Beth Kar Namaaz Padhne Ke Ahkaam


Beth Kar Namaaz Padhne Ke Ahkaam

Tehreer: Fazilatus Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Daai Islamic Dawah Center Taif Saudi Arabia
Romanised: Khadija Muhammadi

Allaah Ne Deen Aasaan Banaya Hai,Yahi Wajah Hai Ke Apne Bando Ko Deen Par Amal Karne Ke Liye Unki Taqat Aur Qudrat Se Ziyadah Mukallaf Nahi Banaya Hai,Allaah Ka Farmaan Hai:
لا يكلف الله نفسا الا وسعها.
(AL BAQARAH:286)
Tarjumah: Allaah Kisi Jaan Ko Uski Taaqat Se Ziyadah Mukallaf Nahi Karta.
Aur Allaah Ka Farmaan Hai:فاتقوا الله ما استطعتم(Surah Tagaabun:16)
Tarjumah: Jis Qadar Taaqat Baj Us Qadar Allaah Se Daro.
Aur Allaah Ka Farmaan Hai:
يريد الله بكم اليسر ولا يريد بكم العسر. (Al Baqarah:185)
Tarjumah:Allaah Ka Iradah Tumhare Sath Aasaani Ka Hai Sakhti Ka Nahi.
Insaano Ke Liye Jismaani Haalaat Hamesha Ek Jaise Nahi Rehte,Mausam Ki Tabdeeli,Haalaat Ke Badlaao Aur Taqdeer Me Likhi Bimaari Aur Pareshani Ke Sabab Uthne Bethne Me Farq Padhta Rehta Hai. Namaaz Chunki Jismaani Ibaadat Hai Lihaza Uthne Bethne Me Pareshani Ke Sabab Uski Adaaegi Me Bhi Insaani Taqat Ka Atibaar Hoga Aur Jis Kaifiyat Me Namaaz Ki Adaegi Ka Mutahmmul Hoga Us Kaifiyat Me Namaaz Ada Kare Ga. Imraan Bin Haseen RA Se Marvi Hai Unhone Bayaan Kiya Ke Mujhe Bawaaseer Ki Bimaari Thi Is Liye Mene Nabi SAV Se Namaaz Ke Bare Me Dariyafat Kiya To Aap SAV Ne Farmaya:
صل قائما فإن لم تستطع فقاعدا فإن لم تستطع فعلى جنب.(Sahih Bukhari:1117)
Tarjumah:Khade Ho Kar Namaaz Padha Karo Agar Uski Bhi Taqat Na Ho To Beth Kar Aur Agar Uski Bhi Na Ho To Pehlu Ke Bal Let Kar Padh Lo.
Yah Hadees Hame Batlaati Hai Ke Jise Namaaz Me Khade Hone Ki Taaqat Nahi Woh Beth Kar Namaaz Ada Kare Ga Aur Jo Beth Kar Namaaz Nahi Padh Sakta Woh Lete Lete Pehlu Par Namaaz Ada Kar Sakta Hai.

