Assalaamualaikum Warah Matullah Wa Barkatuhu shaikh

Abdul Adil

Member
Ek sawal tha ki ehraam ki halat me Nikah kar sakte hai ya nahi ?

Kuch log Bukhari aur musnad AHMAD ki hadees pesh karte hai Ki Hamare Nabi Saw Hazrat Maimoon RA ki Shadi Halat e Ehram me huyi thi .

Muje is sawal ka jawab QURAN wa Saheeh Hadees ki roshni me de dijiye JAZAK ALLAHU KHAIRA
 
DAURAN E EHRAAM NIKAH KARNA

SAWAL : kya DAURAN E EHRAAM NIKAH kiya ja sakta hai ya nahi ? Is ke MUTA'ALLIQ WAZAHAT se likhen kyu ki KUTUB E HADEES me is MASLA ke MUTA'ALLIQ maloom hota hai ki MAHRAM AADMI NIKAH kar sakta hai jab ki doosri AHADEES me is ki MUMANI'AT bhi aayi hai , is ki WAZAHAT kar den .

JAWAB : Is MASLA ke MUTA'ALLIQ IMAM BUKHARI RAHIMAULLAH ne apni SAHEEH me 2 UNWAAN QAYAM kiye hain .

1- باب تزويج المحرم [SAHEEH BUKHARI , KITAB UL HAJJ , BAAB 12 ]
2- باب نكاح المحرم [SAHEEH BUKHARI , KITAB UN NIKAH , BAAB 31 ]

Phir unhone in UNWANAAT ke TAHET SAYYADNA ABDULLAH BIN ABBAS RAZIALLAHU ANHU se MARWI ek HADEES BAYAN ki hai

«أن النبي صلى الله عليه وسلم تزوج ميمونة وهو محرم»

Ki RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne BAHAALAT E EHRAAM SAYYADAH MAIMOONA RAZIALLAHU ANHA se NIKAH kiya hai .
[ SAHEEH BUKHARI , KITAB UL HAJJ 1837 / KITAB UN NIKAH 5114 ]

IMAM BUKHARI RAHIMAULLAH ke ANDAZ se maloom hota hai ki unke ha'n MAHRAM NIKAH kar sakta hai jab ki SAYYADNA USMAN RAZIALLAHU ANHU se MARWI ek HADEES me hai

قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «لا ينكح المحرم، ولا ينكح، ولا يخطب»

Ki RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya MAHRAM insan na NIKAH kare , na NIKAH karwaye aur na hi NIKAH ka PAIGHAM bheje .

[ SAHEEH MUSLIM 3446 ]

IS HADEES se maloom hota hai ki MAHRAM INSAN ko HAALAT E EHRAAM me NIKAH karne ki IJAZAT nahi . Hamara RUJHAAN bhi yahi hai ki MAHRAM AADMI NIKAH nahi kar sakta , is MAUQIF ki TA'EED SAYYADAH MAIMOONA RAZIALLAHU ANHA ke apne BAYAN se bhi hoti hai .

AAP RAZIALLAHU ANHA ne farmaya

«تزوجني رسول الله صلى الله عليه وسلم ونحن حلالان بسرف»

Ki RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne mujh se NIKAH kiya to us WAQT hum DONO HAALAT E EHRAAM me nahi balki HALAAL the .

[ ABU DAWOOD 1843 ]

Is SARAHAT ke PESH E NAZAR SAYYADNA ABDULLAH BIN ABBAS RAZIALLAHU ANHU se MARWI HADEES ki 2 TAAWEELE'N ki ja sakti hain .

1- SAYYADNA ABDULLAH BIN ABBAS RAZIALLAHU ANHU ka BAYAN WAHEM par MABNI hai jaisa ki SAYYADNA SA'EED BIN MUSAYYAB ( سعید بن مسیب) RAHIMAULLAH farmate hain

وهم ابن عباس في تزويج ميمونة وهو محرم

Ki SAYYADNA ABDULLAH BIN ABBAS RAZIALLAHU ANHU ko WAHEM hua ki RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne SAYYADAH MAIMOONA RAZIALLAHU ANHA se HAALAT E EHRAAM me NIKAH kiya tha .

[ ABU DAWOOD 1845 ]

Note : SHAIKH ZUBAIR ALI ZAI RAHIMAULLAH ne is ki SANAD ko ZAEEF kaha hai .

2- JAB SAYYADNA ABDULLAH BIN ABBAS RAZIALLAHU ANHU ko ILM hua to us WAQT RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM MAHRAM the . Unhone apne ILM ke MUTABIQ keh diya ki AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne HAALAT E EHRAAM me NIKAH kiya .

Baher haal hamare nazdeek MAHRAM AADMI ke liye NIKAH karna ya NIKAH karwana JAYEZ nahi . Jaisa ki AHADEES me is AMR ki SARAHAT MAUJOOD hai . Is Bina par SAYYADNA ABDULLAH BIN ABBAS RAZIALLAHU ANHU ki MAZKOORAH RIWAYAT MARJOOH ya QABIL E TAAWEEL hai . WALLAHU A'ALAM

[ FATAAWA ASHAAB UL HADEES JILD 5 SAFA 190 ]

LINK

JAZAK ALLAHU KHAIRA
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Abdul Adil Sawaal Poochen 4

Similar threads

Top