوَبِاَيْمَانِهِمْ يَقُوْلُوْنَ رَبَّنَآ اَتْمِمْ لَنَا نُوْرَنَا وَاغْفِرْ لَنَا ۚ اِنَّكَعَلٰي كُلِّ شَيْءٍ قَدِيْرٌ



aey humaray rab humen kaamil noor ata farma aur humen bakhsh dey yaqeenan tu her cheez per qadir hai
(Surah tehrim ayah 8)

Qai’reen .. ! ab faisla aap ke hath me hai ke agar qayamat ke din mukammal noor chahte hai to andar munafiqat na aane de aur amaal swaleh kasrat se kare bator khas namaz fajr aur namaz isha ki pabandi karein.

*Juma ke din ba-zamaat namaz fajr ke ehtemaan par ek khasusi fazilat*

Abdullah bin Amr رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulallah‎ﷺ ne famrya ke
أفضل الصلوات عند الله صلاة الصبح يوم الجمعة في جماعة
Allah ﷻ ke nazdeek Sabse Afzal namaz jume ke din namaz e fajr ba-jamat namaz hai (saheeha 91/4)

*Namaz fajr kin logo par bhari hoti hai ?*

Namaz-e-fajr munafiqeen par bhari hoti hai jesaki Nabi ﷺ ka farmaan hai :-



Abu Huraira رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulallah‎ﷺ ne farmaya :-

لَيْسَ صَلاَةٌ أَثْقَلَ عَلَى المُنَافِقِينَ مِنَ الفَجْرِ وَالعِشَاءِ، وَلَوْ يَعْلَمُونَ مَا فِيهِمَا لَأَتَوْهُمَا وَلَوْ حَبْوًا، لَقَدْ هَمَمْتُ أَنْ آمُرَ المُؤَذِّنَ، فَيُقِيمَ، ثُمَّ آمُرَ رَجُلًا يَؤُمُّ النَّاسَ، ثُمَّ آخُذَ شُعَلًا مِنْ نَارٍ، فَأُحَرِّقَ عَلَى مَنْ لاَ يَخْرُجُ إِلَى الصَّلاَةِ بَعْدُ

Fajr aur Isha se jyada bhari munafiqeen par koi namaz nahi hai. Agarwoh log un chijo ko jaan le jo in me hai to woh zarur ayge khwah ghaseetkar aana padhe me ne irada kiya ki me moazzinko iqamat kehne ka hukm du aur ek admi ko logo ki imamat karne ka hukm du phir aag ke sholo aur unke gharo ko aag lagadu jo apne gharo se namaz fajr aur isha ki azan sunne aur namazke liye aane ki taqat rakhne ke baad bhi nahi niklte.( sahi bukhari657)

*Namaz Fajrme ghair hazriaur sahaba kiram rizwanullah ajmaaen :-*

Abdullah bin Amr رضي الله عنه farmate hai ke :-
كُنَّا إِذَا فَقَدْنَا الْإِنْسَانَ فِي صَلَاةِ الصُّبْحِ وَالْعِشَاءِ أَسَأْنَا بِهِ الظن
hum jab kisi insaan ko namaz fajr aur namazisha me gayab paate to hum usske mutalliq bura gumaan karte (Sahi ibn Hibban Hadees 2099–sahi arnout)

Hafiz ibn hajr rahi farmate hai ke :-

وَالنَّهْيُ إِنَّمَا هُوَ عَنِ الظَّنِّ السُّوءِ بِالْمُسْلِمِ السَّالِمِ فِي دينه وَعرضه وَقد قَالَ بن عُمَرَ إِنَّا كُنَّا إِذَا فَقَدْنَا الرَّجُلَ فِي عِشَاءِ الْآخِرَةِ أَسَأْنَا بِهِ الظَّنَّ وَمَعْنَاهُ أَنَّهُ لَا يغيب إِلَّا لأمر سيء إِمَّا فِي بدنه وَإِمَّا فِي دينه

jo musalmaan apne deen aur apni izzat me sahi salim ho uske mutalliq bura gumaan karna mamnu(mana) hai aur ibn umar رضي الله عنه jo farmate hai …. :- us ka maina yeh hai ke woh kisi buri cheej ki wajah se hi gayab hai aur woh yah to uske badan me hi hai ya uske deen me hai
( fath ul bari 486/10 under hades number 6068)


Qaireen !! mozu haza me yeh baat wazeh rahe ke agar koi banda namaz fajr ki hifazat karata hai har din us ka ehtemaan karta hai lekin kisi din nahi asakta to ese shaqs ki babat aap tehqeq karenge jaisa darj zail waqiya se sabit hai :-



