CHAALIS(40) HADISEN YAAD KARNE WAALI RIWAAYAT


CHAALIS(40) HADISEN YAAD KARNE WAALI RIWAAYAT
Tahreer: Muhaddis-ul-Asr HAFIZ ZUBAIR ALI ZAYI rahimahullah
(AL-HADIS shumaarah No.81, page:5-6)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

وعَنْ أَبِي الدَّرْدَاءِ، قَالَ: سُئِلَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: مَا حَدُّ الْعِلْمِ إِذَا بلغهُ الرَّجُلُ كَانَ فَقِيهًا؟ فَقَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: " مَنْ حَفِظَ عَلَى أُمَّتِي أَرْبَعِينَ حَدِيثًا مِنْ أَمْرِ دِينِهَ بَعَثَهُ اللهُ فَقِيهًا، وَكُنْتُ لَهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ شَافِعًا وَشَهِيدًا"
"Aur (Syidina) Abu al-Dardaa(raziallahu-anhu) se riwaayat hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam se pocha gaya: ilm ki woh kon si had hai jis par pahunch kar aadmi faqiyyah ban jaata hai? to RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya: Jo shakhs meri ummat keliye deeni umor mein chaalees hadisen hifz kare, ALLAH usey faqiyyah mabos farmaayega(yani qyaamat ke din bataur-e-faqiyyah othaayega) aur mein qyaamat ke din us keliye shafa'at karne waala aur gawaah honga."(Esey Imam Baihaqi rahimahullah ne Shoyeb-ul-Eimaan Hadis No.1726, Dosra Nuskhah:1597, mein riwaayat kiya hai)

HADIS KI TAHQEEQ:
Is ki sanad 'MAOZOO'(manghadat) hai.
Is ka raawi ("عَبْدُ الْمَلِكِ بْنُ هَارُونَ بْنِ عَنْتَرَةَ") Abdul Malik Bin Haaron Bin Antarah KAZZAB (jhoota) tha. Imam Yahya Bin Mayeen rahimahullah ne farmaaya: "کذاب - - KAZZAB" Abdul Malik Bin Haaron Bin Antarah KAZZAB hai.(Taareekh Ibn Mayeen, Riwaayah al-Dauri:1516)

Hafiz Ibn HIbban rahimahullah ne kaha:

کان ممن یضع الحدیث۔۔۔۔۔۔
"Woh hadisen ghadne waalon mein se thaa."(Kitab-ul-Majrooheen:2/133, Dosra Nuskhah:2/115)

Imam Hakim Naishapor ne gawaahi di:

روی عن ٲبیه ٲحادیث موضوعة
"Us ne apne baap se Maozoo Hadisen bayaan kein."(Al-Mudkhil ila-Al-Sahih, page:129-170)

Yeh riwaayat bhi (isee tak bashart-e-sehat) us ne apne baap se bayaan ki, lihaaza ye sanad MAOZOO hai.

Imam Baihaqi rahimahullah se lekar Abdul Malik Bin Haron tak sanad bhi SAHIH nahi hai, kionke us mein Abudullah Numan al-Basari aur Amro Bin Muhammed Sahibo Yala Bin al-Ashdaq waghairahuma MAJ'HOL raawi hain.

Imam Baihaqi rahimahullah ne farmaaya:

هَذَا مَتْنٌ مَشْهُورٌ فِيمَا بَيْنَ النَّاسِ، وَلَيْسَ لَهُ إِسْنَادٌ صَحِيحٌ
"Yeh matan logon ke darmiyaan mash'hor hai aur is ki sanad sahih nahi hai."(Shoyeb-ul-Eimaan Hadis No.1727, Dosra Nuskhah:1598)

Chaalis(40) Hadisen yaad karne waali riwaayat bhi bahut si sanadein hain, likin in mein se koi bhi sahih ya hasan nahi, lihaaza ye riwaayat hasan ke darje tak nahi pahunchti.

Ibn al-Mulaqqin rahimahullah ne kaha:

واتفق الحفاظ علٰی ضعفھاوٳن تعددت
"Agar-cheh is ki sanadein muta'adad hain, likin huffaz-e-hadis ka is ke ZAYEEF hone par ittifaaq hai."(Al-Badr al-Muneer:7/278)

Neez dekhiye AL-TALKHEES AL-HABEER:3/93-94, Hadis No.1375

Hafiz Ibn Abdul Barr rahimahullah ne farmaaya:

وٳسنادھذاالحدیث کله ضعیف
"Aur is hadis ki saari sanadein ZAYEEF hain."( Jami' Bayan Al-'Ilm Wa Fadlihi:1/95, Tahet Hadis No.156)

TANBIYAAH:
Chonke baaz ulma-e-sabiqeen ne arbayeen waghairah adaad par kitabein likhin hain, lihaaza iqtidaaye salaf ki wajah se aisaa karna jaayez hai aur ye jawaaz min baab-ul-ijtihaad hai. WALLAHO-ALAM
 
Top