Esa Alaihissalam Ka Nuzool Aur Shariyat e Muhammadiya Ki Paas-Dari


Salafiyyah

New member
Esa Alaihissalam Ka Nuzool Aur Shariyat e Muhammadiya Ki Paas-Dari

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Quran o hadees ke muta'addid (kai) dalail se pata chalta hai ke Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke Baad koi Nabi nahi aaney wala hai. Aap hi Allah ki taraf se aakhri Nabi hain. Jaisa ke Allah taala ka farmaan hai:
مَا كَانَ مُحَمَّدٌ أَبَا أَحَدٍ مِنْ رِجَالِكُمْ وَلَٰكِنْ رَسُولَ اللَّهِ وَخَاتَمَ النَّبِيِّينَ ۗ وَكَانَ اللَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمًا​
Tarjuma: (Logo) Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam tumharey mardon mein se kisi ke baap nahi lekin woh Allah ke Rasool aur khatimun-nabiyyeen (yaani tamam Nabiyon ke khatm karney waley) hain."
(Surah Al-Ahzaab, surah No: 33, ayat no: 40)

Esa Alaihissalam ki Risaalat apney zamaney tak thi jo khatam ho gayi, Islam ne aatey hi Pichli tamam Shariyaton ko mansookh kar diya. Khud Esa Alaihissalam is baat ki basharat de kar gaye ke meri Risaalat khatam honey ke Baad Ahmad (Sallallahu alaihi wasallam) ko Risaalat milegi. Quran ne is baat ko yun bayan kiya hai:
وَإِذْ قَالَ عِيسَى ابْنُ مَرْيَمَ يَا بَنِي إِسْرَائِيلَ إِنِّي رَسُولُ اللَّهِ إِلَيْكُمْ مُصَدِّقًا لِمَا بَيْنَ يَدَيَّ مِنَ التَّوْرَاةِ وَمُبَشِّرًا بِرَسُولٍ يَأْتِي مِنْ بَعْدِي اسْمُهُ أَحْمَدُ ۖ فَلَمَّا جَاءَهُمْ بِالْبَيِّنَاتِ قَالُوا هَٰذَا سِحْرٌ مُبِينٌ​
Tarjuma: Aur jab Mariyam ke betey Esa ne kaha Aye (meri qaum), Bani Israel! Main tum sab ki taraf Allah ka Rasool hun. Mujh se pehley ki kitaab Tauraat ki main tasdeeq karney wala hun aur apney baad aaney waley ek Rasool ki main tumhein khushkhabri sunaney wala hun jinka naam 'Ahmad' hai. Phir jab wo unke paas khuli daleelein le kar aaye toh wo kehney lage yeh toh khula jaadu hai.
(Surah As-Saf, Surah No: 61, Ayat No: 6)

Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ke aaney se Esa Alaihissalam ki Risaalat khatam ho gayi, aur Qayamat ke qaayem honey tak Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki hi Risaalat chalegi. Goya jab Esa Alaihissalam Qayamat ke qareeb mein nazil hongey toh Aap Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki Shariyat ke perokaar (ittibaa karney waley) hongey aur usi ke mutabiq faisla karengey. Yeh baat upar zikr ki gai Aayaat se bhi sabit hoti hai, mazeed iskey alawah bhi bohot se wazeh aur sareeh dalail is silsiley mein maujood hain.

Mazeed kuch dalail dekhein:
(1) Abu Hurairah Radhiallahu Anhu farmate hain ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
وَالَّذِي نَفْسِي بِيَدِهِ لَيُوشِكَنَّ أَنْ يَنْزِلَ فِيكُمُ ابْنُ مَرْيَمَ حَكَمًا مُقْسِطًا فَيَكْسِرَ الصَّلِيبَ، وَيَقْتُلَ الْخِنْزِيرَ، وَيَضَعَ الْجِزْيَةَ، وَيَفِيضَ الْمَالُ حَتَّى لاَ يَقْبَلَهُ أَحَدٌ​
Tarjuma: Us zaat ki qasam jiske haath mein meri Jaan hai, woh zamana aaney wala hai jab Ibne Maryam (Esa Alaihissalam) tum mein ek aadil aur munsif (insaaf karney waley) haakim ki haisiyat se utrengey. Woh Saleeb ko tod dalengey, sowwaron (pigs) ko maar dalengey aur Jizya ko khatam kar dengey. Us waqt maal ki itni ziyadti hogi ki koi leney wala na rahega.
(Sahih Bukhari: 2222)

Yeh hadees batlati hai ke Esa Alaihissalam ka nuzool aadil hakim ke taur par hoga, na ke Nabi or Rasool ke taur par.

