Bayt-ul-llah ka Hajj Mu'attal hone wali hadees qurb qayamat se muta'alliq


Abdul Mussavir

New member
Bayt-ul-llah ka Hajj Mu'attal hone wali hadees qurb qayamat se muta'alliq

بسم الله والحمد لله والصلاة والسلام على رسول الله وعلى آله وصحبه ومن والاه. أما بعد.

Covid-19 (Corono Virus) phelne par hukumat Saudia ki taraf se ehtiyati tadabeer ikhtiyar karte hue aarzi taur par umrah karne par pabandi lagayi hai. Aur shari'yat ke usool wa maqasid ko samne rakhe yeh bilkul sahi faisla kiya gaya hai. Is mauqe par ahle fitna hasab aadat kitab wa sunnat ki nusus ko galat muqaam par muntabiq kar rhe hai. Un me se ek Rasulallah ﷺ ka Farmaan ke qayamat us waqt tk qayim nhi hogi jab tk bayt-ul-llah ka hajj band na ho jaye.

Hajj Mua'attal wali hadees Qurb-e-Qayamat se muta'alliq hai.

Ahle Sunnah Wal Jamah ka aqeedah hai :-

والحج والجهاد ماضيان مع أولي الأمر من المسلمين‏ برهم وفاجرهم، إلى قيام الساعة، لا يبطلهما شيء ولا ينقضهما‏

Hajj aur Jihad Qayamat tak Musalamano nek ya bure ke sath jari rahege, inko koi cheej batil nhi kar sakegi.

(Aqeedah Tahawiya)


Sayedna Abu Saeed Khudri رضي الله عنه bayan karte hai ke Rasulallah ﷺ ne farmaya :

لَا تَقُومُ السَّاعَةُ حَتَّى لَا يُحَجَّ الْبَيْتُ

Qayamat us waqt tk qayim nhi hogi jab tk bayt-ul-llah ka hajj band na ho jaye

(Sahi Bukhari 1593)

Isse Murad bayt-ul-llah ka tawaf Qurb-e-Qayamat Mua'attal hoga. Jaisa ki dusri hadees samne rakhne se wazeh hota hai .

Rasulallah ﷺ ne farmaya :-

لَيُحَجَّنَّ الْبَيْتُ وَلَيُعْتَمَرَنَّ بَعْدَ خُرُوجِ يَأْجُوجَ وَمَأْجُوجَ

Bayt-ul-llah ka hajj ya umrah yajuj-majuj ke nikalne ke baad bhi hota rahega.

(Sahi Bukhari 1593)

Isse Malum chalta hai ke yeh (hajj aur Umrah) Qurb-e-Qayamat band hoga, kyuki yajuj-majuj ka khurooj Qayamat se bohut pehle hoga aur Rasulallah ﷺ ki hadees ke yajuj-majuj ke baad bhi jari rehne ki khabar de rhi hai.

Aur Rasulallah ﷺ ne farmaya :-

وَالَّذِي نَفْسِي بِيَدِهِ، لَيُهِلَّنَّ ابْنُ مَرْيَمَ بِفَجِّ الرَّوْحَاءِ، حَاجًّا أَوْ مُعْتَمِرًا، أَوْ لَيَثْنِيَنَّهُمَا

uss zaat ki qasam jiske hath me meri jaan hai ! Ibn Maryam عليه السلام rauha ke muqam se Hajj ka ya Umrah ka Ya dono ka talbiyah pukarege.

(Sahi Muslim 1252)

Iss hadees se bhi malum hota hai ke Isa عليه السلام ke nuzul ke baad bhi Hajj jari rahega aur Hajj Mua'attal hone wali hadees ka ta'alluq Qurb-e-Qayamat se hai.

Aur Qurb-e-Qayamat jab akhyaar na rahenge aur asraar baqi reh jayge to patli tango wal habshi bayt-ul-llah ka gira dega.

Rasulallah ﷺ ne farmaya :-

يُخَرِّبُ الْكَعْبَةَ ذُو السُّوَيْقَتَيْنِ مِنْ الْحَبَشَةِ

Ka'aba ko 2 patli pindliyon wala ek haqeer habshi tabah kar dega.

(Sahi Bukhari 1591)

Aur farmaya :-

كَأَنِّي بِهِ أَسْوَدَ أَفْحَجَ يَقْلَعُهَا حَجَرًا حَجَرًا

Goya me usse dekh rha hu kaale rang ka patli pindliyon wala admi jo khana Ka'aba ke ek ek pathar ko ukhad raha hai

(Sahi Bukhari 1595)

Manawi رحمه الله farmate hai :-

وإنما سلط عليها ولم يحبس عنها كالفيل لأن هذا إنما هو قرب الساعة عند فناء أهل الحق فسلط على تخريبها لئلا تبقى مهانة معطلة بعد ما كانت مهابة مبجلة ومن هذا التقرير استبان أنه لا تعارض بين هنا وقوله تعالى {حرما آمنا} الأمن إلى قرب القيامة وخراب الدنيا كما تقرر

Allah تعالى is habshi ko Ka'aba par musallat karega aur hathiyo ki tarah isse apne ghar se dur nhi karega kyu ki yeh Qurb-e-Qayamat ahle haq ke khatm hone ke baad hoga, pass isse iss ke dhahane par musallat krega taqe hibat wa ta'azeem ke baad isski toheen na ho .aur isse yeh bhi pta chalta hai ke iss hadees aur Allah تعالى ke farman ke humne ( حرما آمنا) haram ko aman wala banaya hai, ke darmiya koi ta'aruz nhi kyuki yeh Qurb-e-Qayamat aur Duniya ki barbadi ke waqt hoga.

(Faiz ul Qadeer 6/459)

Rasulallah ﷺ ne farmaya :-

اسْتَمْتِعُوا مِنْ هَذَا الْبَيْتِ فَإِنَّهُ قَدْ هُدِمَ مَرَّتَيْنِ، وَيُرْفَعُ الثَّالِثَةَ

is bayt-ul-llah se faida utha lo yeh 2 martaba gira diya ja chuka hai aur 3sri martaba isse utha liya jayega

(Mustadrak Al Hakim 1610 )

Shaykh Muqbeel Bin Hadi رحمه الله farmate hai yeh :-

وهذا في آخر الزمان ، وهي الثالثة التي لا يبنى بعدها أبداً كما بينه النبي - صلى الله عليه وعلى آله وسلم - في ذلك الحديث نفسه

Yeh Akhri Zamane me hoga,aur yeh teesri martaba hoga jiske baad kabhi ta'ameer na hoga, jaisa ke Rasulallah ﷺ ne is hadees me farmaya.

-Ibn Abu Abdullah
Hafiz Abdurrahman Abdul Sattar

Al Medina Al Jamia 23 rajab 1441,18 March 2020
 
Top