Aqeeqah kis ke naam par hota hai?


Umar Asari

Administrator
Staff member
ꙮAqeeqah kis ke naam par hota hai?ꙮ

✵Sawaal:✵
Assalamualaikum wa rahmatullahi bawarakatuhu aqeeqe ka janwar insan ke naam pr zibah krna chahye ya allah ne naam pr aqeeqe ka gosht khna jaiz h ya nhi

✯Jawaab:✯
Walaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu
Aqeeqa ho ya Qurbani sirf aur sirf Allah ke naam par hoti hai.
Allah Taala ka farmaan hai:
قُلْ إِنَّ صَلَاتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ​
Tarjumah: Aap farma dijiye ke beshak meri Namaz, meri Qurbani, mera jeena aur mera marna yeh sab khalis Allah hi ke liye hai jo saare jahan ka maalik hai.
(Surah Al-An’aam, Surah No: 6 Ayat No: 162)

Ghairullah ke naam par Qurbani karna haraam hai aur jo ghairullah ke liye Qurbani karta hai woh Shirk karta hai. Mazeed tafseel is link mein dekhen:

Aap ko maloom hona chaahiye ke aqeeqe ka janwar Allah ke naam par hi zabah kiya jaata hai. Albatta woh kisi insaan ki taraf se hota hai. Aaiye isko achchi tarah se samajhte hain:
Ek cheez hai kisi ke naam par zabah karna.
Aur ek cheez hai kisi ki taraf se zabah karna.

Donon mein bada farq hai, Qurbani (ya Aqeeqe) ka janwar makhlooq mein kisi ke naam par nahi balki kisi ki taraf se zabah kiya jaata hai, chunanche Qurbani ki dua mein jahan naam padha jaata hai wahan ke alfaaz hote hain:
أَللهُمَّ تَقَبَّلْ مِنْ فُلاَن​
Yani: Aye Allah! Fulan ki taraf se Qurbani qubool farma.

Rahi baat kisi ke naam par Qurbani karne ki to Qurbani sirf aur sirf Allah ke naam par hi hoti hai chunancha Qurbani ki dua mein Allah ke naam par zabah karte huwe yeh alfaaz padhe jaate hain:
بِاسْمِ اللهِ وَاللهُ أَكْبَرْ​
Bismillah «بِاسْمِ الله» yani Allah ke naam par.

Aqeeqe ka bhi yahi masla hai ke Aqeeqah bhi sirf Allah hi ke naam par hota hai aur bachche ki taraf se hota hai na ke bachche ke naam par.

Aur raha aapka doosra sawaal “aqeeqe ka gosht khana jaiz hai ya nahi”
to us ka jawaab yeh hai ki:

Ji han, khaa sakte hain. Shari’at ne is par koi pabandi nahi lagaayi hai.
والله أعلم بالصواب​
 

Similar threads


Top