Abu Bakr Suleman bin Abu Khasmi رحمه الله‎ se rivayat hai ke
أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ فَقَدَ سُلَيْمَانَ بْنِ أَبِي حَثْمَةَ فِي صَلاَةِ الصُّبْحِ. وَأَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ غَدَا إِلَى السُّوقِ. وَمَسْكَنُ سُلَيْمَانَ بَيْنَ الْمَسْجِدِ وَالسُّوقِ. فَمَرَّ عَلَى الشِّفَاءِ ، أُمِّ سُلَيْمَانَ. فَقَالَ لَهَا: لَمْ أَرَ سُلَيْمَانَ فِي الصُّبْحِ.

فَقَالَتْ: إِنَّهُ بَاتَ يُصَلِّي، فَغَلَبَتْهَ عَيْنَاهُ.

فَقَالَ عُمَرُ: لأَنْ أَشْهَدَ صَلاَةَ الصُّبْحِ فِي الْجَمَاعَةِ ، أَحَبُّ إِلَيَّ مِنْ أَنْ أَقُومَ لَيْلَةً.

Umar bin Khattab رضي الله عنه ne suleman binabi khasmi رحمه الله‎ ko namaz fajr me gayab paya phir aap bazar ki tarf gaye aur sulemaan رحمه الله‎ ka ghar bazar aur masjid nabwi ke darmiyan ta aap رضي الله عنه sulemaan رحمه الله‎ ki maa shifa رحمه الله‎ ke pass se gujre to un se kaha mene namaz fajr me sulemaan ko nhi dekha to unhonejawabn arz kaha ke unhone namaz padhte hue raat gujari isi wajh se un par neend ghalib agyi to umar Farooq رضي الله عنه ne kaha *me raat me qiyam karu isse jyada mehboob mere nazdeek yeh hai ke me me jamat ke sath namaz fajr ka ehtemaam karu* (Muwatta bit tehqeeq al-azmi 108/2 hadees 432)



*Namaz fajr chodne ka azaab*

Samurah Bin Jundub رضي الله عنه farmati hai ke Rasulallah‎ﷺ ek subah ko farmaya ke raat mere pass 2 aane wale aaye aur unhone mujhe uthaya aurmujh se kaha ke hamare sath chalo me unke sath chal diya phir hum aik lete hueshaqs ke pass aaye jis ke passaik dusra shaqs pathar liye khada tha aur uss ke sar par pathar phenk kar marta to uss ka sar use phat jata pathar ludak kar dur chala jata lekin woh shaqs pathar ke peche jata aur use utha lata us lete hue shaqs tak pohuchne se pehle hi uska sar thik ho jata jesa ke pehle tha.khada shaqs phir usi tarh pathar us par marta aur wohi surtein pesh aati jo pehle pesh aayi thi . Rasulallah‎ﷺ ne farmaya ke mene un dono shaqs se pucha subhan Allah ! yeh dono konhai ?
unhone jawab diya ke age badho aage badho….(Farishto ke jariye dikhayi gayi saari chije jab Nabi kareem ﷺ ne dekh li to farmaya ( me neun se kaha ke aaj raat me ne ajeebwa ghareeb chijj dekhi hai yeh chijj kya thi jo mene dekhi hai ? unhone mujhse kaha hum apko btayge :-
أَمَّا الرَّجُلُ الأَوَّلُ الَّذِي أَتَيْتَ عَلَيْهِ يُثْلَغُ رَأْسُهُ بِالحَجَرِ، فَإِنَّهُ الرَّجُلُ يَأْخُذُ القُرْآنَ فَيَرْفُضُهُ وَيَنَامُ عَنِ الصَّلاَةِ المَكْتُوبَةِ

*rahi baat pehle shaqski jis ke pass aap gye the aur jis ka sar pathar se kuchla ja rha tha yeh woh shaqs hai jo quran sikhta tha aur phir use chor diya aur farznamaz me soya rehta tha* ( Bukhari 7047)

Jo log namaz fajr se gaafil hai woh apni islaah kare rabbul alameen se bakhshish bh karlein aur namazfajr ka ehtemaam karna shuru karde wrna yaad rahe!! Jesa hi aap is duniya fanise kooch karenge uske baad mazkurah azaab se bachnekakoi rasta nhi.


