Bimaar Ki Iyaadat


Abdul Mussavir

New member
بسم الله الرحمن الرحيم

Bimaar ki Iyadat

Hamara koi bhai jab bimar ho to hame uski iyadat karni chahiye uske paas jakar uski khair khabar puchni chahiye.

Hadees :- (Sahi Muslim 2162)

Abu Huraira رضي الله عنه se marvi hadees hai ke musalam ke musalmaan par 6 huqooq hai

" حَقُّ الْمُسْلِمِ عَلَى الْمُسْلِمِ سِتٌّ ". قِيلَ : مَا هُنَّ يَا رَسُولَ اللَّهِ ؟ قَالَ : " إِذَا لَقِيتَهُ فَسَلِّمْ عَلَيْهِ، وَإِذَا دَعَاكَ فَأَجِبْهُ، وَإِذَا اسْتَنْصَحَكَ فَانْصَحْ لَهُ، وَإِذَا عَطَسَ فَحَمِدَ اللَّهَ فَشَمِّتْهُ، وَإِذَا مَرِضَ فَعُدْهُ، وَإِذَا مَاتَ فَاتَّبِعْهُ

1) jab usse mile to salaam kar
2) jab woh tuje dawat de to qabool kar
3) jab woh tujse khair khawahi talab kare to tu uski khair khawahi kar
4) jab woh cheenkhe (sneezing) aur Alhamdulillah kahe to tu dua kar yani yar-hamukallah kaho
5) jab woh beemar ho jaye to uski iyadat karo
6) aur jab woh faut ho jaye to uske janaze me shareeq ho

Aur dusri Rivayat me hai ke Abu Musa Ashari رضي الله عنه se marvi hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya:-

عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ : " أَطْعِمُوا الْجَائِعَ، وَعُودُوا الْمَرِيضَ، وَفُكُّوا الْعَانِيَ "

Bhuko ko khana khilao , mareez ki iyadat karo, qaidiyo ko chudao

(Sahi Bukhari 5373)

Aap ﷺ ne na sirf iss bat ki talqeen ki balqe karke bhi dikhaya hai jesa ki Jabir bin Abdullah رضي الله عنه kehte hai :-

مَرِضْتُ مَرَضًا، فَأَتَانِي النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَعُودُنِي وَأَبُو بَكْرٍ،

Me ek dafa bimaar hua to mere pass Rasulullah ﷺ aur Hazrat Abu Bakar رضي الله عنه iyadat ke liye tashreef laaye

(Sahi Bukhari 5651)


Iyadat karne ke faide


مَنْ عَادَ مَرِيضًا لَمْ يَزَلْ فِي خُرْفَةِ الْجَنَّةِ حَتَّى يَرْجِعَ

Iyadat karne wala ba-waqt iyadat mewah-zaar me hota hai (Sahi Muslim 2568)

Iyadat karne wale par rehmat ilahi ka nuzool hota hai nez uske liye farishte dua karte hai

Hadees :-

مَنْ أَتَى أَخَاهُ الْمُسْلِمَ عَائِدًا مَشَى فِي خِرَافَةِ الْجَنَّةِ حَتَّى يَجْلِسَ، فَإِذَا جَلَسَ غَمَرَتْهُ الرَّحْمَةُ، فَإِنْ كَانَ غُدْوَةً صَلَّى عَلَيْهِ سَبْعُونَ أَلْفَ مَلَكٍ حَتَّى يُمْسِيَ، وَإِنْ كَانَ مَسَاءً صَلَّى عَلَيْهِ سَبْعُونَ أَلْفَ مَلَكٍ حَتَّى يُصْبِحَ ".

Jo apne musalmaan bhai ki iyadat ke liye araha ho to woh jannat me chal rha hai yaha tk ke beth jaye aur jab woh beth jaye to rehmat usko dhaanp leti hai , agar subh ka waqt ho to shaam tk farishte uske liye rehmat wa bakshish ki dua karte hai aur agar sham ka waqt ho to subh tk 70hazar farishte uske liye dua karte hai .
(Sunan ibn majah 1442)

Iyadat karne wale ke liye jannat me ek ghar banaya jata hai

Hadees :-

مَنْ عَادَ مَرِيضًا نَادَى مُنَادٍ مِنَ السَّمَاءِ : طِبْتَ، وَطَابَ مَمْشَاكَ، وَتَبَوَّأْتَ مِنَ الْجَنَّةِ مَنْزِلًا ".