Me Yaha Is Mazmoon Me Beth Kar Namaaz Padhne Ka Tariqah Aur Us Se Mutalliq Chand Ahkaam Bayan Karne Wala Hu, Is Liye Isi Munasibat Se Mukhtasar Baat Hogi Aur Pehle 2 Aham Masale Fir Chand Ahkaam Honge.
(1) Masala: Zameen Par Beth Kar Namaaz Padhne Ki Surat:
Is Masale Me Sab Se Pehla Sawaal Yah Hoga Ke Woh Kon Si Haalat Hai Jab Namaazi Zameen Par Beth Kar Namaaz Ada Kare Ga?To Iska Jawaab Upat Guzri Hadees Me Maujud Hai Ki Jab Koi Apne Pairo Par Khade Hone Se Aajiz Aur Maazur Ho To Woh Zameen Par Beth Kar Namaaz Ada Kare Ga. Ab Is Baabat Dusra Sawaal Yah Hai Ke Zameen Par Bethne,Ruku Karne Aur Sajdah Karne Ki Kaifiyat Kya Hogi?Zameen Par Beth Kar Namaaz Padhne Ka Tariqah Yah Hai Ke Namaazi Halate Qiyaam Me Sureen Ke Bal 4 Zaano Ho Kar Bethe Yani Apni Dono Pindhliyo Ko Raano Ke Sath Ikhatti Kare. Yahi Kefiyat Ruku Ahr Ruku Ke Baad Qiyaam Me Sureen Ke Bal 4Zaano Ho Kar Bethe Yani Apni Dono Pindhliyo Ko Raano Ke Saath Ikhatti Kare. Yahi Kefiyat Ruku Aur Ruku Ke Baad Qiyaam Me Hogi Kuy Ke Yah Qiyaam Ke Mahal Me Hai Fir Zameen Par Sajdah Kare Aur 2 Sajdo Me Bethte Waqt Iftiraash Par Amal Kare Jis Tarah Qa'da Ula Me Bethte Hai Balke Qada Bhi Usi Tarah Kare.
(2) Aham Masala:-KURSI PAR BETH KAR NAMAAZ PADHNE KI SURAT:
Kursi Par Namaaz Padhne Ki Mukhtalif Surate Mareez Ki Istitaat Par Munhasir Hai. Namaaz Me Qayaam, Ruku Aur Sajdah Yah 3no Arkaan Hai. Kursi Par Namaaz Padhne Ki Ek Surat To Yah Hai Ke Agar Mareez Khade Hone Se Ma'zoor Hai Magar Ruku Aur Sajdah Kar Sakta Hai To Qayaam Ke Waqt Kursi Par Bethe Ruku Aur Sajdah Ko Apni Asal Surat Me Baja Laae. Dusri Surat Yah Hai Ke Mareez Qayaam Ki Istitaat Rakhta Hai Magar Ruku Aur Sajdah Ki Adaegi Asal Surat Me Ada Nahi Kar Sakta To Khade Ho Kar Qayaam Kare, Ruku Aur Sujood Ki Jagah Kursi Ka Istimaal Kare. Ruku Me Sar Ko Thoda Jhukaae Aur Sajdah Me Sar Ko Ruku Se Ziyadah Jhukaae. Isme Mazeed Tafaaseel Hai Jo Mufassal Kitabo Me Dekhi Ja Sakti Hai.

SAFF ME KURSI RAKHNE KI KEFIYAT:
Jab Namaazi Shuru Se Kursi Par Beth Kar Namaaz Padhe Us Waqt Kursi Saff Ki Jagah Me Ayse Rakhe Ke Uski Pushat Namaaziyo Ke Qadmo Ke Barabar Ho Goya Kursi Ka Pichla Hissa Namaaziyo Ki Edi Ke Barbar Ho Lekin Agar Namaazi Qayaam Asli Surat Me Kare Aur Ruku Aur Sujud Kursi Par Kare To Kursi Piche Karni Hogi Taaki Saare Namaaziyo Ki Tarah Qadam Se Qadam Mila Kar Khada Ho Sake. Yah Surat Kursi Ki Wajah Se Zara Mushkil Hai Is Liye Namaaz Padhne Ke Liye Aysi Jagah Khade Hone Ka Intikhaab Kare Jaha Piche Namaazi Ko Taklif Na Ho.

