BIWIYON MEIN 'ADL WA INSAAF NAA KARNA


Ibnatu Ali

Member
❍BIWIYON MEIN 'ADL WA INSAAF NAA KARNA

بسم الله الرحمن الرحيم​

Allahﷻ ne apni Mubarak kitaab mein humein wasiyat ki hai ke biwiyon mein insaaf karein, Allahﷻ ka irshaad hai:
وَلَن تَسْتَطِيعُوٓا۟ أَن تَعْدِلُوا۟ بَيْنَ ٱلنِّسَآءِ وَلَوْ حَرَصْتُمْ ۖ فَلَا تَمِيلُوا۟ كُلَّ ٱلْمَيْلِ فَتَذَرُوهَا كَٱلْمُعَلَّقَةِ ۚ وَإِن تُصْلِحُوا۟ وَتَتَّقُوا۟ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ غَفُورًا رَّحِيمًا۝​
“Aur tum khawah kitna hi chaaho 'aurton mein hargiz baraabari nahin kar sakogey toh aisa bhi naa karna ke ek hi ki taraf dhal jaao aur doosri ko(aisi haalat mein) chod do ke goya darmiyaan mein latki rahi hai aur agar aapas mein durusti muwafiqat karlo aur [zulm wa ziyaadati se] parhez gaari karo toh Allah bakhashney waala meherbaan hai.”
❲Surah An-Nisa: 129❳

Shari'at mein 'adl o insaaf matloob hai ke woh raat rehney mein 'adl karey aur har kisi ka haq adaa karey, kharchey mein aur kapdon mein. Aur 'adl se dili muhabbat mein 'adl maqsood nahin kyunke ye insaan ki milkiyat wa ikhtiyaar mein nahin, aur kisi ki agar ek se ziyada biwiyaan ho jaayein toh woh kisi ek ki taraf maayel ho kar doosri ko nazar andaaz kar deta hai, kisi ek ke saath ziyada rehta hai, yaa uss par kharcha ziyada karta hai aur doosri ko nazar andaaz kar deta hai jabke ye haraam hai aur qayaamat ke din woh uss haal mein hoga jiska zikar Hazrat Abu Hurairah(razi Allahu 'Anhu) ki iss hadees mein Nabiﷺ ne bayaan farmaaya:
من كانت له امرأتان فمال إلى إحداهما جاء يوم القيامة وشقه مائل​
“Jis shakhs ki do biwiyaan ho aur woh ek ki taraf maayel ho [ya'ni doosri ko nazar andaaz kiye rakhey] toh qayaamat ke din woh is tarah aayega ke uske jism ka ek hissa saaqit wa faalij zadah hoga”
❲Abu Dawood 2/601, Sahih ul Jaame' 6491❳

━━━━━━━━━━━━
┃Kitaab: Muharramaat ❨Haraam Ashya wa Umoor❩ Taleef: Fazilat Al Shaykh Mohammad Saalih Al-Munajjid [Hafidahullah] Page No: 62,63┃
 

Similar threads


Top