Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya naamon ki taseer hoti hai?

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Naamon ke talluq se hamaare samaaj mein bahut saari ghalatfehmiyan paayi jaati hain. Masalan:
Agar bachcha shararti ho to kaha jaata hai ke naam badal lo is ki qismat badal jaayegi.

Aise hi bachcha bemaar rehta ho to use naam badalne ko kaha jaata hai taaki theek ho jaaye.

Ek badi bhayanak ghalatfehmi yeh hai ke agar ghar mein ek bachcha mar jaaye to us ka naam doosre bachche ko rakhna manhoos samjha jaata hai balki yeh socha jaata hai ke agar yeh naam rakh liya gaya to doosra bachcha bhi mar jaayega.

Kuch log yeh khayaal karte hain ke duniya ke oonche oonche logon ka naam rakhne se bachcha unhein jaisa buland hoga.

In khayalat ke mutalliq main yeh kehna chaahta hun ke achche naam waqa’ee qeemti jauhar hain, is liye Islam mein naam rakhne ke tareeqe hain.
Islam mein sab se behtar naam Abdullah aur Abdur Rahman hain.
In ke alawah Allah ki Sifaat ki taraf abdiyyat ka intisaab (nisbat) kar ke naam rakhna masalan Abdur Raheem, Abdul Jabbar waghera.
Isi tarah Nabiyon, Rasoolon aur un ki aulaad ke naam par, Sahaba e Kiraam aur un ki aulaad ke naam par naam rakhna Mustahab hai.
Aur un naamon se bacha jaaye jin mein Shirk, Ma’siyat, Karahat aur kharaabi ka koi pehlu nikalta ho.

Ab main yeh baat kehna chaahta hun ke naamon se farq padta hai yahi wajah hai ke jab Sulah Hudaibiyah ke mauqe par Sahal bin ’Amr baat cheet ke liye aaye to Aap ﷺ ne farmaya ke mu’aamla sahal (asaan) hoga.
Is se pata chalta hai ke Aap ﷺ ne Sahal ke naam se nek faali li hai. Is ke alawah deegar Ahadees se pata chalta hai ke Nabi ﷺ ne kuch naamon ko napasand farmaya aur kuch naamon ko badal diya.
Ab baat is had tak pahunch gayi hai ke kaha jaa sakta hai ke naamon mein taseer payi jati hai magar yeh taseer insaan ki shakhsiyat aur us ke kirdaar ko nahi badal sakti. Ziyadah se ziyadah achche naamon se achcha tasawwur kar sakte hain. Agar kuch taseer zahir bhi hue to yeh Allah ki qudrat se hai.
والله أعلم بالصواب​
 

Similar threads


Top