AQIDAH AUR USKE AHDAAF(TARGETS)


AQIDAH AUR USKE AHDAAF(TARGETS)
Tahreer : FAZILAT-USH-SHAIKH HAFIZ ABD-US-SATTAR AL-HAMMAD hafizahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ سُئِلَ، أَيُّ الْعَمَلِ أَفْضَلُ؟ فَقَالَ: إِيمَانٌ بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ
"RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam se daryaft kya gaya kon sa amal afzal hai? to AAP sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ALLAH aur is ke rasool par Emaan lana."(Sahih Bukhari:26)

FAWAAYED:
Lafz-e ""عقیده-AQIDAH 'Aqab' se bana hai jis ke maienay jodna aur mazboot karna hai. Sharyi istilaah mein azm biljzm aur pukhta zehen par aqeedah ka itlaq hota hai, agar zehen ki pukhtagi haq par hai to aqeedah sahih hai aur agar kisi baatil cheez par hai to aqeedah baatil kehlaye ga. Deen Islam mein sahih aqeedah mein darj zail baatein aati hain.

📗 ALLAH , is ke Firshton, Rasolon, Kitabon, Yom-e-akhirat aur achi ya buri Taqdeer par pukhta yaqeen rakhna.

📗 Jo kuch Quran aur Sunnat Sahihah se saabit hai. Is par Emaan lana aur is ki sadaqat ka yaqeen rakhna. Is mein Tawheed, Emaan, umoor ghaib, Nabuwat o Risalat, qaza o qadr aur ehkaam o akhbar sab aa jatay hain.

AQIDHA KE AHDAAF O AGHRAAZ HASEB-E-ZAIL HAI:

📗 Ikhlaas ke saath sirf ALLAH ki ibadat ki jaye aur is ke liye tareeqa RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ka ikhtiyar kya jaye.
📗 Insaan ke dil mein paida hone waali har qisam ki be-raah rawi se apni aqal o fikar aur qalb o zehen ko azaad kya jaye.
📗 Jo insaan usay apne dil mein jagah deta hai woh kabhi be cheeni aur be qarari ka khoogar nahi hota.
📗 Usay maan'ne waale ko sawab haasil karne ke liye amal-e-Saleh ka koi mauqa zaya nahi karna chahiye.
📗 Aisay bakirdar afraad tayyar kiye jayen jo ALLAH ke deen ki khatir apne har qeemti virse ko qurbaan kar den aur is silsila mein jo museebatein ayen inhen khanda-peshani se bardasht karen.
 

Similar threads


Top