PAAKEEZEH AUR HALAAL ROZI KHAANEY AUR SHUKAR BAJALAANE KI TAKEED


Ibnatu Ali

Member
PAAKEEZEH AUR HALAAL ROZI KHAANEY AUR SHUKAR BAJALAANE KI TAKEED

بسم الله الرحمن الرحيم

◈يٰٓاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا کُلُوۡا مِنۡ طَيِّبٰتِ مَا رَزَقۡنٰكُمۡ وَاشۡكُرُوۡا لِلّٰهِ اِنۡ کُنۡتُمۡ اِيَّاهُ تَعۡبُدُوۡنَ‏۝​
Aye emaan waalon! Jo paakeezah cheezein hum ne tumhein de rakhi hain unhein khaao, piyo aur Allah ta'ala ka shukar karo, agar tum khaas usi ki 'ibadat kartey ho.
❲Surah Baqarah: 172❳

HALAAL KHAANO AUR SHAITAANI RAASTON SE BACHO:

◈يٰٓاَيُّهَا النَّاسُ كُلُوۡا مِمَّا فِىۡ الۡاَرۡضِ حَلٰلاً طَيِّبًا ۖ وَّلَا تَتَّبِعُوۡا خُطُوٰتِ الشَّيۡطٰنِؕ اِنَّهٗ لَـكُمۡ عَدُوٌّ مُّبِيۡنٌ‏۝اِنَّمَا يَاۡمُرُكُمۡ بِالسُّوۡٓءِ وَالۡفَحۡشَآءِ وَاَنۡ تَقُوۡلُوۡا عَلَى اللّٰهِ مَا لَا تَعۡلَمُوۡنَ‏۝​
Logon zameen mein jitni bhi halaal aur paakeezah cheezein hain unhein khaao, piyo aur shaitaani rah Par naa chalo, woh tumhaara khula huwa dushman hai, woh tumhein sirf buraayi aur behayaayi ka aur Allah ﷻ par un baaton ke kehney ka hukum deta hai jin ka tumhein 'ilm nahin.
❲ Surah Baqarah: 128,129❳

HARAAM KHAWAAR KI DU'A QUBOOL NAHIN HOTI:

Abu Hurairah(Razi Allahu 'Anhu) se riwayat hai Rasool Allahﷺ ne farmaaya: beyshak Allah ﷻ paak hai aur woh sirf paak cheez hi qubool karta hai, aur Allah ﷻ ne emaan waalon ko wahi hukum diya hai Jo rasoolon ko diya hai. Chunaancheh Allah ﷻ ne farmaaya: Aye mere rasoolon! paakeezah cheezein khaao aur nek 'amal karo aur Allah ﷻ ne emaan waalon se farmaaya: Aye emaan waalon! hum ne Jo paakeezah cheezein tumhein di hain un mein se khaao.

Iss ke ba'd Aap ne uss shakhs ka zikr kiya jo taweel safar karey uss ke baal poora aur khud ghubaar aalood ho woh aasmaan ki taraf haath uthaa kar yaa rab! yaa rab! kahey magar uss ki haalat ye ho ke uska khaana, peena, libaas aur har cheez haraam ho toh uski du'a kaisey qubool ho".
❲Sahih Muslim, Kitaab uz Zakaat, hadees 1015❳
 

Similar threads


Top