Namaazi Apni Nazar Kahan Rakhkhe?

Sheikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah Taif KSA
Romanised By: Khadija Muhammadi

Yah Ek Aham Masala Hai Ke Namaazi Dauraan e Namaaz, Halat e Qiyaam, Rukoo, Sajdah, Tashahhud Aur Salaam Phairte Waqt Kahan Dekhe?
➊ Ahl e Ilm Ke Yahan Nazar Ke Maqaam Ke Tayyun Me Ikhtilaaf Paaya Jata Hai. Lekin Rajeh Qaul Aur Jimhoor Ahl e Ilm Ke Mutabiq Halat e Qiyaam Aur Rukoo’ Me Sajde Ki Jagah Nazar Rakhna Mustahab Hai. Ibn e Seereen Se Marvi Hai Ke Nabi e Kareem ﷺ Pehle Namaz Me Aasmaan Ki Taraf Dekh Liya Karte The, Jab Yah Aayat e Mubaraka
الَّذِينَ هُمْ فِي صَلَاتِهِمْ خَاشِعُونَ​
Naazil Hui To Aap Ne Apna Sar Niche Jhuka Liya.
(Surah Al-Mominoon: 2)
Nazil Hui To Aap Ne Sar Neeche Kar Liya.
(Is Asar Ko Bayhaqi Aur Sa’eed Bin Mansoor Ne Riwayat Kiya Hai)

Isi Tarah Ek Dusri Rivayat Hai:
عن انس أن النبى صلى الله عليه وسلم قال: يا انس اجعل بصرك حيث تسجد​
“Anas Radhiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaya: Aye Anas! Apni Nigaah Sajdae Ki Jagah Par Rakho.”
(Bayhaqi)

Agarcha Yah Hadees Zaeef Hai Magar Allaama Albani Rahimahullah Farmate Hain Ke Is Baab Me Bahut Saari Ahaadees Hain Jo Sajdah Ki Jagah Dekhne Par Dalalat Karti Hain.
(Dekhen: Sifatus Salaatun Nabi)

➋ Halat e Tashahhud Aur Dono Sajdah Ke Darmiyan Bethne Par Ungli Ke Ishare Par Nazar Rakhkhe.
Abdullaah Bin Zubair Radhiallahu Anhu Se Marvi Hai Ke: Aap ﷺ Ki Nazar Aap ﷺ Ke (Shahaadat Ki Ungli Ke) Ishaare Se Aage Nahi Badhti Thi..
(Sahih Abu Dawood. Shaikh Albaani Ne Ise Hasan Sahih Qaraar Diya Hai)

Sahab e Tohfat ul Ahwazi Likhte Hain:
Tashahhud Me Apni Nazar Shahaadat Ki Ungli Aur Uske Ishare Ki Taraf Rakhni Chaahiye.
(Tohfat ul Ahwazi: 2/196)

➌ Sajdah Ki Halat Me Namaazi Apni Aankho Ke Muqaabil Zameen Par Dekhe.

➍ Namaazi Salaam Phairte Huwe Right Aur Left Achchi Tarah Mudega, Isi Tarah Jo Namaaz Me Uske Left Aur Right Side Maujood Hai Uski Taraf Bhi Mood Sakta Hai, Ayse Hi Namaazi Ke Liye Yah Bhi Jaaiz Hai Ke Woh Apne Saathi Ki Taraf Dekhe Ya Kandhe Ki Taraf Dekhe, Is Baare Me Wus’at Hai.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Namaz 0

Similar threads


Top