BACHCHON KELIYE CHOTA LIBAAS


BACHCHON KELIYE CHOTA LIBAAS
Fatwaa : SHAIKH MUHAMMED BIN SAALIH USAIMEEN hafizahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAL:
Baaz khawateen ALLAH inhen hidaayat naseeb farmaye apni choti bachiyon ko itna chhota(aur mukhtasir) libaas pehnati hain ke jis se un ki pindliyaan nangi rehti hain. Jab hum aisi maaon ko azrah-e-naseehat kuch kehte hain to woh jawab deti hain ke choti Umar mein, hum bhi aisa libaas pehanti theen magar bade honay par hamara to kuch nahi bigsda is ke mutaliq aap ki kya raye hai?

JAWAB:
Meri raye yeh hai ke kisi insaan ke liye apni choti bachi ko aisa libaas pehnana ghair munasib hai kyunkay agar woh bachpan mein aisa libaas pehen'ne ki aadi ho gayi to badi ho kar is par gamzan rahay gi. Mein apni musalman behnoon ko naseehat karoon ga ke woh islam ke dushmanon ka libaas tark kar den. Apni bachiyon ko baaparda libaas aur sharam o haya ka aadi banayen. Is liye ke Haya imaan ka hissa hai .
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Muhammed Ali Owais Ta’leem o Ta’allum 0

Similar threads


Top