USOOL-E-EMAAN


USOOL-E-EMAAN
Tahreer : Fazilat-ush-Shaikh HAFIZ ABD-US-SATTAR AL-HAMMAAD hafizahullah
Romanised: Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

أَنْ تُؤْمِنَ بِاللَّهِ، وَمَلَائِكَتِهِ، وَكُتُبِهِ، وَرُسُلِهِ، وَالْيَوْمِ الآخِرِ، وَتُؤْمِنَ بِالْقَدَرِ خَيْرِهِ وَشَرِّهِ
"Emaan yeh hai ke tum ALLAH , is ke Firshton, is ki nazil kardah Kitabon, is ke Rasoolon aur Yom-e-Akhirat ko maan lo. Neez achi buri taqdeer par yaqeen rakho."(Sahih Muslim:93)

FAWAAYED:
Lafz emaan, 'aman' se mushtaq hai jis ka lughwi maane aman o itminaan ke hain. Is lughwi maane ke pesh-e-nazar momin usay kaha jata hai, jis se log apne maal o jaan aur izzat o aabaroo ke mutaliq sukoon o itminan mehsoos karen. Chunanche RASOOLULLAH sallallaho alaihi wasallam ka irshad graami hai:

"Momin woh hai jis se log apne jaan o maal ke mutaliq be-khawf hoojayen."(Musnad Ahmed:2/206)

Emaan ki sharayi tareef yeh hai ke RASOOLULLAH sallallaho alaihi wasallam apne RABB ki taraf jo usool o arkaan aur ehkaam o masail le kar aaye hain, un ki tasdeeq ki jaye aur us ki sachaai ko dil mein bithaya jaye. Phir zabaan se is tasdeeq ka izhaar aur apne deegar aaza se is ka amli saboot muhayya kya jaye. Goya emaan ke liye teen cheezon ka hona zaroori hai.

1)Dil se tasdeeq
2)Zabaan se iqraar
3)Deegar a'azaa se iltezaam-e-amal o mutabiat

Yahood ko RASOOLULLAH sallallaho alaihi wasallam ki Maarfat o tasdeeq thi aur munafiqeen mein bazaahir iltezaam-e-amal o mutabiat bhi mojood tha. Is ke bawajood momin nahi hain.

Mazkoorah baala hadees ke pesh-e-nazar emaan ke usool o arkaan che(6) hain, jin ki tafseel hasb-e-zail hai.


ALLAH par emaan laanaa
Farishton ko tasleem karnaa
ALLAH ki kitabon par yaqeen rakhna
ALLAH ke Rasoolon ko maan'na
Youme-e-Aakhirat ki tasdeeq karna
Achi yaa buri Taqdeer par emaan laanaa

Tamam ANBIYA KIRAAM alaihimussalam emaan ke inhi che(6) usoolon ki tashreeh ke liye tashreef laaye, inhi ke liye ALLAH TA'ALA ne kitaaben nazil farmayen, un tamam usoolon ko maan'ne se imaan ki takmeel hoti hai.
 

Similar threads


Top