Abu Huraira رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya

Jo kisi bimaar ki iyadat kare to asmaan se ek farishta elaan karta hai ke tumne khoob Kiya aur tumhara chalna bhi pasandidah hai aur tumne jannat me ghar bana liya.

(Sunan Ibn majah 1443)

Iyadat na karne ka nuksaan

إِنَّ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ يَقُولُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ : يَا ابْنَ آدَمَ مَرِضْتُ فَلَمْ تَعُدْنِي. قَالَ : يَا رَبِّ، كَيْفَ أَعُودُكَ وَأَنْتَ رَبُّ الْعَالَمِينَ ؟ قَالَ : أَمَا عَلِمْتَ أَنَّ عَبْدِي فُلَانًا مَرِضَ فَلَمْ تَعُدْهُ، أَمَا عَلِمْتَ أَنَّكَ لَوْ عُدْتَهُ لَوَجَدْتَنِي عِنْدَهُ ؟

Allah سبحانه وتعالى Qayamat ke din farmayga Aey Ibn Adam! Me bimaar hua aur tune meri iyadat nhi kari woh kahega Aey parwadigaar me teri iyadat kese karta halanke tu rabbul-alameen hai. Allah farmayga kiya tu nhi janta ki mera fala banda bimaar tha aur tune uski iyadat nhi ki , kiya tu nhi janta agar tu uski iyadat karta to muje tu uske pass pata .

(Sahi Muslim 2569)


Ab raha sawaal yeh ke iyadat kese karna chahiye ? Dauran iyadat hume kiya karna chahiye ? Aap ﷺ ne agar hume iyadat ki talqeen ki hai to iyadat ka tareeqa bhi btaya hoga , bimaar ke pass jaaye to hum kiya kare kya na kare ?

Is silsile me Rasulullah ﷺ ne hamari rehnumayi ki hai


1) Bimaar par dum kare

Jab Nabi ﷺ bimaar hue to Aap ﷺ ke pas Jibraeel Ameen aaye aur un par dum kiya jesa Hazrat Abu Saeed khudri رضي الله عنه se rivayat hai :-

أَنَّ جِبْرِيلَ أَتَى النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ : يَا مُحَمَّدُ، اشْتَكَيْتَ ؟ فَقَالَ : " نَعَمْ ". قَالَ :

Jibraeel Nabi ﷺ ke pass aaye aur farmaya Aey Muhammad Kiya aap bimaar hai ? Aap ﷺ ne kaha haan . Jibraeel ne kaha :-

بِاسْمِ اللَّهِ أَرْقِيكَ، مِنْ كُلِّ شَيْءٍ يُؤْذِيكَ، مِنْ شَرِّ كُلِّ نَفْسٍ، أَوْ عَيْنِ حَاسِدٍ اللَّهُ يَشْفِيكَ، بِاسْمِ اللَّهِ أَرْقِيكَ.

Mein Allah ke naam se aapko har takleef dene wali cheej se har khabees nafs ki burayi se aur har hasad karne wale ki nazar se dum karta hu me Allah ke naam se aap ko dum karta hu Allah apko shifa ata farmaye

(Sahi Muslim 2186)

Isi tarah jab Sabit Al-banani رحمه الله bimaar hue to Anas رضي الله عنه ne un par dum kara aur yeh kalimat kahe :-

اللَّهُمَّ رَبَّ النَّاسِ، مُذْهِبَ الْبَاسِ، اشْفِ أَنْتَ الشَّافِي، لَا شَافِيَ إِلَّا أَنْتَ، شِفَاءً لَا يُغَادِرُ سَقَمًا.

Aey Allah logo ke paalne wale isse takleefo ko dur karne wale shifa ata farma kyuki tere bagair koi shifa dene wala nhi esi shifa ata farma ke koi bimaar na rahe.

(Sahi Bukhari 5742)

2) Bimaar ki shifa ke liye dua kare.

Aap ﷺ ka yeh ma'mul tha ki jab kabhi aap kisi bimaar ki iyadat ke liye jaate to uske liye shifa ki dua karte

Ba-waqt iyadat Aap ﷺ se ek dua :-

Hadees :- ( Sunan Abu Dawood 3106)

Hazrat Ibn Abbas رضي الله عنه se rivayat hai ki Rasulullah ﷺ ne farmaya :-

مَنْ عَادَ مَرِيضًا لَمْ يَحْضُرْ أَجَلُهُ، فَقَالَ عِنْدَهُ سَبْعَ مِرَارٍ

Jo shaqs kisi bimaar ki iyadat ke liye jaaye to USS ke pass beth kar yeh dua 7 martaba padhe :

*أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ، إِلَّا عَافَاهُ اللَّهُ مِنْ ذَلِكَ الْمَرَضِ ".

