Ayyaame Beez Ke Rozo Ki Fazilat Aur Aurato Ke Liye Khususi Faidah


❃❃❃Ayyaame Beez (Har Month Ke 13, 14, 15) Ke Rozo Ki Fazilat Aur Aurato Ke Liye Khususi Faidah❃❃❃
Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
(
Islamic Dawah Center Taif Saudi Arab)
______________________

Roza Roohani Quwwat Ka Aham Mazhar Hai Allah Ne Quran Mein Roza Ko Taqwa Ka Sabab Qaraar Diya Hai. Aaj Ke Pur Fitan Daur Mein Qadam Qadam Par Aazmaaish Hai Buraiya Urooj Par Hai Aankh Band Hone Tak Hi Dil Aur Dimaag Hath Aur Pair Mehfooz Rehte Hai Aankh Kholte Hi Insaan Gunaaho Me Doob Sa Jata Hai 17-18 Gahnte Bedaari Ke Aalam Mein Aankho Se Kano Se Zabano Se Hath Aur Pair Se Aur Dil Aur Dimaag Se Na Jane Kis Qadar Gunaaho Ka Sudoor Hota Hai Tanhaiyo Ke Gunaah Aur Bhi Ruswa Kun Hai Allah Hamare Haal Par Raham Farmaae.

Roza Imaani Quwwat Faraham Karta Hai Zabaan Aur Dil Hath Aur Pair Aankh Aur Kaan Aur Jism Aur Rooh Ko Paakizah Banata Hai Aur Aazaa e Badan Ko Roze Ki Halat Mein Rab Ki Raza Ka Taalib Banata Hai Is Liye Roza Ka Khaas Ahtimaam Karne Se Aaj Ke Pur Fitan Daur Me Khudh Ko Shaitaani Hamle Aur Zamane Ke Shar Aur Fitan Se Mehfooz Rakh Sakte Hai Ramazan Ka Farz Roza Apni Jagah Saal Mein Ek Baar Aata Hi Hai Iske Ilawah Ek Musalmaan Jis Qadar Ho Sake Apni Saholat Ke Hisaab Se Nafli Roze Ka Ahtimaam Karta Rahe.

Rasoolullaah ﷺ Ne Mutadid Qisam Ke Nafli Roze Rakhe Hai Unme Ek Qisam Ayyame Beez Ke Rozo Ki Hai Jin Ki Badi Fazilat Aai Hai Rozo Ki Umoomi Fazaail Apni Jagah Khususiyat Ke Sath Bhi Ayyame Beez Ke Rozo Ke Fazaail Waarid Hai Nabi ﷺ Ne In Par Hameshgi Barti Hai Aur Apni Ummat Ko Bhi Iski Takeed Farmaai Hai Ayyame Beez Ke Rozo Ki Fazilat Se Mutalliq Nabi ﷺ Ka Farmaan Hai.

صوم ثلاثة أيام صوم الدهر كله
Tarjumah: Har Mahine Mein 3 Din Roze Rakh Lena Is Se Zamane Bhar Ke Roze Rakhne Ka Sawaab Milta Hai.
(Sahih Bukhari: 1979)

Ayyame Beez Ke Roze In Ibaadat Aur Rozo Mein Se Hai Jin Ki Rasool ﷺ Ne Wasiyat Farmaai Hai Chunacha Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Bayan Karte Hai:

اؤصاني خليلي بثلاث لا ادعهن حتى اموت صوم ثلاثة أيام من كل شهر وصلاة الضحى ومن على وتر
Tarjumah: Mujhe Mere Jaani Dost (Nabi ﷺ) Ne 3 Chizo Ki Wasiyat Ki Hai Ke Maut Se Pehle Unko Na Chhodu Har Month Ke 3 Din Roze, Chashat Ki Namaaz Aur Witar Padh Kar Sona.
(Sahih Bukhari: 1178)

Abdullaah Bin Amar Bin 'Aas Razi Allahu Anhu Bayan Karte Hai Ke Rasool ﷺ Ne Mujhe Farmaya:

وان بحسبك ان تصوم كل شهر ثلاثة أيام فإن لك حسنة عشر أمثالها فإن ذلك صيام الدهر
Tarjumah: Har Month Mein 3 Din Roza Rakh Liya Karo Kuy Ke Har Neki Ka Badla 10 Gunaah Milega Aur Is Tarah Yeh Sari Umar Ka Roza Ho Jaae Ga.
(Sahih Bukhari: 1975)

