Aulaad Ke Liye Kasrat Se Dua Ka Ehtemaam Karen


Umar Asari

Administrator
Staff member
ꙮAulaad Ke Liye Kasrat Se Dua Ka Ehtemaam Karenꙮ

Apni aulaad ki achchi aur behtareen tarbiyat karne ke saath unke liye du'a karna bhi na bhoolein..
Qur'an e Kareem mein iski kayi misaalein maujood hain:-
❶ Pehli Dua:
وَأَصْلِحْ لِي فِي ذُرِّيَّتِي إِنِّي تُبْتُ إِلَيْكَ وَإِنِّي مِنَ الْمُسْلِمِينَ​
Tarjumah: Aur tu meri awlaad bhi swaalih bana, main teri taraf ruju' karta hun aur main musalmanon mein se hun..
(Surah Al-ahqaaf, Surah No: 46 Ayat No: 15)

❷ Doosri Dua:
وَإِنِّي أُعِيذُهَا بِكَ وَذُرِّيَّتَهَا مِنْ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ​
Tarjumah:Main use aur uski awlaad ko shaitaan e mardood se teri panaah me deti hun
(Surah:Aal e Imran, Surah No: 3 Ayat No: 36)

❸ Teesri Dua:
رَبَّنَا هَبْ لَنَا مِنْ أَزْوَاجِنَا وَذُرِّيَّاتِنَا قُرَّةَ أَعْيُنٍ​
Tarjumah: Aye hamare parwardigaar! tu hamein, hamari biwiyon aur aulaad se aankhon ki thandak ata farma
(Surah Al Furqaan, Surah No: 25 Ayat No: 74)

❹ Chauthi Dua:
رَبِّ اجْعَلْنِي مُقِيمَ الصَّلَاةِ وَمِن ذُرِّيَّتِي ۚ رَبَّنَا وَتَقَبَّلْ دُعَاءِ​
Tarjumah: Aye mere paalne wale! Mujhe namaz ka paaband rakh aur meri aulaad se bhi, Aye hamare rab! Meri du'a qubool farma..
(Surah Ibrahim, Surah No: 14 Ayat No: 40)

❺ Paanchween Dua:
رَبَّنَا وَاجْعَلْنَا مُسْلِمَيْنِ لَكَ وَمِن ذُرِّيَّتِنَا أُمَّةً مُّسْلِمَةً لَّكَ​
Tarjumah: Aye hamare Rabb! Hamein farmabardaar bana le aur hamari aulaad mein se bhi ek jamat ko apni itaa'at-guzaar rakh
(Surah Al Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 128)

❻ Chaththi Dua:
رَبِّ هَبْ لِي مِن لَّدُنكَ ذُرِّيَّةً طَيِّبَةً​
Tarjumah: Aye mere parwardigaar! Mujhe apne paas se paakeezah aulaad ata farma..
(Surah Aal e Imran, Surah No: 3 Ayat No: 38)

❼ Satween Dua:
وَاجْنُبْنِي وَبَنِيَّ أَن نَّعْبُدَ الأَصْنَامَ​
Tarjumah: Aur mujhe aur meri aulaad ko but-parasti se panaah de
(Surah Ibrahim, Surah No: 14 Ayat No: 35)

Hum apni aulaad ki achchi tarbiyat ke hawaale se maaddi aur hissi zara'i (zariye) iste'maal karte hain aur ek cheez par tawajjuh nahi dete.. Aur wo hai Aulaad k liye ziyadah se ziyadah du'a karna.

Allaah Rabbul Aalameen unhein naik aur saleh banaye, hamari aankhon ki thandak banaye aur apne hifz o amaan mein rakhe.
Allaahumma Aameen.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Duayen aur Zikr o Azkaar 0

Similar threads


Top