8+3=11 Rakat Taraweeh ke mutalliq Moatta IMAM Malik Ki Hadees


Abdul Adil

Member
8+3=11 Rakat Taraweeh ke mutalliq Moatta IMAM Malik Ki Hadees

Tahreer :- Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Imam Malik Rahimaullah {Died 179 H} Farmate hai

"عن محمد بن يوسف، عَنْ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ أَنَّهُ قَالَ أَمَرَ عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ أُبَيَّ بْنَ کَعْبٍ وَتَمِيمًا الدَّارِيَّ أَنْ يَقُومَا لِلنَّاسِ بِإِحْدَی عَشْرَةَ رَکْعَةً قَالَ وَقَدْ کَانَ الْقَارِئُ يَقْرَأُ بِالْمِئِينَ حَتَّی کُنَّا نَعْتَمِدُ عَلَی الْعِصِيِّ مِنْ طُولِ الْقِيَامِ وَمَا کُنَّا نَنْصَرِفُ إِلَّا فِي فُرُوعِ الْفَجْرِ

Sayib Bin Yazeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai ki Umar Bin Khattab Razi Allahu Anhu ne Ubayi Bin Ka'ab aur Tameem Daari Razi Allahu Anhuma ko 11 rakat taraweeh padhane ka huqm diya . Sayib BIN Yazeed Razi Allahu Anhu kahte hai ki Imam 100-100 Aayte Ek Rat me padhta tha Yaha tak ki ham taweel qayam ki wajah se lakdi par tek laga kar khade hote the aur fazar ke kareeb Namaz se faarig hote the.

[الموطأ للإمام مالك (115/1) وإسناده صحيح على شرط الشيخين، ومن طريق مالك رواه النسائي في السنن الكبرى (113/3) رقم(4687)، و الطحاوي في شرح معاني الآثار (٢٩۳/۱) رقم(1741)، و أبوبكر النيسابوري في الفوائد (ق 136/أ)، و البيهقي في السنن الكبرى (٤٩٦/٢) رقم (٤٣٩٢) كلهم من طريق مالك به.]

Note :- Is Hadees Se Sabit hota hai ki Taraweeh Aur Tahajjud ek hi namaz hai kyunki Hazrat Sayib Bin Yazeed Razi Allahu Anhu ne kaha ki Ham fazar ki namaz ke kareeb taraweeh padh kar farig hote the yani Sahabi Razi Allahu Anhu ke pass tahajjud padhne ka waqt nahi hota tha. Kyunki Fazar ek dam kareeb hoti thi.

Ye Riwayat Moatta Imam Malik Ki Bukhari aur Muslim ki shart par Sahih hai , iski sanad me kisi illat ka name wa nishan nahi hai

Is riwayat se maloom hua ki Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne 8 rakat taraweeh aur 3 WITR hi ka huqm diya aur unke daur me 8 rakat TARAWEEH hi hoti thi , iske bar khilaaf kisi ek bhi RIWAYAT me ye saboot nahi milta ki Ahad e Farookhi me ya usse qabl ya uske baad kisi ek bhi Sahabi ne 8 rakat se zayed taraweeh padhi ho, isse sabit hua ki taraweeh 8 rakat hone par tamam Sahaba ka ijma tha .

Ayiye ab is riwayat ki sanad dekhte hai

Moatta Imam Malik ki is Hadees ki sanad bilkul sahih aur be-daag hai Is riwayat ki ahem khususiyat ye Hai ki Sahabi E Rasool Umar Farookh Razi Allahu Anhu se riwayat nakal karne wale Sayib Bin Yazeed Razi Allahu Anhu bhi Sahabi E Rasool hai , Fir Imam Malik Aur Sahabi ke beech ek raawi Muhammad bin Yousuf hai jo bukhari wa muslim ke jabardast Siqa'a RAAWI hai Ab Fardan Fardan iski sanad ke RIJAAL ka taaruf mulahiza farmaye

1] Hazrat Umar Bin Khattab Razi Allahu Anhu ______

Aap Sahabi E Rasool Aur Doosre khalifa hai Lihaja Mazeed TAFSEEL ki jarurat nahi hai.

2] Sayib Bin Yazeed Razi Allahu Anhu

Aap Bhi Sahabi E Rasool hai jaise ki Bukhari ki Ek hadees me iska saboot hai.

Imam Bukhari Rahimaullah (Died 256H) farmate hai.

حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ يُونُسَ ، حَدَّثَنَا حَاتِمُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ ، عَنْ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ ، قَالَ : حُجَّ بِي مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَأَنَا ابْنُ سَبْعِ سِنِينَ

Muhammad Bin Yousuf Rahimaullah bayan karte hai ki Sayib Bin Yazeed Razi Allahu Anhu ne kaha Mujhe Rasoolullah ﷺ ke sath hajj karaya gaya tha aur main us waqt 7 saal ka tha .

[Sahih Bukhari Hadees Number - 1858]

Lihaja Aap Bhi Sahabi hai to Aapki Mazeed Taaruf ki jarurat nahi hai

3] Muhammad Bin Yousuf Rahimaullah

Aap Bukhari Wa Muslim ke jabardast Siqa'a raawi hai , Aapki Siqaat wa itteqan par ahle fan ka ittefaq hai

Mere naaqis mutale ki had tak kisi bhi Imam ne in par koyi jarah nahi ki hai Lihaja inke bare me bhi TAFSEEL pesh karne ki jarurat nahi hai .

Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah ne inke mutalliq ahle fan ke aqwaal ka khulaasha pesh karte huye inhe Siqa'a sabit kiya

Chunancha Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah farmate hai

"محمد بن يوسف بن عبد الله الكندي المدني الأعرج

ثقة ثبت،

[التهذيب لابن حجر، رقم (6414) صحیح]

4] Imam Malik Rahimaullah

Aap Aimmah E Arabah me se ek maroof Imam Hai Ap bhi mohtaaz e taroof nahi , maloom hua ki ye Riwayat bahut hi buland paya siqa aur maroof aur Mashoor RIWAYAT hai

Riwayat E Mazkoorah Ke Tamam rizaal na sirf siqa'a hai balki Bukhari wa muslim rizaal me se hai balki isi sanad se Bukhari wa Muslim me hadees bhi manqool hai

Same isi sanad ke sath Bukhari me hadees

Imam Bukhari Rahimaullah (Died 256H) ne kaha

حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ يُونُسَ ، حَدَّثَنَا حَاتِمُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ ، عَنْ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ ، قَالَ : حُجَّ بِي مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَأَنَا ابْنُ سَبْعِ سِنِينَ

[Sahih Bukhari Hadees Number - 1858]

حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ ، حَدَّثَنَا حَاتِمٌ ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ ، عَنْ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ ، قَالَ : صَحِبْتُ طَلْحَةَ بْنَ عُبَيْدِ اللَّهِ وسَعْدًا والْمِقْدَادَ بْنَ الْأَسْوَدِ وعَبْدَ الرَّحْمَنِ بْنَ عَوْفٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ ، فَمَا سَمِعْتُ أَحَدًا مِنْهُمْ يُحَدِّثُ ، عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِلَّا أَنِّي سَمِعْتُ طَلْحَةَ ، يُحَدِّثُ عَنْ يَوْمِ أُحُدٍ .

[Sahih Bukhari Hadees Number - 2824]

حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ أَبِي الْأَسْوَدِ , حَدَّثَنَا حَاتِمُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ , عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ , قَالَ : سَمِعْتُ السَّائِبَ بْنَ يَزِيدَ , قَالَ : صَحِبْتُ عَبْدَ الرَّحْمَنِ بْنَ عَوْفٍ , وَطَلْحَةَ بْنَ عُبَيْدِ اللَّهِ , وَالْمِقْدَادَ , وَسَعْدًا رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ , فَمَا سَمِعْتُ أَحَدًا مِنْهُمْ يُحَدِّثُ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِلَّا أَنِّي سَمِعْتُ طَلْحَةَ يُحَدِّثُ عَنْ يَوْمِ أُحُدٍ .

[Sahih Bukhari Hadees Number - 4062]

Same isi sanad ke sath Muslim me hadees

وحَدَّثَنِي مُحَمَّدُ بْنُ حَاتِمٍ، حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ الْقَطَّانُ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ، قَالَ: سَمِعْتُ السَّائِبَ بْنَ يَزِيدَ، يُحَدِّثُ عَنْ رَافِعِ بْنِ خَدِيجٍ، قَالَ: سَمِعْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، يَقُولُ: «شَرُّ الْكَسْبِ مَهْرُ الْبَغِيِّ، وَثَمَنُ الْكَلْبِ، وَكَسْبُ الْحَجَّامِ»

[Sahih Muslim Hadees Number - 4011]

Sanad Ka Taaruf Mulahiza Farmaye

1] Sahabi Se RIWAYAT nakal karne wale Sahabi

2] Imam Malik Rahimaullah aur Sahabi Razi Allahu Anhu ke darmiyan sirf ek raawi ka faashla hai

3] Is Sanad Me Sare Madani Raawi hai
 
Last edited:

Similar threads


Top