AURAT KA TANG AUR SUFAID LIBAAS PAHEN'NA


AURAT KA TANG AUR SUFAID LIBAAS PAHEN'NA
Fatwaa : SHAIKH IBN BAAZ rahimahullah (former Grand Mufti of KSA)
Romanised: Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAAL:
Kya aurat tang aur sufaid libaas pahen sakti hai?

JAWAAB:
Aurat ka ghair mardon ke samne shaahrahon ya marketon mein aisa tang libaas zaib-tan kar ke jana jo dekhne walon ke liye jism ka akkaas ho manaa hai kyunkay aisa libaas nangay pan ke mutradif aur fitnah angaiz hai. Aisa libaas badi shr'angezi ka bayes ban sakta hai. Agar kisi ilaqe mein safaid libaas mardon ki alamat aur shi'aar ho to is soorat mein aurton ke liye safaid libaas pehnana mardon ke sath mushabihat ki wajah se mana ho ga. Tehqiq NABI sallallahu alaihi wasallam ne mardon se mushabihat ikhtiyar karne wali aurton par laanat farmai hai. Warna mehez safaid libaas pahannay mein koi harj nahi .
 

Similar threads


Top