Waqiya-e-me'raj. Namaz kis tarah farz hui...


Waqiya-e-me'raj. Namaz kis tarah farz hui...


باب كَيْفَ فُرِضَتِ الصَّلاَةُ فِي الإِسْرَاءِ

BAAB: Is baray mein ki shab e Meraj mein Namaz kis tarah farz hui?

Abu dhar Ghifari radhi Allahu anhu ye hadith bayan karte they ki Nabi Sallallahu alaiyhe wasallam ne farmaya ki mere ghar ki chhat khol di gai. Is waqt main makkah mein tha. Fir jibrail alaiyhe salaam utrain aur inhone mera seena (chest) chaak kiya. Fir isse Zam Zam ke pani se dhoya. Fir ek sone (gold) ka tasht (tray) jo hikmat aur emaan se bhara hua tha. Isko mere seeney mein rakh diya, Fir seeney ko jord diya, Fir mera hath pakrda aur mujhe aasman ki taraf lay kar chale. Jab main pahle aasman par pahucha toh Jabrail alaiyhe salam ne aasman ke daroga se kaha KHOLO. Isne pucha. Aap kaun hain? Jawab diya ki jibrail. Fir inhone pucha kya aapke sath koi aur bhi hain? Jawab diya haan. Mere sath muhammad Sallallahu alaiyhe wasallam hain. Inhone pucha ki kya in ke bulaney ke liye aapko bheja gaya tha? Kaha G-haan! Fir jab inhone darwaza khola toh hum pahle aasman par chard gaye. Waha humne ek shaks ko baithe hue dekha. Inke dahiney (right) taraf kuch logo ke jhund theay. Aur kuch jhund baaye (left ) taraf theay. Jab wo apni dahiney(right) taraf dekhtein toh muskuratein aur jab baayein(left) taraf nazar kartein toh rotey. Inhone mujhe dekh kar farmaya: Aao achchhe aaye ho. Saleh (pious) nabi aur saleh (pious) bete. Maine jibrail alaiyhe salam se pucha: Yeh kaun hain? Inhone kaha yeh Aadam alaiyhe salaam hain aur inke daayein aur baayein (right-left) jo jhund hain yeh inke beto ki roohein hain. Jo jhund daayein (right) taraf hain wo jannati hain aur baayein taraf ke jhund dozakhi roohein hain. Isliye jab wo apne daayein taraf dekhein hain toh khushi se muskuratey hain aur baayein taraf dekhtein hain toh (ranj se) rotey hain. Fir jibrail mujhe lay kar dusrey aasman tak pahuchein aur iske daroga se kaha. Kholo Is aasman ke daroga ne bhi pahle daroga ki tarah pucha fir khol diya. Hazrat Anas ne kaha ki Abu dhar ne zikr kiya ki aap Sallallahu alaiyhe wasallam yani Nabi-e-karim Sallallahu alaiyhe wasallam ne aasman par Aadam, Idris, Musa, iesa, aur ibrahim alahyhe salam ko maujood paya. Aur abu dhar radhi Allah anhu ne har ek ka thikana nahi bayan kiya. Albatta etna bayan kiya ki anhazrat Sallallahu alaiyhe wasallam ne hazrat Aadam ko pahle aasman par paaya aur hazrat ibrahim alaiyhe salam ko chhtein(six) aasman par. Anas ne bayan kiya jab jibrail alaiyhe salam nabi-e-karim sallallahu alaiyhe wasallam ke sath idris alaiyhe salam par guzrein toh. Inhone farmaya ki. Aao achchhe aye ho. Saleh nabi aur saleh bhai. Maine pucha yeh kaun hain? Jawab diya ki yeh Idris alaiyhe salam hain. Fir Musa alaiyhe salam tak pahucha toh inhone farmaya. Aao achchhe aaye ho. Saleh nabi aur saleh bhai. Maine pucha yeh kaun hain? Jibrail alaiyhe salam ne bataya ki Musa alaiyhe salam hain. Fir main Isa alaiyhe salam tak pahucha. Inhone kaha. Aao achchhe aaye ho. Saleh nabi aur saleh bhai. Maine pucha yeh kaun hain? Jibrail alaiyhe salam ne bataya ki Isa alaiyhe salam hain. Fir main Ibrahim alaiyhe salam tak pahucha.Inhone farmaya. Aao achchhe aaye ho. Saleh nabi aur saleh bete. Maine pucha yeh kaun hain? Jibrail alaiyhe salam ne bataya ki ye hazrat Ibrahim alaiyhe salam hain. Ibne shahab ne kaha ki mujhe Abu Bakr bin hazam ne khaber di. Ki Abdullah bin Abbas aur Abu habtat ansari radhi Allahu anhu kahtein theay ki Nabi-e-karim Sallallahu alaiyhe wasallam ne farmaya fir mujhe Jibrail alaiyhe salam lay kar chardey. Ab main is buland maqaam tak pahuch gaya. Jahan maine kalam (pen) ki awaaz suni. Jo likhne wale farishton ki kalmo (pen) ki aawaz thi. (Ibne hazam ne apne sheikh se aur ( Anas bin malik ne abu dhar radhi Allahu anhu se nakal ki Nabi-e-karim Sallallahu alaiyhe wasallam ne farmaya ki pas Allah taa,la ne meri ummat ki pachas(50) waqt ki namaz farz ki. Main yeh hukm lay wapas lauta. Jab Musa alaiyhe salam tak pahucha toh inhone pucha ki aapki ummat par Allah ne kya farz kiya hain? Maine kaha ki pachaas (50) waqt ki namaz farz ki hain. Inhone farmaya ki aap wapas apne Rab ki baargah mein jaye. kyuki aapki ummat etni namaz ko ada karne ki taqat nahi rakhti hain. Main wapas baargah Rabbul izzat mein gaya toh Allah ne ismein se ek hissa kam kar diya. Fir Musa alaiyhe salam ke pass wapas aaya aur kaha ki ek hissa kam kar diya hain. Inhone kaha ki dobara jaye kyuki aap ki ummat mein is ke bardaasht ki bhi taqat nahi hain. Fir main baargah Rabbul izzat mein hazir hua. Fir ek hissa kam hua. Jab Musa alaiyhe salam ke pass pahucha toh inhone farmaya ki apne Rab ki baargah mein fir jaye. Kyuki aapki ummat isko bhi bardaasht na kar sakegi. Fir main baar - baar aaya gaya. Pas Allah ne farmaya ki yeh Namazein (amal mein) paach hain aur (sawab mein) pachaas ke barabar hain. Meri baat badli nahi jati. Ab main Musa alaiyhe salam ke pass aaya toh inhone fir kaha ke apne Rab ke paas jaye. Lakin maine kaha mujhe ab apne Rab se sharm aati hain. Fir Jibrail mujhe Sidrat-il-Muntaha tak lay gaye. Jisey kai tarah ke rango ne dhaank rakha tha. Jin ke mutaliq mujhe maalum nahi hua ki wo kya hain. Ab ke baad mujhe Jannat mein lay jaya gaya. Maine dekha ki isme motiyo ke haar hain aur iski mitti mushk ki hain

Sahih bukhari Hadith: 349
 
Top