*Agar kisi shaqs par neend ghalib ajaye aur woh soorajke tulu hone ke baad baidaar ho :-*


To ese shaqsko chahiye ki pehle sunnat fajr padhe phir namaz e fajr adakare dalail pesh khidmat hai :-



1) Sayedna Abu Huraira رضي الله عنه farmate haike hum ne Rasulallah‎ﷺ ke sath raat ke akhri hisseme aramke liye padhav dala phirhum soorajtulu honeke baadhi baidar hue tb Rasulallah‎ﷺ ne armaya :- harshaqs apnisawariki lagam pakad leaur yaha sechalde kyu keisjagah shaitaan hamare pass agya hai chunanche humne hukm ki tameel ki. Kuch aage ja kar aap ﷺ pani mangwa kar wuzu kiya
ثُمَّ صَلَّى سَجْدَتَيْنِ حِينَ أُقِيمَتِ الصَّلَاةُ، وَصَلَّى الْغَدَاةَ
fr azan ke baad 2 rakah sunnat ada ki aur namaz e fajr padhayi.
( Sahi ibn khuzaimabit tehqeeqal-azmi 2/165)


2) Sayedna Abu Qatadah ki hadees me hai ke :- phir bilal رضي الله عنه ne namaz fajr ki azan di aur Rasulallah‎ﷺ ne 2 rakah ada ki phir namaz fajr padhayi

Sayednaabu qatadah رضي الله عنه mazeed farmate hai :- hum me se kuch log ek dusre se khisar phisar karnelage ki hum ne namaz me jo kohtai ki hai uss ka kaffara kya hai ? is par aap ﷺ ne farmaya kya tumahre liye mere amal me namuna nhi ? Rasulallah‎ﷺ ne farmaya suno sojane me koi kohtahi nahi kohtahi uss ki hai jisne jaagne ke bawjud dusri namaz ka waqt aane tk namaz nhi padhi . pas jo shaqs istarh soya reh jaye to jab jaage aur use yaad ajaye to usi waqt use ada karle phir jab dusra din aaye to use waqt par ada kare ( sahi muslim 681)

aur sunan abu dawood me hai ke …
وَأَذَّنَ بِلَالٌ فَصَلَّوْا رَكْعَتَيِ الْفَجْرِ، ثُمَّ صَلَّوُا الْفَجْرَ وَرَكِبُوا
Bilalرضي الله عنه ne azaan kahi sab ne sunnat fajr padhi phir namaz fajr ada ki aur sawar ho gye ( abu Dawood hades 437-sahi albani)



3) Sayedna Anas bin Malik رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulallah‎ﷺne farmaya :-
إِذَا رَقَدَ أَحَدُكُمْ عَنِ الصَّلَاةِ، أَوْ غَفَلَ عَنْهَا، فَلْيُصَلِّهَا إِذَا ذَكَرَهَا»، فَإِنَّ اللهَ يَقُولُ: {أَقِمِ الصَّلَاةِ لِذِكْرِي} [طه: 14

jab tum me se koi namaz se soya reh jaye ya gafil ho jaye to chahiye ke jab use yaad aye wohnamaz padh le kyu ke Allahﷻfarmata hai :- meri yaadke waqt namaz qayim karo (taha14)

(Sahi Muslim 684)


Imam ibn rajab رحمه الله‎ farmatehai :- is hadees ke tehat who farmatehai :- yeh hadees namaz se sone wale parjab baidaarho jayeaurbhool jaanewale par jabusse yaad ajaye namaz ko qaza karne ke wujoob par dalalat karti haiaur kayi log neispaarijma bhinaqlkara hai ( fath ul bari li ibn rajab )

faidah :- sayedna abu qatadah aursayedna anaski hadees se yeh baat wajeh taur par sabit hoti hai ke jabinsaan kisi naamz se soya reh jaaye phirjab baidar ho to usiwaqt uss namaz ko ada kare kyu ki wohiusska kaffara hai ( sahi bukhari 597) lehazaagar koi shaqs namaz fajr me soya reh jaye to namaz zuhr tk use moakhir na kare jesa baaz log karte hai

Abuqatadah رضي الله عنه ki rivayat ki akhri tukde se yeh baat sabit hoti hai ke :- jis din namaz qaza ho jaaye uss k agle din use waqt parnamaz adakarnahai lekin baaz log ese hai jo adat bana lete hai har din sote rehte hai phir uth kar namaz fajr ada kartehai jab koi un par aitraazkartahaitousparsyednaanaswali rivayat pesh kar dete hai.

Mazkurame dono qism ke logo se guzarish kartahu ki tamam hadees pargaurkare aur apni islaah kare .

