Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi


Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi

بسم الله الرحمن الرحیم

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmya :
مَنْ ابْتُلِيَ مِنْ الْبَنَاتِ بِشَيْءٍ فَأَحْسَنَ إِلَيْهِنَّ كُنَّ لَهُ سِتْرًا مِنْ النَّارِ
Jiski betiyan hon aur wo unke saath husn e Suluk kare to wo Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi.
[Sahih Muslim, 6693]

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki :

جَاءَتْنِي مِسْكِينَةٌ تَحْمِلُ ابْنَتَيْنِ لَهَا فَأَطْعَمْتُهَا ثَلَاثَ تَمَرَاتٍ فَأَعْطَتْ كُلَّ وَاحِدَةٍ مِنْهُمَا تَمْرَةً وَرَفَعَتْ إِلَى فِيهَا تَمْرَةً لِتَأْكُلَهَا فَاسْتَطْعَمَتْهَا ابْنَتَاهَا فَشَقَّتْ التَّمْرَةَ الَّتِي كَانَتْ تُرِيدُ أَنْ تَأْكُلَهَا بَيْنَهُمَا فَأَعْجَبَنِي شَأْنُهَا فَذَكَرْتُ الَّذِي صَنَعَتْ لِرَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ إِنَّ اللَّهَ قَدْ أَوْجَبَ لَهَا بِهَا الْجَنَّةَ أَوْ أَعْتَقَهَا بِهَا مِنْ النَّارِ
Ek miskeena (fakeer aurat) mere paas ayee apni 2 betiyon ko liye huye mainey usko 3 khajurain dee usney har ek beti ko ek ek khajur dee aur teesri khajur khaney ke liye munh se lagayee itney mein uski betiyon ne wo khajur bhi mangi usney us khajur ke jisey khud khana chahti thi 2 tukdey kiye aur dono ko dediye, mujhe ye haal dekhkar taajjub hua mainey jo usney kiya tha Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se bayan kiya Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu ne is wajah se uskey liye jannat wajib kar di ya jahanam se aazad kar diya.
[Sahih Muslim, 6694]

Anas bin Malik radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya :

مَنْ عَالَ جَارِيَتَيْنِ حَتَّى تَبْلُغَا جَاءَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ أَنَا وَهُوَ وَضَمَّ أَصَابِعَهُ
Jo Do betiyon ko paale unke jawan hone tak, Qayamat ke din wo aur main is tarah se aayenge aur Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne apni unglion ko mila kar bataya.
[Sahih Muslim, 6695]
 
Last edited by a moderator:
Top