Umar Asari

Administrator
Staff member
Chaaploosi: Aik Samaji Nasoor

Tehreer: Sheikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Tamalluq aur chaploosi neik muashre (society) ke liye cancer hai. Chaploosi mein aik chaploos ka akela faida hota hai jabkay poooray samaaj ke liye nuqsaan hi nuqsaan hota hai. Yeh itni buri harkat hai ke isey samaaj mein ganday aur burey alqaab se jaana jaata hai misaal ke taur par: Talway chaatna, chamcha-giri karna waghera.

Chaploosi ke asbaab or maqasid se is ka negative pehlu wazeh honay ke saath is ka ilaaj bhi mil jata hai.

Pehla: Aaraam Pasandi;

Kabhi kabhar aaraam pasandi aadmi ko chaploos bana deti hai woh baghair mehnat ke chaploosi ki kamaai khana chahta hai jabkay Islam ne hamein rozi roti kamaney ke liye mehnat aur koshish karney par ubhara hai.

Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hai:
مَا أَكَلَ أَحَدٌ طَعَامًا قَطُّ خَيْرًا مِنْ أَنْ يَأْكُلَ مِنْ عَمَلِ يَدِهِ، وَإِنَّ نَبِيَّ اللَّهِ دَاوُدَ ـ عَلَيْهِ السَّلاَمُ ـ كَانَ يَأْكُلُ مِنْ عَمَلِ يَدِهِ ‏​
Tarjumah: Kisi insaan ne us shakhs se behtar rozi nahi khaai, jo khud apney haathon se kama kar khata hai aur Allah ke Nabi Dawood Alaihissalam apney haath se kam kar ke rozi khaya kartey they.
(Sahih Bukhari: 2072)

Yeh Hadees hamein kamaaney ke liye mehnat karney par ubharti hai. Jo baghair mehnat ke chaploosi ki kamaai khana pasand kartey hain woh haraam-kaari mein mubtala hain. Aisey logon ko tauba ke saath saath rizq e halal kamanay ki zaroorat hai.

Doosra: Shohrat talbi;
Chaploosi ki aik doosri wajah jhooti shohrat haasil karna hai taakay logon mein us ka maqaam o martaba barhey aur jis ki chaploosi karta hai is ki nazar mein mo’tabar samjha jaaye. Wazeh rahay is ke badey khatraat hain un mein jhooti tareef ya kisi ke samnay tareef karna bhi hai jo Islam ki nazar mein sakht ma’oob (Reproachful) hai.

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya hai:
إِذَا رَأَيْتُمُ الْمَدَّاحِينَ فَاحْثُوا فِي وُجُوهِهِمُ التُّرَابَ​
Tarjumah: Jab tum tareef karne walon ko dekho to un ke chehron par mitti daal do.
(Sahih Muslim: 3002)

Yeh haal un logon ka hai jo samnay sahih tareef kartey hain to jo jhooti tareef karen un ka kya haal hoga?

Aik baar Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Banu Aamir ke wafd ko apne liye Syed ka lafz istemaal karney par tok diya aur farmaya:
وَلاَ يَسْتَجْرِيَنَّكُمُ الشَّيْطَانُ​
Tarjumah: Shaitaan tumhein mere silsilay mein Jari (جرى) na kar dey. (ke tum aisay kalimaat keh baitho jo merey liye munasib na ho)
(Abu Dawood: 4806)

Is ke alawa is mein munafiqat aur duniya ki talab bhi hai jo Emaan ke liye bohot khatarnaak hai.

Teesra: Mahol ka Asar;
Kuch log mahol se mutassir ho kar is bemari mein mubtala ho jaatey hain. Is liye achchey mahol mein rehna, achcha saathi banana aur hamesha Allah ki bandagi kartey rehna insaan ko hamesha zillat aur ruswaaee se bachaayega.

Chautha: Dosron ko takleef pahunchana;
Kai baar dosron se badla leney ya nuqsaan pahunchaney ya dosron ki chugul-khori insaan ko chaploosi ke rastay par laga deti hai. Momin bandah kabhi bhi kisi momin ko takleef nahi deta. Aur woh shakhs haqeeqat mein musalman hi nahi jo dosray bhai ko takleef deta hai ya nuqsaan pahunchaata hai.