Dil Ki Safaai Aur Uski Paakizgi Ke Liye Yeh Roze Nihayat Hi Aham Hai Rasool ﷺ Ka Farmaan Hai:

إلا اخبركم بما يذهب وحر الصدر صوم ثلاثة أيام من كل شهر
Tarjumah: Kya Main Tumhe Seena Ke Dhoka Aur Waswasa Ko Khatam Kar Dene Wali Chiz Ke Muta'alliq Na Bataau? Har Month Ke 3 Roze Rakhna.
(Sahih Nasaai: 2384)

Is Hadees Me "وحر الصدر" Se Muraad Dil Ka Waswasa Ya Bugaz Aur Keena Ya Adawat Aur Dushmani Ya Shadeed Gussa Hai.

Subhanallah Kitni Aham Tareen Hadees Hai Dilo Ki Paakizgi Ke Liye Jo Moamin Hamesha In 3 Rozo Ka Ahtimaam Kare Uska Dil Saaf Suthra Rahe Ga Woh Jhagde Aur Ladhaai Se Door Rahe Ga Dil Ke Khatarnaak Bimaari Bugaz Aur Hasad Keena Aur Kapat Gaiz Aur Gazab Aur Chugli Aur Geebat Se Allah Ki Taufeeq Se Bachta Rahe Ga.

Hazar Ke Ilawah Safar Mein Bhi Rasoolullaah ﷺ Yeh Roze Rakha Karte The Abdullaah Bin Abbas Razi Allahu Anhuma Se Marvi Hai:

كان لا يفطر أيام البيض في حضر ولا سفر
Tarjumah: Aap ﷺ Hazar Aur Safar Me Ayyame Beez(13,14,15) Ka Roza Nahi Chhoda Karte The.
(Silsilatus Sahihha: 580)

Ayyame Beez Ke Roze Qamri Taarikh Ke Hisaab Se Har Month 13,14,15 Taarikh Ko Rakhna Hai Aap ﷺ Ne Abu Zar Razi Allahu Anhu Se Farmaya:

يا أبا ذر إذا صمت من الشهر ثلاثة أيام فصم ثلاث عشرة وأربع عشرة وخمس عشرة
Tarjumah: Abu Zar Jab Tum Har Month Ke 3 Din Roza Rakho To 13,14,15 Taarikh Ko Rakho.
(Sahih Tirmizi: 761)

Agar Koi Darmiyan Month Mein Ayyame Beez Ke Roza Rakha Kare To Behtar Hai Warna Kisi Wajah Se Shuru Month Ya Aakhir Me Bhi 3 Roze Rakhna Bhi Jaiz Hai.

Maazh Adwiyah Ne Pucha Ummul Moameneen Aaisha Razi Allahu Anha Se:

اكان رسول الله صلى الله عليه وسلم يصوم من كل شهر ثلاثة أيام قالت نعم فقلت لها من أي أيام الشهر كان يصوم قالت لم يكون يبالي من أي أيام الشهر يصوم
Tarjumah: Kya Rasoolullaah ﷺ Har Month Mein 3 Roze Rakhte The? Unhone Farmaya: Han, Phir Pucha Kin Dino Mein? Unhone Farmaya: Kuch Parwaah Na Karte The Kisi Din Bhi Roza Rakh Lete The.

Is Hadees Se Maloom Hua Ke Ek Month Mein 3 Din Roze Rakhna Ayyame Beez Ke Roze Kehlaae Ge Yeh 3 Roze Shuru Mein Bhi Rakhe Ja Sakte Hai Darmiyan Mein Bhi Rakhe Ja Sakte Hai Aur Aakhir Mein Bhi Rakhe Ja Sakte Hai Nez Ikkhatte Bhi Ya Alag Taur Par Dono Tarrah Rakhe Ja Sakte Hai.

AYYAAME BEEZ KE ROZO WE MUTALLIQ CHAND MASAAIL AUR AHKAAM:

Ayyame Beez Ke Roze Rakhna Mustahab Hai Yani In Rozo Ki Taakid Aai Hai Koi Inhe Rakhe To Bada Ajar Paae Ga Aur Koi Chhod De To Gunaah Nahi Hai.

3 Rozo Ka Ajar Zamane Bhar Roza Rakhne Ke Barabar Hai.

Ayyaame Beez Ke Roze Mein English Calender Ka Itibaar Nahi Hoga Balke Qamari Taarikh Ka Atibaar Hoga Aur Afzal Yahi Hai Ke Mahine Ke 13,14,15 Taarikh Ka Roza Rakhe Taaham Shuru Ya Aakhir Mein Bhi Mutafarriq Ya Ikkhatte Rakhe Jaae To Kaafi Hoga.

