Umar Asari

Administrator
Staff member
Bina Takabbur Ke Bhi Pajama etc Takhne Se Neeche Latkaana Jaaiz Nahi

Tehreer: Umar Asari

Abdur Rehman kehte hain:
سَأَلْتُ أَبَا سَعِيدٍ الْخُدْرِيَّ عَنِ الْإِزَارِ، ‏‏‏‏‏‏فَقَال:‏‏‏‏ عَلَى الْخَبِيرِ سَقَطْتَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ إِزْرَةُ الْمُسْلِمِ إِلَى نِصْفِ السَّاقِ، ‏‏‏‏‏‏وَلَا حَرَجَ أَوْ لَا جُنَاحَ فِيمَا بَيْنَهُ وَبَيْنَ الْكَعْبَيْنِ مَا كَانَ أَسْفَلَ مِنَ الْكَعْبَيْنِ، ‏‏‏‏‏‏فَهُوَ فِي النَّارِ مَنْ جَرَّ إِزَارَهُ بَطَرًا لَمْ يَنْظُرِ اللَّهُ إِلَيْهِ​
“Main ne Abu Sa’eed Khudri Radhiallahu Anhu se tehband ke mutalliq poocha to woh kehne lage: Achche jaankaar se tum ne poocha hai, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya: “Musalmaan ka tehband aadhi pindli tak rehta hai, tehband pindli aur takhnon ke darmiyaan mein ho to bhi koi harj ya koi muzaiqah nahi, aur jo hissah takhne se neeche hoga woh jahannum mein rahega aur jo apna tehband ghuroor o takabbur se ghaseetega to Allah use rehmat ki nazar se nahi dekhega”.
(Abu Dawood: 4093)
❗Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai.

Is Hadees mein gaur karen.
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki musalmaan ka tehband aadhi pindli tak rehta hai aur agar uska tehband pindli aur takhnon ke darmiyaan mein ho to bhi koi harj nahi. Yani ek musalmaan ka tehband hamesha takhne se upar hona chahiye.
Kya yeh Hadees sareeh aur waazeh nahi hai?
Yeh Hadees to bata rahi hai ki takhno se upar hi paint, pajaama aur tehband waghera hona chahiye. Lekin hamaara amal kya hai? Kya hamaara amal Hadees ke khilaaf nahi?
Gaur karen. Soochen aur apni islaah karen.

Kuch log kehte hain ki agar bina takabbur ke paint, pajaama aur tehband waghera takhne se neeche latka len to jaaiz hai. Halaanki isi Hadees mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne khud wazahaat kar di hai ki jo hissa takhne neeche hoga woh jahannum mein rahega. Chaahe us mein takabbur ho ya na ho. Mazeed yeh bhi bayaan farmaa diya ki jo shakhs takabbur ke saath apni paint, pajaama aur tehband waghera takhne se neeche latkaayega to Allah use rehmat ki nazar se nahi dekhega.
Isliye is Hadees par gaur karen. Aur takhne se neeche kapda latkaane se parhez karen.

Yeh hukm mardon ke liye tha. Aurton ka hukm is se alag hai.
Aurat Apna Pajama or Shalwaar Wagera (Yaad Rahey Key Aurat Ka Libaas Tang or Chust Na Ho) Takhney Se Neechey Rakheygi Or Kitna Rakheygi Aaye Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Dekhtey Hain:
عَنْ ابْنِ عُمَرَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مَنْ جَرَّ ثَوْبَهُ خُيَلَاءَ لَمْ يَنْظُرْ اللَّهُ إِلَيْهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ فَقَالَتْ أُمُّ سَلَمَةَ فَكَيْفَ يَصْنَعْنَ النِّسَاءُ بِذُيُولِهِنَّ قَالَ يُرْخِينَ شِبْرًا فَقَالَتْ إِذًا تَنْكَشِفُ أَقْدَامُهُنَّ قَالَ فَيُرْخِينَهُ ذِرَاعًا لَا يَزِدْنَ عَلَيْهِ​
“Abdullah Bin Umar Radhiallahu Anhuma Kehte Hain Ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Jo Shakhs Takabbur Se Apna Kapda Ghseetega Allah Taala Qayamat Ke Din Us Ki Taraf Nahi Dekhega, Umm e Salma Radhiallahu Anha Ne Kaha: Aurtein Apney Damanon Ka Kya Karen? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Aik Balisht Latka Len. Unhon Ne Kaha: Tab To Unkey Qadam Khul Jayenge, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Aik Balisht Latkayen. Or Issey Zada Na Latkayen.”
(Tirmidhi: 1731)

Is Hadees Se Maloom Huwa Kay Kapda Latkanay Key Silsiley Mein Mardon Aur Aurton Ke Liye Alag Alag Hukm Hai, Mardon Ke Liye Aadhi Pindli Tak Latkaana Ziyada Behtar Hai, Albatta Takhnon Tak Rakhnay Ki Ijazat Hai, Lekin Takhnon Ka Khula Rakhna Behad Zaroori Hai, Is Ke Bar Aks (Opposite) Aurtein Na Sirf Takhnay Balkay Paon Tak Chupayengi, Khaas Taur Par Jab Woh Bahar Niklen To Is Ka Khayaal Rakhen Ke Paon Par Kisi Ghair Mehram Ki Nazar Na Padey.

Allah Hamein Amal Ki Taufeeq Ata Farmaye.
Aameen.
 
Top