Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain:


Ibnatu Ali

Member
Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain:

Tehreer: Hafiz Zubair Ali Zai (Rahimahullah)

Romanised: Syed Ibraheem Salafi
____

Bahut se masil mein se sirf 40 aise masail paish-e-khidmat hain, jo humare ilm ke mutabiq sarhatan sirf ijmaa’ se sabit hain:

1) Sahih Bukhaari mein musnad muttasil marfoo’ ahadees ki do qisme hain:
Pehli: Jin ke sahih hone par ijmaa’ hai aur ye riwayaat bahut ziyada hain.
Doosri: Jin par aikhtilaaf hai, lekin jumhoor ney unhein sahih qaraar diya hai aur ye riwayaat bahut kam hain.

2) Sahih Muslim mein musnad muttasil marfoo’ ahadees ki do qisme hain:
Pehli: Jin ke sahih hone par ijmaa’ hai aur ye riwayaat bahut ziyada hain.
Doosri: Jin par ikhtilaaf hai, lekin jumhoor ney unhein sahih qaraar diya hai aur ye riwayaat bahut hi kam hain.

3) Nawwi (9th) sadi hijri ke ghali maturidi ibn e hamaam (died on 861.h) se pehle is par ijmaa’ hai ke sahih bukhaari aur sahih muslim ki ahadees ko dusri kitaabon ki ahadees par tarjeeh hasil hai.

4) Is par muhaddiseen ka ijmaa’ hai ke Sahaba e Kiraam (Radhi Alllahu Anhum) ki mursal riwayaat bhi sahih hain.

5) Is par ijmaa’ hai ke kisi Sahabi (Radhi Allahu Anhu) ko bhi mudallis kehna ghalat hai.

6) Is usool par ijmaa’ hai ke jo rawi kaseer-ut-tadlees ho aur dhaeef rawiyon se bhi tadlees karta ho, us ki an (عن) wali riwayat hujjat nahi hai.

7) Is par ijmaa’ hai ke qabr mein mayyit ka rukh qible ki taraf hona chahiye.

8) Imam Tirmidhi ke daur mein is par ijmaa’ tha ke bachchey bachchi ke wiladat par aazaan kehni chahiye.

9) Sirri namazon mein aameen bis'sir (aahista aameen) kehne par ijmaa’ hai.

10) Is par ijmaa’ hai ke khalifat ul muslimeen apne baad kisi mustahiq shaksh ko bataur e khalifa naamzad kar sakta hai.

11) Is par ijmaa’ hai ke do sajdon ke darmiyaan apni rano par hath rakhna chahiye.

12) Is par ijmaa’ hai ke zakaat ke masail mein bhaison ka wahi hukm hai jo gayon ka hai.

13) Is par ijmaa’ hai ke jo shaksh quran-e-majeed ko makhlooq kahe wo shaksh kafir hai.

14) Is par ahl e sunnat ka ijmaa’ hai ke ramadhan mein pura mahina esha ki namaz ke baad namaz-e-taraweeh ba'jama’at padhna jaiz aur ba’is-e-sawaab hai.

15) Is par ijmaa’ hai ke namaz mein qahqahe (aawaaz ke sath hasne) se namaz toot jaati hai.

16) Is par ijmaa’ hai ke halat-e-namaz mein khana peena mana hai aur jo shaksh farz namaz mein jaan boojh kar kuch kha pee ley tou us par namaz ka ia’adah (dohrana) farz hai.

17) Is par ijmaa’ hai ke nabeez ke alawa tamaam mashrobaat masalan arq-e-gulaab, doodh, 7up aur sharbat-e-anaar wagaira se wuzu karna jaiz nahi hai.

Tambih: Nabeez ke masley par kuch logon ke ikhtilaaf ke bawjood, rajeh ye hai ke nabeez se bhi wuzu karna jaiz nahi hai.

18) Is par ijmaa’ hai ke paani kam ho ya ziyada, agar us mein najasat girne se us ka rang, boo ya zayiqah (taste) tabdeel ho jaye tou wo paani us halat mein najis (na'paak) hai.

19) Mushaf-e-Usmani ke rasm-ul-khatt par ijmaa’ hai.

20) Is par ijmaa’ hai kr hajj aur umrah ada karne mein auraton par halaq (sar mundwana) nahi hai, balke wo sirf qasr karegi yani thodey se baal kaateygee.

21) Is par ijmaa’ hai ke har wo hadees sahih hai, jis mein paanch shartein maujood hon:

1) Har rawi aadil ho. 2) Har rawi zabit ho. 3) Sanad muttasil (mili hue) ho. 4) Shaaz na ho. 5) Ma’lool na ho.