*Aik sunehra waqiya :-*

Masur Bin Mukhrima رضي الله عنه farmate hai :-

نَّهُ دَخَلَ عَلَى عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ مِنَ اللَّيْلَةِ الَّتِي طُعِنَ فِيهَا. فَأَيْقَظَ عُمَرَ لِصَلاَةِ الصُّبْحِ. فَقَالَ عُمَرُ: نَعَمْ. وَلاَ حَظَّ فِي الْإِسْلاَمِ لِمِنَ تَرَكَ الصَّلاَةَ. فَصَلَّى عُمَرُ، وَجُرْحُهُ يَثْعَبُ دَماً

woh(aur ek rivayat me hai ke me aur ibn abbas رضي الله عنه) umar bin al khattab رضي الله عنهke pass us raat aaye jis raat woh zakhmi hue the aap ne umar رضي الله عنه ko namaz fajr ke liye jagaya to aap ne kaha ha us shaqs ka deen me koi hissa nhi jisne namaz chod di fr aap رضي الله عنه ne namaz padhi aur aapke zakhm se khoon beh raha tha .(al moatta bittehqeeq al-azmi 53/2)

Qaireen ! islaam se shagaf rakhne wala banda janta hai ke umar Farooq رضي الله عنه ne abhi namaz fajr ki tabkeer tehrima hi thi ki ek zaalim majoosi Abu Lulu ne aap par khanjar se hamla kardia fr Aap ne Abdur rehmaan bin Awfرضي الله عنه ka hath pakad kr unko aage kara fir unhone logo ko halqi namaz padhayi jesa ki sahi bukhari me hai aur is rivayat me aur bhi kayi baate ai frr sahaba ne umar Farooq رضي الله عنه ko namaz e fajr padhne ke liye kaha jesa ke moatta wagrh ki mazkurah rivayat me hai fr aap ne bhi namaz fajr bhi ada ki aur aapke zakhm se bhi khoon beh rha tha Allah aap par karodo rehmate nazil kare ameen .



Qaireen !! Aap gaur kare

1) Ameer al mo’mineen lahu luhaan hai sahaba unko namaz fajr padhne ke liye keh rhe hai
2) Ameer al mo’mineen umar رضي الله عنه ne unse yeh nhi kaha ke mujhe thoda araam ho jaye tab padhta hu balqe kaha ha us shaqs ka deen me koi hissa nhi jisne namaz chor di
3) fir aap ne namaz padhi aur aapke zakhm se khoon beh rha tha Allah unki qabr ko noor se bhar de Ameen


Mere bhaio aur behno aaj kitne musalmaan ese hai jo sahi saalim hai tandrust hai jism me koi zakhm nhi koi takleef deh cheej nhi hai fir bhi namaz fajr se ghaafil aur maze se sote rehte hai Allah inko hidayat de .

Allah ke waste umar Farooq رضي الله عنه se us waqye se ibrat hasil kare aur usko hamesha yaad rakhe Bator khaas aapke is farmaan ko jo upar bayan hua hai aur hamesha darjazail baato ko apne dil me mehfouz rakhe ke

1) me namaz fajr kabhi nhi chod sakta kyu ki nabi ﷺ ka farmaan hai

*Aur me Allah ki panah me rehna chahta hu*

2) me namaz fajr kabhi nhi chor sakta kyu ki nabi kareem ﷺ ka farmaan hai

*Aur me jyada se jyada nekia zama karna chahta hu kyu ke mere rabb ne kaha hai
jinki nekio ke palde bhari honge to wohpasandidia zindagi me honge*(quran –alqariya 6-7)

3) me namazfajr kabhi nhi chod sakta kyu ke woh sahabi jinko nabi kareem ﷺ ne kayi martaba Jannat ki basharat sunayi unhone zakhmi hone ki halat me bhi namaz fajr ko nhi choda

Me sahi saalim hote hue kese chor sakta hu

tamam musalmano se ek guzarish

ab aakhir me aap logo se guzarish kartahu ke panch waqta namazo ka ehtemaam karo bator khaas namaz fajr ki hifazat kare wallahi !! me kehta hu agar aapne esa kiya to duniya aur akhirat dono jagah aapke liye khair hi khair hoga woh is tarah ke duniya me aap Allah ki panah me zindagi basar karenge aur aakhirat ki Allah ki Jannat me zindagi basar karenge .


Namaz ko qaeem keren aftab kay dhalney say ley ker raat ki tareeki tak aur fajar ka quran parhna bhi yaqeenan fajar kay waqt ka quran parhna hazir kiya gaya hai.

(Quran 17:78)

(جزاك اللهُ خيرًا)

31-08-2018
 
Top