Byaaz wale bank mein job karna jaiz nahi


Ibnatu Ali

Member
Byaaz wale bank mein job karna jaiz nahi

Sawal
Mujhe bank mein mulazmat (job) karne ki peshkash hui hai, bank mein mulazmat (job) ke mutalliq Hukm ke baarey mein mujhe mukammal yaqeeni ilm nahi hai, kiyuki bank soodi (byaaz) munafey ka karobar karte hain, meri guzarish hai ki yeh bataya jaaye ki aaya bank mein mulazmat (job) karni jaaiz hai ya najaaiz?

ANSWERED BY: sheikh Al Barraak
Alumdullilah:
Aap iska jawab neeche zikr ki jaa rahi hadith mein dekh sakte hain :
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الصَّبَّاحِ، وَزُهَيْرُ بْنُ حَرْبٍ، وَعُثْمَانُ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، قَالُوا حَدَّثَنَا هُشَيْمٌ، أَخْبَرَنَا أَبُو الزُّبَيْرِ، عَنْ جَابِرٍ، قَالَ لَعَنَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم آكِلَ الرِّبَا وَمُوكِلَهُ وَكَاتِبَهُ وَشَاهِدَيْهِ وَقَالَ هُمْ سَوَاءٌ‏​
TARJUMA:
Hazrat Jabir Radhiallahu Anhu se riwayat hai, unhon ne kaha: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Sood khaane waale, khilaane waale, likhne waale aur us ke dono ghawaahon par la'nat ki aur farmaaya: (gunaah mein) yeh sab barabar hain.
Isay Imam Muslim Rahimahullah ne apni sahih muslim hadees number (1598) mein rivayet kiya hain.

lmam Nawawi Rehmatullah iski sharah mein kahte hain: Is mein soodi (byaaz) mamlaat karne walon ki bhi likhney aur us par gawaahi dene ki sarahatan tahreem hai, aur is mein baatil par ta'awun karne ki bhi Sarahat paayi jati hai. Wallahu A'lam.
Lehaza soodi (byaaz) bank mein mulazmat (job) karne wala shakhs kisi bhi tareeqa se ya phir amli taur par soodi (byaaz) layn dayn mein mu'aawanat zaroor karta hai, agarchay bank ka chowkidaar hi kyun na ho. Mere musalman bhai ho sakta hai jab aap sabar karen toh Allah Ta'ala aapko koi halal kaam muhayya kar dey. Farmaan e Baari Ta'ala hai:
Aur jo koi bhi Allah Ta'ala ka taqwa aur parhezgaari ikhtiyar karta hai, Allah Ta'ala uske liye nikalne ki rahein bana deta hai, aur usay rizq bhi wahan se deta hai jahan se usay gumaan bhi nahi hota. (Quran 65:2)
(Wallahu A'lam)
 
Top