بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

Farz Namaz Mein Imam Ko Luqma Dena

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Namaz ke dauran agar Imam Qirat bhool jaaye ya us pe Qirat mushtabah ho jaaye (yani woh confused ho jaaye) to peeche shareek namazi ko luqma dena (yani parhte waqt agar Imam quran mein kuch bhool jaaye to usey batana) chahiye chahe farz namaz ho ya Nafl. Sunnat se is ki bahut saari daleelen milti hain. Kuch aik neeche bayan ki jaa rahi hain.
Pehli Daleel:
Musawwar bin Yazeed Maliki Radhiallahu Anhu se riwayat hai:
أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ يَحْيَى وَرُبَّمَا قَالَ - شَهِدْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقْرَأُ فِي الصَّلاَةِ فَتَرَكَ شَيْئًا لَمْ يَقْرَأْهُ فَقَالَ لَهُ رَجُلٌ يَا رَسُولَ اللَّهِ تَرَكْتَ آيَةَ كَذَا وَكَذَا ‏.‏ فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ هَلاَّ أَذْكَرْتَنِيهَا ‏"‏ ‏
Tarjumah: Main RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein haazir huwa, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam namaz mein qirat farmaai (yani Quran parha) aur us mein se kuch Aayaat choot gayin jinhein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne tilawat nahi farmaya to aik aadmi ne (namaz ke baad) kaha: Aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Aap ne falan falan aayat chor di hai. Is par Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke tu ne mujhe yaad kiyun na dilaya.
(Abu Dawood: 907, Is Hadees ko Allama Albani Rahimahullah ne Hasan kaha hai)

Doosri Daleel: Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat hai:
أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم صَلَّى صَلاَةً فَقَرَأَ فِيهَا فَلُبِسَ عَلَيْهِ فَلَمَّا انْصَرَفَ قَالَ لأُبَىٍّ ‏"‏ أَصَلَّيْتَ مَعَنَا ‏"‏ ‏.‏ قَالَ نَعَمْ ‏.‏ قَالَ ‏"‏ فَمَا مَنَعَكَ ‏"‏
Tarjumah: Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam namaz parha rahe they. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam par Qirat mushtaba ho gayi (yani bhool gaye ya agay peechay ho gaye.) Jab namaz se farigh huwe to Hazrat Ubai bin Ka’b (Hafiz e Quran) ko farmaya ke tu ne mere saath namaz parhi hai? Jawab diya ke haan! Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir tujhe kis cheez ne (luqma dene se) mana kiya.
(Abu Dawood: 907 B, Is Hadees ko Shaikh Albani, Allama Shaukaani aur Imam Nawawi Rahimahumullah ne Sahih kaha hai)

Pehli Hadees Imam ke qirat bhoolne se mutalliq hai aur doosri Hadees Qirat ke mushtabah (yani Qirat mein confusion) se mutalliq hai.

Teesri Daleel:
عَنْ أَنَسٍ : كُنَّا نَفْتَحُ عَلَى الْأَئِمَّةِ عَلَى عَهْدِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ
Tarjumah: Hazrat Anas Radhiallahu Anhu se riwayat hai woh farmate hain ki hum log RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamane mein Imamon ko luqma diya karte they.
(Mustadrak Hakim, Kitab us Salat, Jild: 1 Page No: 410. Imam Hakim Rahimahullah ne isko Sahih kaha hai. Aur Imam Zahbi Rahimahullah ne unki muwafiqat ki hai)

◈ Allama Shaukaani Rahimahullah likhte hain: Is Hadees ki sanad ke Rijaal Siqat hain.
(Nail ul Awtar: 2/379)

Chauthi Daleel:
عَنْ أَبِي عَبْدِ الرَّحْمَنِ السُّلَمِيِّ قَالَ : قَالَ عَلِيٌّ : إذَا اسْتَطْعَمَكَ الْإِمَامُ فَأَطْعِمْه
Tarjumah: Abu Abdurrehman Sulami se riwayat hai ke Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ne farmaya: Aye Abu Abdulrehman! Agar Imam tujh se luqma ka taalib ho to luqma de.
(Baihaqi)

Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah ne Abu Abdurrehman Sulami ki riwayat ko sahih qarar diya hai.
(Talkhees ul Habeer: 1/284)

In Ahadees aur Aasaar ke alawah Imam ke bhoolne par «سُبْحَانَ اللَّهِ» kehne wali Hadees bhi daleel hai. Isi tarah se Bukhari aur Muslim ki riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam aik bar Zohar ya Asr ki namaz mein bhool gaye aur do hi rakat par salam pher diya. Sahaba ke yaad dilaane par Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne phir se do rakat parhi aur Sajda e Sahu kiya.

Logon mein jo yeh mash-hoor (famous) ho gaya hai ke Muqtadi Imam ko luqma nahi de sakta ya teen (3) aayat ke baad agar Imam bhool jaye to luqma nahi dena chahiye, yeh sab sahih nahi hai. Hanfi Fiqah ke according bhi Imam ko bhoolne ya Qirat mushtaba hone par luqma de sakte hain. Yahan yeh yaad rahe ke jis riwayat mein luqma na dene ka zikr hai woh Zaeef hone ke saath Sahih Ahadees ke khilaaf hai is liye us se istedlaal karna durust nahi hai.

والله أعلم بالصواب
 

Similar threads


Top