ZAMEEN PAR NAMAAZ PADHNA AFZAL HAI YA KURSI PAR?
Ek Sawaal Yah Kaha Jata Hai Ke Bimaar Ke Liye Kursi Par Beth Kar Namaaz Padhna Afzal Hai Ya Zameen Par Beth Kar? Mere Ilm Ki Had Tak Is Masale Me Afzaliyat Ka Sawaal Paidah Nabi Hota Balke Jawaaz Aur Adame Jawaaz Ka Masala Hai. Agar Koi Qayaam Ki Taqat Na Rakhke Magar Asli Shakal Me Ruku Aur Sajdah Karne Ki Taqat Rakhta Hau To Uske Liye Ruku Aur Sujood Ke Liye Kursi Ka Istimaal Jaaiz Nahi Hai Aur Isi Tarah Ruku Aur Sujood Me Ma'zoor Hai Magar Qiyaam Kar Sakta Hai To Qiyaam Ke Liye Kursi Ka Istimaal Jaaiz Nahi Hai. Hame Maloom Hai Ke Kursi Par Namaaz Apni Asli Surat Me Nahi Hai Balke Adam E Qudrat Ki Wajah Se Shariat Ki Janib Se Sahulat Aur Badeel Hau Bataure Khaas Sajdah Jis Me 7 Aazaa Zameen Par Hona Chaahiye,Yah Kefiyat Nahi Paai Jaati. Agar Koi Kursi Par Beth Kar Namaaz Ada Kare Aur Zameen Par Sajdah Ki Istitaat Ke Bavajud Ishare Se Sajdah Kare To Yah Amal Jaaiz Nahi Hai.

IMAAM BETH KAR NAMAAZ PADHAAE TO MUQTADI KAISE NAMAAZ PADHE?
Behtar Hai Ke Bimaar Imaamat Na Karaae Taaki Us Bimaar Ko Aur Uske Piche Digar Namaazi Ko Taklif Na Ho Taham Uski Imaamat Me Namaaz Jaiz Hai. Jab Koi Imaam Kisi Uzar Ki Wajah Se Beth Kar Namaaz Padhaae To Uske Piche Namaazi Bhi Beth Kar Namaaz Padhe Kuy Ke Muqtadi Ko Imaam Ki Mutabiat Ka Hukam Diya Gaya Hai. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
واذا صلى قاعدا فصلوا قعودا اجمعون.( Muslim 411)
Tarjumah: Aur Jab Imaam Namaaz Beth Kar Padhaae To Tum Bhi Beth Kar Padho.
Baaz Ulma Muqtadi Ke Liye Khade Ho Kar Namaaz Padhne Ke Qaail Hai Magar Qawi Mauqaf Beth Kar Padhna Hi Hai Jaisa Ke Farmaane Rasool SAV Se Zaahir Hota Hai Albatta Muqtadi Ne Khade Ho Kar Bhi Namaaz Ada Kar Li To Uski Namaaz Sahih Hau

Qudrat Rakhte Hue Nafil Beth Kar Padhna Aur Uska Ajar:
Jis Ko Qudrar Hai Woh Farz Namaaz Beth Kar Ada Nahi Kar Sakta Hai Aur Agar Aysa Kare Ga To Uski Woh Namaaz Nahi Hogi Lekin Qudrat Rakhne Ke Bavajud Nafil Namaaz Beth Kar Ada Ki Ja Sakti Hau Aur Is Surat Me Khade Hone Ke Muqable Me Aadha Ajar Mile Ga.
Anas RA Bayan Karte Hai:
خرج فراى أناسا يصلون قعودا فقال صلاة القاعد على النصف من صلاة القائم.(Ibne Majah:1022)
Tarjumah: Rasool SAV Ghar Se Nikle To Dekha Ke Kuch Log Beth Kar Namaaz Ada Kar Rahe Hai To Farmaya Beth Kar Namaaz Ada Karne Wale Ko Qayaam Karne Wale Ki Nisbat Aadha Ajar Mile Ga.
Is Liye Bando Ko Chaahiye Ke Nawaafil Khade Ho Kar Ada Kare Taaki Pura Ajar Mile.

