KYA ILME-EDEEN SIRF KITABON SE HAASIL KARNAA JAAYEZ HAI?


KYA ILM-E-EDEEN SIRF KITABON SE HAASIL KARNAA JAAYEZ HAI?
ھل یجوز تعلم الدین من الکتب فقط؟
SAWAAL:
Kya ulama ke bajaye sirf kutub se almِ-e-deen haasil karna jaaiz hai khasosan jabke ulama ki qillat ke baais un ke hathon ilm haasil karna dushwaar ho. Aur aap ki kisi qaail ke is qoul ke baray mein kya raye hai :

من كان شيخه كتابه فخطؤه أكثر من صوابه‘
"Jis ki daleel is ki kitaab ho to is ki ghalatiyan is ke sawab se ziyada hoti hain."

SHAIKH MUHAMMED BIN SAALIH USAIMEEN rahimahullah farmate hain:
JAWAAB:
Bilashuba ilm to ulama karaam ke paas se aur kotub se hi haasil kya jata hai. kyunkay zahir hai kisi aalam ki kitaab khud isi aalam ke hi qaim maqam hai. goya ke woh apni kitaab ke zareya se aap se baat kar raha hota hai. agar ulama se barah e raast ilm haasil karne mein uzr darpesh hon to kotub se ilm haasil karlena chahiye.

Lekin ulama kiraam se ilm haasil karna kotub ke zarye ilm haasil karne ki ba'nisbat Aqrab hota hai. kionke jo kotub ke zarye ilm haasil kar raha hota hai usay ziyada mushaqqat bardasht karni padti hai. Aur bohat azeem jehad o mahnat darkaar hoti hai. Aur is mehnat ke bawajood bhi is par baaz umoor makhfi reh satke hain jaisay woh sharai qawaid o zawaabet jo ke ahal-e-ilm waza karte hain. Lazim hai ke baqadar imkaan kutub ke sath sath is ka marja ahal-e-ilm mein se bhi ho.

Albata jo kehta hai ke:

من كان شيخه كتابه فخطؤه أكثر من صوابه‘
"Jis ki daleel is ki kitaab ho to is ki ghalatiyan is ke sawab se ziyada hoti hain."

To yeh nah mutlaq tor par sahih hai aur nah hi mutlaq tor par faasid.

Agar insaan har milne wali kitaab se ilm haasil karta hai to bilashuba is ki ghalatiyan bohat hongi. Lekin agar koi kotub se taleem haasil karne ke silsilay mein Saqahat , Amanat o ilm mein maroof ulama ki kotub par aetmaad karta hai, to aisay ki ghalatiyan ziyada nahi hoti, balke woh aksar baton mein sahih hota hai.

(As-Sahwat-ul-Islamiyyah - Zawaabit wa Taujeehaat lil-Usaimeen: Sawaal No.86, page :150-151)
38

39

40
 
Last edited:

Similar threads


Top