22) Is par ijmaa’ hai ke har kutba-e-juma’ mein Surah Qaaf padhna farz, wajib ya zaroori nahi balke sunnat aur behtar hai.

23) Nikah ke waqt khutba padhne par ijmaa’ hai.

24) Is par ijmaa’ hai ke gunahon aur nafarmani se emaan kam ho jaata hai.

25) Is par Sahaba wa Tabayeen ka ijmaa’ hai ke jurabon par masah jaiz hai.

26) Is par ijmaa’ hai ke sahih-ul-aaqidah musalmano ke liye ahl e hadees aur ahl e sunnat ke alqaab (sifati naam) jaiz aur bilkul sahih hain.

27) Is par Sahaba ka ijmaa’ hai ke taqleed na'jaiz hai.

28) Is par ahl e haq ka ijmaa’ hai ke aaqaid o emaan mein bhi sahih khabr-e-wahid hujjat hai.

29) Is par Sahaba wa Tabayeen ka ijmaa’ hai ke zarorat ke waqt na'baligh qaari ki imamat jaiz hai.

30) Is par ijmaa’ hai ke gongey musalmaan ka zabiha halaal hai.

31) Is par ijmaa’ hai ke quran-e-majeed ke ai’raab lagana jaiz hain aur quran usi tarha padhna farz hai jis tarha in ijmaayi ai’raab ke sath likhkha huwa hai.

32) Is par ijmaa’ hai ke taqleed ilmi (jihalat) hai aur muqallid aalim nahi hota.

33) Is par ahle haq ka ijmaa’ hai ke ma’iyyat wali aayaat (masalan: هو معكم) se muraad Allah Ta'ala ka ilm aur qudrat hai.
Tambih: Baaz mutaqareen ka is se alahda (alag) sifat muraad leyna batil hai.

34) Is par ijmaa’ hai ke jin ahadees mein sar aur dhaadi ke balon ko surkh mehndi laganey ka hukm aaya hai, ye hukm farz wa wajib nahi balke sunnat aur istehbaab par mahmool hai aur mehndi na lagana yane sar aur daadhi ke baal safeed chodna bhi jaiz hai.

35) Ek hadees mein aaya hai ke Allah Ta'ala ney farmaya: "Main us (bande) ka hath ho jaata hun jise wo phailata hai”. Is par ijmaa’ hai ke is hadees se muraad hulooliyyat, ittihaad aur wahdat ul wujood nahi balke Allah Ta'ala ki madad aur razamandi shamil-e-haal ho jaati hai, lehazaha hulooli sufiyon ka is hadees se istedaal batil hai.

36) Is par ijmaa’ hai ke baghal ke baal nochna farz aur wajib nahi balke mondana bhi jaiz hai.

37) Is par ijmaa’ hai ke emaan teen chizon ka naam hai: Dil mein yaqeen, Zubaan ke sath iqraar aur us par aamal.

38) Is par khair ul quroon mein ijmaa’ tha ke Syedna Eesa Bin Maryam (Aalaihis Salaam) ko aasmaan par zindah utha liya gaya aur aap par maut taari nahi huwi.

39) Is par ijmaa’ hai ke aurat mardon ki imam nahi ho sakti aur aagar koi mard kisi aurat ke peechey namaz padh ley tou ye namaz fasid (batil) hai.

40) Is par ijmaa’ hai ki qasdan qaye karne se roza toot jaata hai.

Bahut se aise masail hain jo Quran o Hadees mein umooman ya isharatan mazkoor hai aur un par ijmaa’ hai. masalan:

1) Esa (alaihis salaam) bagair baap ke paida huwe.

2) Maryam (alaihas salaam) ka koi shauhar nahi tha, balke wo kuwari thi?

3) Ibn e Hazm ke zanmaney mein is par ijmaa’ tha kee Abdul Mustafa aur Abdun Nabi aur is jaise naam rakhna jaiz nahi hai.

4) Maal E Tijarat par har saal zakaat farz hai.

5) Har saal 200 dirham par panch dirham zakaat hai.

6) Quran E Majeed mein surah At'Tawbah se pehle "Bismillah Hir-Rahman Nir-Raheem" ka koi saboot nahi hai.

Tehreer: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah
Yeh tehreer shayaa huwi: Mahnama al-Hadees Shumarah No: 91 Page No: 46,49
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Masail 47
Ibnatu Ali Masail 0

Similar threads


Top