Koi Har Month 3 Roze Rakhne Ki Nazar Maan Le Aur Use Yah Nazar Puri Karna Dushwaar Guzre To Qasam Ka Kaffarah Ada Kar De Nazar Khatam Ho Jaae Gi.

Ramazaan Ke Qaza Ki Niyyat Se Ayyame Beez Ke Dino Mein Roza Rakhna Sirf Qaza Kehlaae Gi Yani Qaza Aur Ayyame Beez Ke Rozo Ki Ek Sath Niyyat Nahi Ki Jaae Gi Pehle Qaza Ke Roze Mukammal Kare Fir Jab Waqt Mile To Ayyame Beez Ke Roze Rakhe.

Aashurah Ka Roza, Shawwal Ke Roze, Arfa Ka Roza Aur Ayyame Beez Ke Roze Ki Ek Sath Niyyat Se Tamam Rozo Ka Ajar Mile Ga In-Shaa-Allaah.

Agar Koi Har Month Ayyame Beez Ke Roze Rakhta Raha Aur Kisi Dushwari Ke Sabab Ya Ayse Hi Susti Se Kisi Month Ka Roza Nahi Rakh Saka To Koi Gunaah Nahi Hai.

AURTE AUR AYYAAME BEEZ KE ROZE:

Aurto Ko Allah Tala Ne Gharo Ko Laazim Pakdne Ka Hukam Diya Hai Ghar Me Rehte Hue Bachcho Ki Tarbiyat Ghar Ki Dekh Rekh Aur Shohar Ke Samaan Ki Hifaazat Biwi Ke Zimma Hai. Aksar Aurte Gharelu Kaam Kaaj Se Jald Hi Faragat Haasil Kar Leti Hai Phir Idhar Udhar Ja Kar Geebat, Chugli, Faltu Baate, Gahrelu Qisse Kahaniya Ek Dusre Se Karti Hai, Is Tarah Woh Apna Ghar Bhi Todti Hai Aur Dusro Ka Ghar Bhi Barbaad Karti Hai Yeh Bimaari Aurto Mein Aam Hai Jab Ke Mard Din Bhar Kaam Mein Masroof Hone Ke Baais Bahut Had Tak Is Se Bacha Rehta Hai Jo Muslim Aurat 5 Waqt Ki Namazo Ki Pabandi Kare Aur Apni Namaazo Mein Khushu Aur Khuzu Paida Kare To Hargiz Zabaan Aur Dil Mohlik Bimariyo Me Mubtala Nahi Hogi Dilo Ki Paakizgi Ke Waste Ayyame Beez Ke Roze Bahut Faidah Mand Hai Khususiyat Ke Sath Rasool E Akram ﷺ Ne In Rozo Ko Seene Ke Dhoke Aur Waswasa Ke Door Karne Ka Sabab Batalaya Hai Upar Hadees Maujood Hai Lihaza Tamaam Musalmaan Aurte Ayyame Beez Ke Rozo Ka Ahtimaam Karna Chahiye Unke Paas Fursat Bhi Hai Gharo Me Rehti Hai Aur Zaroorat Bhi Hai Zabaan Par Lock Lagaane Aur Zahan Aur Dimaag Ko Roohani Sukoon Dilane Ki Hai Zabaan, Zameer, Kaan, Haath, Pair Wagairah Par Qaabu Paane Ke Liye Roza Se Badh Kar Koi Hathiyaar Nahi Hai

Alhamdulillaah Kitni Aurte Ayyame Beez Ke Roze Rakhti Hai Aur Khudh Ko Zabaan Ki Bimaari, Dil Ki Bimaari Aur Badan Ki Bimaari Se Mehfooz Rakhti Hai Agar Kisi Ko Darmiyan Month Me Periods Aate Ho To Woh Shuru Ya Aakhir Month Mein 3 Roze Rakh Le Yah Bhi Kaafi Ho Jaae Ga Aysa Nahi Hai Ke Yeh Roza Aurto Ke Sath Hi Khaas Hai Balke Mere Kehne Ka Maqsad Yeh Hai Ke Aurto Ke Haq Me Apne Roz Marrah Ke Mashaagil Aur Aadaat Ki Wajah Se Ziyadah Mufeed Hai.

Allah Ham Sab Ko Iski Taufeeq De. Aameen
 
Last edited by a moderator:
Top