ALLAAH NE RASOOLON KO KYUN BHEJA AUR KITAABEN KYUN NAAZIL KEE ?


ALLAAH NE RASOOLON KO KYUN BHEJA AUR KITAABEN KYUN NAAZIL KEE ?

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Imaam Muhammad Bin 'Abdul-Wahhaab (Rahimahullaah) ne farmaaya:

اعلم رحمك الله أن الله سبحانه إنما أرسل الرسل وأنزل الكتب لأجل التوحيد قال تعالى: {وَلَقَدْ بَعَثْنَا فِي كُلِّ أُمَّةٍ رَسُولاً أَنِ اعْبُدُوا اللَّهَ وَاجْتَنِبُوا الطَّاغُوتَ} وله خلق الجن والإنس قال تعالى: {وَمَا خَلَقْتُ الْجِنَّ وَالأِنْسَ إِلاَّ لِيَعْبُدُونِ} أي: يوحدون دليله قوله تعالى: {قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُون لا أَعْبُدُ مَا تَعْبُدُونَ وَلا أَنْتُمْ عَابِدُونَ مَا أَعْبُدُ} فإذا لم يفعله الإنسان، ويجتنب الشرك، فهو كافر، ولو كان من أعبد هذه الأمة يقوم الليل ويصوم النهار قال الله تعالى في الأنبياء: {وَلَوْ أَشْرَكُوا لَحَبِطَ عَنْهُمْ مَا كَانُوا يَعْمَلُونَ} وتصير عبادته كلها كمن صلى ولم يغتسل من الجنابة أو كمن يصوم في شدة الحر، وهو يزني في أيام الصوم.

"Jaanlo (Allaah tum par Rahem karey) ke yaqeenan Allaah (سبحانه وتعالى) ne Tawheed ke liye hi Rasoolon ko bheja aur kitaaben naazil kee, Allaah (تعالى) ka farmaan hai:

أعوذ بالله من الشيطان الرجيم
وَ لَقَدۡ بَعَثۡنَا فِیۡ کُلِّ اُمَّةٍ رَّسُوۡلًا اَنِ اعۡبُدُوا اللّٰہَ وَ اجۡتَنِبُوا الطَّاغُوۡتَ

"Hum ne har Ummat mein Rasool bheja ke tum Allaah ki ibaadat karo aur Taaghoot se ijtenaab karo." (1)

Aur isi Tawheed ke liye Jinnon wa Insaanon ko paida kiya, Allaah (تعالى) ka farmaan hai:

وَ مَا خَلَقۡتُ الۡجِنَّ وَ الۡاِنۡسَ اِلَّا لِیَعۡبُدُوۡنِ.

"Maine Jinnon aur Insaanon ko sirf meri ibaadat ke liye hi paida kiya hai."
(2)
Aayat mein LIYA'BUDOON se muraad YUWAHHIDOON hai ya'ni Tawheed.

Is baat ki daleel Allaah (تعالى) ka ye farmaan hai:


قُلۡ یٰۤاَیُّهَا الۡکٰفِرُوۡنَ. لَاۤ اَعۡبُدُ مَا تَعۡبُدُوۡنَ. وَ لَاۤ اَنۡتُمۡ عٰبِدُوۡنَ مَاۤ اَعۡبُدُ.

"Aap keh deejiye ke Aye Kaafiro ! Main ibaadat nahin karta uski jiski tum ibaadat karte ho. Na tum ibaadat karne waale ho uski jiski main ibaadat karta hoon"
(3)

Pas jab Insaan Tawheed par amal na karey aur Shirk se ijtenaab na karey toh woh Kaafir hai Agarche woh is ummat ka sabse bada ibaadat guzaar hi kyun na ho, Raat mein qiyaam karne waala aur din mein rozah rahne waala hi kyun na ho, Allaah (تعالى) Soorah Al-Anbiyaa mein farmaata hai:

وَلَوْ أَشْرَكُوا لَحَبِطَ عَنْهُمْ مَا كَانُوا يَعْمَلُونَ

"(Allaah ne 18 Anbiyaa ke naam zikr karke farmaaya) Aur agar ye Hazraat bhi Shirk karte toh jo kuch ye a'maal karte the woh sab barbaad hojaate." (4)

(Phir Shaykh ne kaha) Aur uski tamaam ibaadaat us jaisi ho jaati hai jisne Janaabat ki haalat mein baghair ghusl kiye Namaaz padhi ho ya us Rozedaar ki tarah jo garmi ki shiddat ke baawajood Rozah rahey aur Rozey ki haalat mein Zinaa ka irtekaab karle."


《 Mutarjim (translator): 'Abdul-Mudhill Hafizahullah 》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ )
_____________
References:

(1) Soorah No. 16, Al-Nahl, Aayah: 36.
(2) Soorah No. 51, Al-Dhaariyaat, Aayah: 56.
(3) Soorah No. 109, Al-Kaafiroon, Aayaat: 1-3.

(4) Soorah No. 6, Al-An'aam, Aayah: 88.
[ Source: Al-Durar Al-Saniyyah (Pdf Page No. 158, 159 ]
 

Similar threads


Top