Umar Asari

Administrator
Staff member
Namaz e Janazah Mein Surah Fatiha Padhne Ki Daleel
Sawaal:
Assalaamu alaikum
Namaz e janaza me surah fathiha padne ki daleel quran o hadees se bhejiye
Jazakallah allahu khair

Jawaab:
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu
Namaz e Janazah ho ya koyi aur namaz, Surah Fatiha padhna Waajib hai iske baghair Namaz nahi hoti. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
عَنْ عُبَادَةَ بْنِ الصَّامِتِ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ:‏ لاَ صَلاَةَ لِمَنْ لَمْ يَقْرَأْ بِفَاتِحَةِ الْكِتَابِ​
Tarjumah: Hazrat Ubaadah bin Saamit Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, jis shakhs ne Surah Fatiha na padhi us ki namaz nahi hue.
(Sahih Bukhari: 756)

Mazeed Talha bin Abdullah bin Auf farmaate hain:
صَلَّيْتُ خَلْفَ ابْنِ عَبَّاسٍ ـ رضى الله عنهما ـ عَلَى جَنَازَةٍ فَقَرَأَ بِفَاتِحَةِ الْكِتَابِ قَالَ لِيَعْلَمُوا أَنَّهَا سُنَّةٌ‏​
Tarjumah: Maine Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma ke peeche Namaz e Janazah padhi to unhon ne Surah Fatiha (thoda zor se) padhi aur farmaaya ki (Surah Fatiha zor se isliye padhi) taaki log jaan len ki yeh Sunnat hai.
(Sahih Bukhari: 1335)

Yahan “Sunnat hai” se yeh muraad nahi ki yeh mustahab hai, balki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat muraad hai, yani Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne isay padha tha.
واللہ اعلم بالصواب​
Shaikh Rafiq Tahir Hafizahullah
 

Similar threads


Top