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
الْمُسْلِمُ مَنْ سَلِمَ الْمُسْلِمُونَ مِنْ لِسَانِهِ وَيَدِهِ​
Tarjumah: Musalman Wo Hai Jis Ki Zuban Or Haath Se Musalmaan Bache Rahen.
(Sahih Bukhari: 10)

Jo gheebat aur chughli karta hai woh bhi dosrey bhai ko takleef deta hai. Lehaza musalman apni zubaan aur haath ko galat istemaal se bachaaye. Is galat istemaal se duniya aur akhirat dono barbaad ho sakti hai.

Panchawan: Aib Poshi (Aib Chupana);
Apna aib chupaney ki liye bhi chaploosi ki jaati hai. Is qism ka ilaaj yeh hai ke agar Rab ka gunehgaar hai to Rab se mafi maang ley aur sachchi tauba kar ley. Aur agar kisi insaan ka gunehgaar hai to phir us se mafi maang ley. Yeh bada sakht marhala hota hai. Rab se mafi mangna aasaan hai magar bandon se mafi ko zillat tasawwur kiya jaata hai. Banda yeh bhool jata hai ke kal qayamat mein aaj se kahin ziyada zaleel aur ruswa hona padega jahan rishtey nate aur dost aur ahbaab se ley kar poori duniya walay honge. Aqalmand aur sahib e baseerat wohi hai jo badi zillat se bachney ke liye choti zillat bardasht kar ley. Haqeeqat mein apni galti ki mafi maangna zillat nahi badakpan hai, is badakpan se Allah Taala bhi khush ho jata hai.

Chatta: (Ohda) Designation Aur Mansab Ki Lalach;
Mansab bhi kya cheez hai jis ke dil mein is ki lalach paida ho jaye woh us ko haasil karney ke liye chaploosi to kya qatl karney se bhi nahi chookta. Is ki misaal hamein tareekh mein bohot saari mil jaayengi aur aaye din hum is ka mushahida bhi kartey hain. Chaploosi insaan ko sukoon nahi deti. Is ke zareya insaan mansaab wagera to hasil kar sakta hai lekin sukoon nahi haasil kar sakta kiunki uska mansab achchi bunyaad par nahi balki chaploosi par qaim hota hai. Hamein agar sukoon se zindagi guzarna hai to do baton ko saamney rakhna hoga:

Pehli:
Mansab ki chahat apney dil se nikalni hogi. Han agar khud se mil jaye to is mein koi burai nahi.

Doosri:
Munafiqat ki tang aur tareek raahon se nikalna padega.

Chaploosi aisi bemaari hai jo munafiqat ki saari qismein apne andar chupaaye huwe hoti hai. Yani aik bemari se hazaar bemariyan janam le leti hain is liye hamein kisi bhi faide ki khatir kisi qism ki chaploosi nahi karni hai.

Aik shuba ka izaala:
Shuba: Kuch log chaploosi ko waqt ki nazakat aur majaboori ka naam dete hain, yeh kehte hue ke naukari (job) / ohda (Designation) bachanay ke liye kabhi aisa karna majaboori ban jati hai is liye aisay halaat mein chaploosi karna koi harj ki baat nahi. Daleel mein muztar (majboor) ke liye khanzeer ke halal honey ko paish kartey hain.

Izaala: Agar chaploosi ko majaboori ka naam day kar jaaiz thehra liya jaye to fir halal o haram ka lihaaz kiye bagair rozi roti kamane ke liye koi bhi profession ikhtiyar kiya ja sakta hai jabkay islam mein aisi koi daleel nahi. Jahan tak majboor ke liye khinzeer ke halal honey ka masla hai to yeh sirf jaan bachanay ke liye hai. Jabki chaploos ko jaan ki koi parwah nahi hoti hai balki usey to kursi aur rozi roti bachanay ki fikr hoti hai aur yaad rakhen kursi aur ohda (Designation) bachanay wala muztar (majboor) nahi hai. Hamein sirf jaaiz tareeqe se rozi roti haasil karni chahiye.
 
Top