Jis Shakhs Ke Munh Se Alfaaz Sahih Se Ada Na Hote Hon Kya Wo Azaan De Sakta Hai?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Jis Shakhs Ke Munh Se Alfaaz Sahih Se Ada Na Hote Hon Kya Wo Azaan De Sakta Hai?

❀Sawaal:❀
Asslamu alikum
Ek saksh hai wo Azaan dena chahta hai lekin uske munh se alfaz sahi nhi nikalte or log use Azaan dene se mana karte hain to kya ye sahi hai?

✿Jawaab:✿
Walaikum Assalam Warehmatullahi Wabarakatuhu

Mu’azzin buland aur khoobsurat aawaz waala hona chaahiye, taaki us ke alfaaz samajh aayein, aur jis tak Azaan ki aawaz pahunche woh tawajjo se sune,
Al-Mausoo’ah Al-Fiqhiyyah Al-Kuwaitiyyah mein hai:
Azaan lahn (ghalati) se khaali honi chaahiye, yani alfaaz ki adaayegi mein aisi ghalati jis se ma’na tabdeel ho jaaye, jaise (Allahu Akbar) ke hamzah ya baa ko Madd ke saath padhna (yani kheech kar padhna), Azaan ko baatil kar deta hai kiunki us tarah ma’na tabdeel ho jaata hai, aur agar ma’ne mein tabdeeli na ho to phir bhi aisa lahn Jumhoor ke nazdeek Makrooh (na-pasandeedah) hai.
Mu’azzin ka buland, khoobsurat aur saaf aawaz waala hona Mustahab hai, kiunki Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne, Azaan ki ibtida mein jab Abdullah bin Zaid ne Azaan ke mutalliq apna khawab sunaaya tha, Aap ne un ka khawab sun kar un ko hukm diya ki tum Bilal ke saath uth kar jaao aur jo kalmaat tum ne khawab mein dekhe hain woh unhein bataate jaao taaki us ke mutabiq woh Azaan den kiunki un ki aawaz tum se buland aur khoobsurat hai.
(Mausoo’ah Fiqhiyyah, Jild 2)

Totla, luknat waala Azaan to de sakta hai agar Azaan ke alfaaz mein bigaad paida na ho, aur ma’aani mein taghayyur (tabdeeli) na ho, lekin Mustahab yeh hai ke buland aur saaf aawaz mu’azzin muqarrar kiya jaaye, kiunki logon tak mu’azzin ki aawaz hi jaati hai jise sun kar woh Allah Taala ke ghar mein aate hain.
Jawaab by: Shaikh Ishaq Salafi Hafizahullah
واللہ اعلم بالصواب​
 
Top