AYIMAH ARBA'A (CHAAR IMAM) AUR (DIGAR ULAMA)NE TAQLEED SE MANA FARMAAYA HAI!


AYIMAH ARBA'A(CHAAR IMAM)
AUR (DIGAR ULAMA)NE TAQLEED SE MANA FARMAAYA HAI!

Tahreer: MUHADDIS HIND O PAAK IMAM-UL-ASR HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI rahimahullah
(AL-HADIS, Shumaarah No.55, page:2-3)
Roman Script : Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Shaikh-ul-Islam Imam Ibn Taimiyyah rahimahullah ne farmaaya:
((وَأَمَّا أَقْوَالُ بَعْضِ الْأَئِمَّةِ كَالْفُقَهَاءِ الْأَرْبَعَةِ وَغَيْرِهِمْ؛ فَلَيْسَ حُجَّةً لَازِمَةً وَلَا إجْمَاعًا بِاتِّفَاقِ الْمُسْلِمِينَ بَلْ قَدْ ثَبَتَ عَنْهُمْ - رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ - أَنَّهُمْ نَهَوْا النَّاسَ عَنْ تَقْلِيدِهِمْ))
"Aur rahe baaz imamon ke aqawaal masalan fuqhaye arba'a waghairuhum to Musalmaanon ke ittefaaq se ye nah laazim daleel hain aur nah ijmaa balke un(imamon) se ALLAH raazi ho, ye saabit hai ke unho logon ko apni taqleed se mana farmaayaa thaa."(Majmoo Fatawa li-Ibn Taimiyyah:20/10)

Shaikh-ul-Islam ke is qaul ka maf'hom raqim al-huroof(zubair ali zai rahimahullah) ne 2000 men darje zail alfaaz me bayaan kiya thaa: "Ye chaaron(Abu Hanifah, Maalik, Shafayi, Ahmed) mujtahid aur digar ulama ne tamaam muslamanon ko taqleed se mana karte hain kama taqaddam, (page:29, aur Fatawa Ibn Taimiyyah:20/10,211) lihaza ye saabit howa ke deobandi hazraat un chaaron mujtahid ke mukhaalif hain."(Ameen Awkadwi ka ta'aqub, Matbua May/2005, page:38)

Hafiz Ibn al-Qayyim rahimahullah ne bhi muqallideen ke imamon se taqleed ka mana karna naqal kya hai. Dekhiye: Ilaam-ul-Mauqiyeen(2/228,200,207,211) balke Hafiz Ibn al-Qayyim rahimahullah ne farmaaya:
((وَإِنَّمَا حَدَثَتْ هَذِهِ الْبِدْعَةُ فِي الْقَرْنِ الرَّابِعِ الْمَذْمُومِ عَلَى لِسَانِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ((
"Aur (taqleed ki) ye bid'at chothi sadi (Hijri) me paida howi, jis ki mumaaniat RASOOLULLAH sallallahu alahi wasallam ne apni mubaarak zabaan se farmayi hai." (Ilaam-ul-Mauqiyeen:2/208, Published:Daar-ul-Jeel, Bairut)

Agar koi kahe ke Hafiz Ibn Taimiyyah rahimahullah ne jhot bola hai(!) to arz hai ke Sarfaraaz Khan Safdar Deobnadi ne likha hai:
"Akasar ahle bid'at Hafiz Ibn Taimiyyah rahimahullah aur Hafiz Ibn Qaiyyim rahimahullah ki rafee(buland) shaan me bahut hi gustaakhi kya karte hain magar Hazrat Mulla Ali al-Qari al-Hanafi unki tareef in alfaaz se karte hain:
((کَانَامِن اَکَابِراَھلُ السُّنَّة وَالجَمَاعَةوَمِن اَولِیَاءِھَذِہِ الاُمَّة))
"Ke Hafiz Ibn Taimiyyah aur Hafiz Ibn Qaiyim rahimahumallah dono Ahle Sunnat wa al-Jama'at ke akaaber me aur is Ummat ke auliya me the."(Jamaa al-Wsaayil:1/208, Published:Misar)"

Aur Hafiz Ibn Qaiyim rahimahullah ki tareef karte karte Imam Jalaluddin Siyooti (al-Mutawaffa:911 Hijri) phole nahi samaate (Baqiyyah al-wa'aat)." (Al-Minhaj-ul-Waazeh yani raahe raast, page:187)

Agar koi kahe ke fulaan Imam masalan Khateeb Bughdaadi rahimahullah wahghairah ne taqleed ko jaayez qaraar diya hai!

To is ka jawaab ye hai ke unho ne lughawi taqleed (masalan jaahil ka aalim se mas'alah poochna) jo ke dar-haqiqat islaahi taqleed nahi hai, ko jayez qaraar diya hai, jabke Ayimah Arba'a aur deegar imamon ne islaahi taqleed (Masalan aakhen band karke, baghair soche samajhe daleel ke Ayimah Arba'a me se sirf ek imam ki taqleed) se manaa farmaaya hai lihaaza un dono me koi ta'aruz(takraao) nahi hai.

Imam Abu Hanifah ne ek din Qaazi Abu Yousuf ko farmaya:
((وَيحَكَ يَا يَعْقُوب لَا تَكْتُب كُل مَا تسمع مني فَإِنِّي قد أرى الرَّأْي الْيَوْم وَأتركه غَدا وَأرى الرَّأْي غَدا وأتركه بعد غَد))
"Aye Yaaqob (Abu Yousuf) teri kharaabi ho, meri har baat nah likha kar, meri aaj ek raye hoti hai aur kal badal jaati hai. Kal dosri raaye hoti phir pason woh bhi badal jati hai. "( Taareekh Ibn Mayeen:2/607, No.2461, aur is ki sanad SAHIH hai. / Taareekh Baghdaad lil-Khateeb:13/424)

Imam Shafayi rahimahullah ne farmaaya:
((كُلُّ مَا قُلْتُ، وَكَانَ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ خِلافُ قَوْلِي مِمَّا يَصِحُّ، فَحَدِيثُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَوْلَى، وَلا تُقَلِّدُونِي))
"Meri har baat jo NABI sallallahu alahi wasallam ki Sahih Hadis ke khilaf

ho(chod do) pass NABI sallallahu alahi wasallam ki hadis sab se ziyadha bahtar hai aur meri taqleed nakaro."(Aadaab al-Shafayi wa Manaqibho li-Ibn Abi Hatim, page:51, aur is ki sanad HASAN hai)

Imam Ahmed Bin Hanbal rahimahullah ne farmaaya:
((لاتقلد دینک احدامن ھولاء۔۔۔الخ))
"Apne deen me, un me se kisi ek ki bhi taqleed nah kar…"(Masaayil Abi Dawod, page:277)


(24/October/2008)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Muhammed Ali Owais Manhaj 0
Muhammed Ali Owais Manhaj 0

Similar threads


Top