ASL AL-DEEN (Part 02)


ASL AL-DEEN (Part 02)

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
[ASL AL-DEEN (Part 01) mein humne Asl Al-Deen kya hai ye bataa diya hai ]

• Ab hum jaan chuke hain ke Asl Al-Deen kya hai, toh aage bardhte hain aur "Allaah par Eemaan ka iqraar karne" ka kya matlab hai ? Ye jaante hain.

• Matlab ye hai ke: Allaah ke wujood par Eemaan (wa Yaqeen) rakhna ke uske hi sab se kaamil (mukammal) Sifaat hai baghair kisi nuqs wa kharaabi ke bagahir kisi kami ke aur Woh (Subhaanahu) makhlooq ko paida karne mein Akela hai aur Hukm dene mein bhi Akela hai.

• Irshaad e Baaree (تعالى) hai:

أعوذ بالله من الشيطان الرجيم
اَلَا لَهُ الۡخَلۡقُ وَ الۡاَمۡرُ

"Yaad rakho ke Paida karna aur Hukm dena sab usi ka kaam hai." (1)

• Allaah ki taraf se Hukm ya toh "Kawni" (universal) hota hai jaisa ke Woh (Subhaanahu) koi cheez ka iraadah karleta hai toh keh deta hai ke "Kun (Hoja)" toh woh hojaati hai. Aur ya toh Hukm "Shar'ee" hota hai jo usi ke liye khaas hai jaisa ke kisi cheez ko Halaal aur Haraam karna.

• Shaykhul-Islaam Ibn Taymiyyah ne farmaaya:

أصل الدين أنه لا حرام إلا ما حرمه الله ولا دين إلا ما شرعه الله ; فإن الله سبحانه في سورة الأنعام والأعراف عاب على المشركين أنهم حرموا ما لم يحرمه الله وأنهم شرعوا من الدين ما لم يأذن به الله

"Asl Al-Deen ye hai ke koi cheez Haraam hi nahin hai siwaaye uske jo Allaah ne Haraam kiya hai aur koi Deen (qaabil e qubool) hi nahin hai siwaaye jo Allaah ne Sharee'at banaayi hai. Yaqeenan, Allaah (Subhaanahu) ne Soorah Al-An'aam aur Soorah Al-A'raaf mein Mushrikeen ki mazammat kee, kyunke unhone Woh cheez ko Haraam karliya tha jisko Allaah ne Haraam nahin kiya tha aur unhone Deen mein Sharee'at saazi kee (ya'ni naye qaanoon banaaye) jiski Allaah ne ijaazat nahin dee thi." (2)

☆ Phir se dohraate hain: Asl Al-Deen kya hai ?

• Asl Al-Deen Chaar umoor par mushtamil hai:

1. Allaah par Eemaan ka iqraar karna,

2. Akele usi ki ibaadat karna,

3. Doosron ki ibaadat ko tark kardena,

4. Aur Jo Us (Subhaanahu) ka Shareek tehraate hain un Mushrkieen se baraa'at karna.

《 Mutarjim: Abd Al Mudhill Hafizahullah 》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)
_____________
References:
(1) Soorah No. 7, Al-A'raaf, Aayah: 54.
(2) Majmoo' Al-Fataawaa, Jild: 20, Pg: 357.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Emaan 0
Israr Hussain Al-Wahhabi Emaan 0
Israr Hussain Al-Wahhabi Emaan 0

Similar threads


Top