(2) Nabi Sallallahu alaihi wasallam ka farman hai:
وَالَّذِي نَفْسِي بِيَدِهِ ، لَوْ أَنَّ مُوسَى كَانَ حَيًّا ، مَا وَسِعَهُ إِلَّا أَنْ يَتْبَعَنِي‏​
Tarjuma: Qasam us zaat ki jiske haath mein meri jaan hai agar Musa (Alaihissalam) bhi zinda hotey toh unhein meri pairwi karney ke alawah koi charah na hota.
(Ahmad: 3 / 387, Hadees No: 14736)
Is hadees ko Sheikh Albani Rahimahullah ne Hasan Qarar diya hai.
(Irwa ul Galeel: 1589)

Yeh hadees batlati hai ke Musa Alaihissalam hon ya Esa Alaihissalam jo bhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Risaalat ke zamaaney mein rahengey unhein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki hi pairwi karni hogi.

(3) Uqba Bin Amir Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
لَوْ كَانَ بَعْدِي نَبِيٌّ لَكَانَ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ​
Tarjuma: Agar merey baad koi Nabi hota toh woh Umar Bin Khattab (Radhiallahu Anhu) hotey.
(Tirmidhi: 3686, Is Hadees ko Allama Albani Rahimahullah ne Hasan kaha hai)

Ye hadees naam ke sath batlati hai ke agar koi Mohammad Sallallahu alaihi wasallam ke Baad Nabi hota toh woh Esa Bin Mariyam nahi balke Umar Bin Khattab Radhiallahu Anhu hotey.

(4) Jabir Bin Abdullah Radhiallahu Anhu kehtey hain ki meine Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko farmatey huwe suna:
لاَ تَزَالُ طَائِفَةٌ مِنْ أُمَّتِي يُقَاتِلُونَ عَلَى الْحَقِّ ظَاهِرِينَ إِلَى يَوْمِ الْقِيَامَةِ - قَالَ - فَيَنْزِلُ عِيسَى ابْنُ مَرْيَمَ صلى الله عليه وسلم فَيَقُولُ أَمِيرُهُمْ تَعَالَ صَلِّ لَنَا ‏.‏ فَيَقُولُ لاَ ‏.‏ إِنَّ بَعْضَكُمْ عَلَى بَعْضٍ أُمَرَاءُ ‏.‏ تَكْرِمَةَ اللَّهِ هَذِهِ الأُمَّةَ​
Tarjuma: Meri ummat ka ek giroh hamesha haq pe qayam rehte huwe qitaal karta rahega woh Qayamat ke din tak galib rahega. Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Phir Esa Bin Mariyam Alaihissalam nazil honge, toh us waqt ka ameer kahega: Aagey badhein aur humein namaz padhayen. Toh Esa Alaihissalam kahengey: Nahi, tum khud hi aapas me ek dusre par ameer ho. Yeh Allah taala ne is ummat ko Shaan bakhshi hai.
(Sahih Muslim:156)

Ye hadees batlati hai ke Esa Bin Mariyam Alaihissalam ki maujoodgi mein bhi pehle se muta’ayyan Imaam Imamat karayengey jo ke is ummat (ummat se muraad Bani Israel nahi, balki Ummat e Mohammadiya hai) ke liye Allah ki taraf se fazeelat hai.

Isi maane ki riwayat Sahih Bukhari aur Sahih Muslim mein maujood hai. Riwayat is tarah se hai:
قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏: كَيْفَ أَنْتُمْ إِذَا نَزَلَ ابْنُ مَرْيَمَ فِيكُمْ وَإِمَامُكُمْ مِنْكُمْ​
Tarjuma: RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Us waqt tumhari kya kaifiyat hogi jab Esa Bin Mariyam Alaihissalam tumharey darmiyan utrengey aur tumhara imaam tum hi mein se hoga.
(Sahih Bukhari: 3449 and Sahih Muslim: 155)

Upar zikr kiye gaye tamam dalail se Yeh baat sabit hoti hai ke, Esa Alaihissalam ummati ke taur par aadil hukmraan ban kar utrengey. Aur Mohammad ki shariyat ka paband ho kar faisla karengey.
Aap kisi naye firqe ki nisbat aur mu’ayyan Imaam ki taqleed se paak hongey.
 
Last edited by a moderator:
Top