Ibnatu Ali

Member
Billi Namaz Parh Rahi Hai

Romanised By: Umar Asari

Aayen janab, Social Media ki dunya mein aap ko khush-aamdeed.
Social Media ki is wasee (kushada) duniya mein jahan aap ko kuch kaam ki batein milengi wahin aap ko mukhtalif tarah ki khurafaat ka bhi saamna karna padega.
Yahan aap ko kabhi koi billi kisi video mein namaz parhti nazar aayegi, kabhi koi parindah sajda karta dikhayi dega.

Kabhi Khana e Ka’ba ke upar ek farishta zahir hoga jo khud Baitullah mein kisi ko dikhayi nahi dega magar hum Facebooki musalmanon ko nazar aayega.
Kabhi Michel Jackson Zain Bhikha ki aawaaz mein famous english hamd (say thanks to allah) gaa raha hoga aur sab andha dhund Sub-hanallah Sub-hanallah keh rahe honge.

Yahin kahin kisi post mein aap ko Hazrat Aisha Radhiallahu Anha ki silai machine (sewing machine) bhi dikhayi degi,
Kya kaha nahi nazar aayi???
Arey bhai Sub-hanallah aur Masha Allah ke comments hata kar dekhen yahin kahin payi jayegi.

Facebooki duniya mein hi kabhi kisi deewar ya page ki khudayi karen to yeh baat bhi aap ke ilm mein aayegi ke famous khalabaz (astronaut) Neil Armstrong jab chand par gaya to usey wahan sirf ek aawaaz sunayi di jo ke azaan ki aawaaz thi aur unhon ne chaand se wapsi par fauran Islam qabool kar liya.

Ab is tafseel mein kon jaaye ke chaand par fiza (atmosphere) zameen jaisi nahi aur wahan aawaaz sunayi nahi deti, na hi koi is tahqeeq mein padega ke is American astronaut ke chaand par jaane aur na jaane ke baare mein bhi do raaye hain.

Kabhi Buddhist ke azeem rehnuma Dalai Lama hamare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Azmat ka aiteraaf karte hain aur kehte hain ke Islam aman ka deen hai to hum apna zehni tawazun kho baithte hain aur kehte hain ke is video ko itna share karo ke tamam musalmanon ko is baat ka yaqeen/ilm ho jaye………..

Koi mujhe bataye ke hamare aqeede itne kamzoor hain ke hamein Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki Zaat e Aqdas ki azmat ki gawahi in ghair muslimon se leni padegi?

Yahin aap ko sachche aur pakke muslim bhaiyon ki taraf se paish ki gayi woh post bhi nazar aayegi ke jo aap ne agay share na ki to aap daira e Islam se kharij ho jayenge aur agar Masha Allah aur Sub-hanallah na kaha gaya to aap duniya ke sab se bade kanjoos kehlaye jayenge.

Allah ke bando! Kuch to zor apne zehan par bhi dala karo ke usay zang na lag jaye. Is baat se kise inkaar hai ke Allah ki yeh makhlooq charind parind us ki hamd aur tareef mein masroof hain magar un ka tareeqa hum se mukhtalif hai, namaz hum par farz hai na ke un billiyon par jinhein musalman banane ki koshish mein aap lage hain.

Kisi cheez ko share na karne se log kafir hone lage to ho gaya kaam, hum to daira e islam se kharij qarar payenge phir.

Zaroorat is baat ki hai ke andhi taqleed karne ke bajaye kisi bhi cheez par yaqeen aur share karne se pehle is baat ko yaqeeni bana liya jaye ke aaya yeh sach hai ya is ki koi haisiyat hai bhi ke nahi………………..
 
Top