Umar Asari

Administrator
Staff member
Ball Pool aur naujawan

Romanised by: Umar Asari

Daur e haazir mein “8 Baal Pool” naam ke game mein naujawanon ki ek bahut badi ta’daad mulawwis nazar aati hai aaj kal Social Media par yeh game urooj par hai aur naujawan apna qeemti waqt is game mein barbaad kar rahe hain jabki yeh naujawan hi qaum ka sarmaya hain lekin ab unhein khurafaat aur waqt barbaad karne ki aadat si ban chuki hai.
Agar hum apne pooore shehar par ek nazar daalte hain to yaqeenan hamein har muhalle mein naujawanon ki aksariyat mobile le kar der raat tak ghar ke bahar ya andar hi apne aap mein masroof nazar aayegi. Tamam naujawanon ko to nahi kaha jaa sakta magar aksariyat is game mein mulawwis nazar aayenge aur lakhon kadodon ki baat karte huwe milenge. Yeh haqeeqatan paison ki baat nahi balki apne game se mutalliq coin ki baat karte nazar aayenge.
Afsos! Yeh naujawan apni jawani ko kahan barbaad kar rahe hain, apna qeemti waqt kis tarah se lahw o la’ib mein guzaar rahe hain jabki waqt ek aisi cheez hai jo kabhi laut kar wapas nahi aati khaas taur se naujawanon ko waqt ki ahmiyat aur uske taqaaze par ghaur o fikr karna chahiye. Aisa nahi hai ke social media sirf lahw o la’ib aur masti ki jagah hai balki naujawan agar is se faida uthaana chahein to bahut ilmi faida haasil kar sakte hain.
Naujawan hi qaum o millat ka qeemti sarmaya hain naujawan muttahid ho kar har namumkin cheez ko mumkin bana sakte hain halaat ka datt kar muqaabla kar sakte hain. Magar ab koi kisi ka khair khwah aur madadgaar nazar nahi aata sab ko apni hi padi hai sab muntashir ho chuke hain yahi wajah hai ke aaj ummat e musalimah par zulm o sitam ke pahaad tode jaa rahe hain.
Sab se bada masla to yeh hai ke jab naujawanon ko islaah karne ki koshish ki jaaye to fauran jawab de kar guzar jaate hain. Aakhir hamaare yeh naujawan kahan jaa rahe hain? Kisi shayar ne kaha hai ke:
Sambhal kar guftugu karna buzurgon!
Ke bachche ab palat kar bolte hain

Meri yeh baatein talkh zaroor hain yeh game khelne waalon ke liye magar raat ki tanhaayi mein zara dil par haath rakh ek baar zaroor meri baaton par ghaur o fikr karen shayad aap ko haqeeqat nazar aaye.
Beharhaal naujawanon se khaas taur se appeal hai ke zara apna muhasba karen ke woh apna waqt kahan barbaad kar rahe hain aur kya karna chaahiye ki woh mustaqbil mein kamyaab ho saken.
Allah hamein khair ki taufeeq de.
Aameen.
 
Top