Umar Asari

Administrator
Staff member
Baghair kisi shar’ee daleel ke kisi din ki khususiyat ka da’wa

Romanised By: Umar Asari Ibn e Ashiq Ali Asari

❀Sawaal:❀
13, 21, 22 aur 27 Rajab ki kya ahmiyat hai?

✿Jawaab:✿
Alhamdulillah:
Bi-zaatihi in dino ko mutlaqan koi khususiyat haasil nahi, lekin yeh hai ki maah-e-Rajab ke baghair kisi istisnaa (exception) saare ayyaam (days) hi azeem hain, kiunki yeh maheena hurmat waale maheeno masalan Zul-Qa’dah, Zil-Hijjah, Muharram aur Rajab mein shaamil hota hai.
Har maheene ki 13 tareekh ka din (sirf Rajab ka nahi) ayyaam-e-beez ke teen (3) dino mein se ek hai jin mein Roza rakhna Mustahab hai, aur woh Qamri maheena ki 13, 14 aur 15 tareekh shumaar hote hain.
Aksar bid’ati log baghair kisi shar’ee daleel ke makhsoos dino mein ibadat ki afzaliyyat ka aiteqaad rakhte hain, un logon ka yeh amal mardood hai aur qaabil-e-qubool nahi hai, kiunki unhon ne Allah ke Deen mein woh kuch ijaad kar liya hai jis ki Allah ﷻ ne ijazat nahi di.
Allah ﷻ se dua hai ki hamein Sunnat-e-Nabawi ﷺ ki pairwi karne aur bid’aat se bachne ki taufeeq naseeb farmaaye.
Allah ﷻ hamaare Nabi Muhammed ﷺ par apni rehmatein naazil farmaaye. Aameen.
Wallahu A’lam.
Taken from Islamqa: 1305
 
Top