Me Allah se darkhwast karta hu jo azmat wala hai aur badi azmat wale arsh ka malik hai woh tujko shifa ata farmaye.

agar abhi iss ki maut ka waqt nhi aya hai to Allah ta'la iss ko iss marz se sehat Ata farmayga

Ek dusri Dua

لَا بَأْسَ، طَهُورٌ إِنْ شَاءَ اللَّهُ ".

Aap ﷺ ne ek dehati ki iyadat ke waqt yeh dua padhi jesa ki ibn Abbas se marvi hai.

(Sahi Bukhari 3116)

3) Iyadat karne wala apna hath us bimaar shaqs ke jism par phere


jesa ki Aisha رضي الله عنها ki rivayat hai :-

كَانَ يُعَوِّذُ بَعْضَ أَهْلِهِ، يَمْسَحُ بِيَدِهِ الْيُمْنَى وَيَقُولُ

Aap ﷺ ne ta'wooz padh kar apni ba'az biwiyo ke takleef ke muqaam par apna daya hath pherte aur farmate :-

اللَّهُمَّ رَبَّ النَّاسِ، أَذْهِبِ الْبَاسَ، اشْفِهِ وَأَنْتَ الشَّافِي، لَا شِفَاءَ إِلَّا شِفَاؤُكَ، شِفَاءً لَا يُغَادِرُ سَقَمًا

Aey Allah ! Logo ke parwadigaar ! takleef dur kar iss ko shifa de aur tu shifa dene wala hai shifa teri hi hai esi shifa jo bimar ko na chode.

(Sahi bukhari 5743)

4) Hath pherne ke sath sath bimar shaqs ko tasalli bhi de ke iss bimar me aapko azr milega

Hazrat Ayesha binte sa'ad rivayat karti hai ke unke walid sa'ad ibn abi waqas رضي الله عنه kka bayan hai ke me mecca me bimar hua to rasulullah ﷺ ne meri iyadat ke liye tashreef laye fir mere seene aur peeth par hath phera aur farmaya :-

أَبَاهَا قَالَ : اشْتَكَيْتُ بِمَكَّةَ، فَجَاءَنِي النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَعُودُنِي، وَوَضَعَ يَدَهُ عَلَى جَبْهَتِي، ثُمَّ مَسَحَ صَدْرِي وَبَطْنِي، ثُمَّ قَالَ : " اللَّهُمَّ اشْفِ سَعْدًا، وَأَتْمِمْ لَهُ هِجْرَتَهُ

Aey Allah sa'ad ko shifa ata farma aur iski hijrat puri farma(yani isse medina pohucha de

(Sunan Abu Dawood 3104

5) Bimar ke samne achi baat karo

Hadees :-

إِذَا حَضَرْتُمُ الْمَرِيضَ، أَوِ الْمَيِّتَ، فَقُولُوا خَيْرًا، فَإِنَّ الْمَلَائِكَةَ يُؤَمِّنُونَ عَلَى مَا تَقُولُونَ ". قَالَتْ : فَلَمَّا مَاتَ أَبُو سَلَمَةَ، أَتَيْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقُلْتُ : يَا رَسُولَ اللَّهِ، إِنَّ أَبَا سَلَمَةَ قَدْ مَاتَ، قَالَ : " قُولِي :

Rasulullah ﷺ ne farmaya :- jab tum bimaar ya maiyyat ke pass jao to achi baat kaho kyu ki farishte tumhari baat par aameen kahenge .

Jab abu salma faut hue to Nabi ﷺ tashreef laaye to mene arz kiya ya Rasulullah ﷺ abu salama ka inteqaal ho gya Aap ﷺ ne farmaya

:-اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَلَهُ، وَأَعْقِبْنِي مِنْهُ عُقْبَى حَسَنَةً ". قَالَتْ : فَقُلْتُ، فَأَعْقَبَنِي اللَّهُ مَنْ هُوَ خَيْرٌ لِي مِنْهُ ؛ مُحَمَّدًا صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ.

Aey Allah mujhe aur isko muaaf farma de aur muje isse acha badla ata farma.

(Sahi Muslim 919)
-Ahl-us-sunnah magazin mumbai March 2019
 
Top