BIMAAR AGAR FARZ NAMAAZ BETH KAR PADHE TO KYA AADHA AJAR MILEGA?
Bimaar Agar Beth Kar Namaaz Padhe To Use Mukammal Ajar Mile Ga Kuy Ke Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
اذا مرض العبد أو سافر كتب له مثل ما كان يعمل مقيما صحيحا.(Bukhari Sharif:2996)
Tarjumah: Jab Bandah Bimaar Hota Hai Ya Safar Karta Hai To Uske Liye Tamaam Ibaadat Ka Sawaab Likha Jata Hai Jinhe Iqaamat Ya Sahat Ke Waqt Yah Kiya Karta Tha.

SAJDAH SE MUTALLIQ 2 SAWALO KE JAWAAB:
(1) SAWAAL:Aaj Kal Masaajid Me Bimaaro Ke Liye Namaaz Ki Adaaegi Ki Khaatir Kursiya Rakhkhi Hoti Hai Aur Uske Aage Takhati Lagi Hoti Hai Namaazi Jab Sajdah Karta Hai To Woh Us Takhati Par Sajdah Kar Leta Hai Is Amal Ki Sharai Hesiyat Kya Hai?
JAWAAB:
Shaikh Saleh Fawzaan Ne Aysi Kursi Par Sajdah Karna Najaiz Kaha Hai Jis Me Sajdah Ke Liye Aage Takhti Lagi Ho. Unka Istidlaal Hai Je Nabi SAV Ne Ek Bimaar aki Takiya Par Sajdah Karte Hue Dekha To Use Phaink Diya Isliye Kursi Par Namaaz Padhne Wale Mareez Ko Chaahiye Ke Agar Zameen Par Sajdah Karne Ki Qudrat Rakhta Ho To Zameen Par Sajdah Kare Warna Kursi Par Hi Ruku Ke Muqable Me Zara Ziyadah Jhuk Kar Sajdah Kare.
(2) SAWAAL: Aysa Gadda Jo Naram Mulayam Aur Uncha Ho Us Par Namaaz Padhna Jaaiz Hai Ke Nahi?
JAWAAB:
-Garmi Aur Sardi Ya Dhul Mitti Se Bachne Ke Liye Qaaleen, Chataai Aur Halke Gadde Pae Namaaz Padhna Jaiz Hai Nabi SAV Se Chataai Par Namaaz Padhna Aur Sahaba Kiraam Ka Apne Daman Par Sajdah Karna Sahih Bukhari Me Mazkoor Hai. Ummul Moamineen Maimoonah RA Farmati Hai:
كان النبي صلى الله عليه وسلم يصلى على الخمرة.(Bukhari Sharif:381)
Tarjumah:Rasool SAV Khajoor Ki Chataai Par Namaaz padhte The.
Anas RA Kehte Hai:
كنا نصلى مع النبى صلى الله عليه وسلم فيضع أحدنا طرف الثوب من شدة الحر في مكان السجود.(Bukhari Sharif:385)
Tarjumah:Ham Rasool SAV Ke Sath Namaaz Padhte To Ham Me Se Har Aadmi Garmi Se Bachne Ke Liye Apne Kapde Ke Daman Par Sajdah Karta.
Ziyadah Unche Sponge Ke Mote Gadde Ss Parhez Kare Yani Khafeef Qisam Ka Gadda Istimaal Kare Jis Par Sajdah Karne Se Peshani Ko Zameen Par Istiqraar Ho

EK AHAM INTIBAAH:
Aaj Kal Masaajid Me Badi Tadad Me Kursiya Rakhi Hoti Hai,Logo Ko Kursi ke Masaail Ka Ilm Kam Hota Hai Aur Mahaz Mamooli Pareshani Me Bhi Dekha Dekhi Mukammal Namaaz Kursi Par Hi Ada Karte Hai Isliye Aimma Masaajid Logo Ko Kursi Par Namaaz Padhne Ki Kefiyat Aur Masaail Se Aagah Kare Aur Is Silsile Me Dusri Saff Aur Right Aur Left NamaaziyobKo Taklif Na Ho Uske Liye Munasib Kursi Aur Munasib Jagaah Mutaiyyan Kare.
 

Similar threads


Top