CHOGHAL KHOOR KA ANJAAM


CHOGHAL KHOOR KA ANJAAM
Tahreer: Muhaddis-ul-Asr HAFIZ ZUBAIR ALI ZAYI rahimahullah
(AL-HADIS shumaarah No.80, page:2)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Syidina Huzaifah Bin al-Yamaan raziallahu-anhu ko malom howa ke ek aadmi (Syidina)Usmaan raziallahu-anhu tak (logon ki) baaten phunchata hai (yani wo shakhs choghal khor hai) to Huzaifah raziallahu-anhu ne farmaaya: main ne RASOOLULLAHU sallallahu alaihi wasallam ko farmaate howe sunaa ke:

لاَ يَدْخُلُ الْجَنَّةَ قَتَّاتٌ
"choghal khor janaat mein daakhil nahi hoga."(Sahih Bukhari:6056)

Do aadmion ke darmiyaah ikhtilaaf paida karne yaa ladane keliye ek baat (namak mirch lagakar) dosre tak phunchana choghli(aur gheebat) kahlata hai aur ye Kabeerah Gunaah hai.(Dekhiye: Kitab-ul-Kabaayir lil-Zahbi, Ba-Tahqiq: Mash'hor Bin Hasan Aal Sulaimaan, page:355, Kabeerag:45)

ALLAH TA'ALA ne us zaleel shakhs ki baat maan'ne se mana farmaaya hai


jo (jhooti) qasmein khata hai, bahut naktah-cheen hai aur choghliyaan khaata phirta hai. (Dekhiye: Surah Al-Qalam:10-11)

NABI KAREEM sallallahu alaihiwasallam do qabron ke paas se guzre to farmaaya:

يُعَذَّبَانِ، وَمَا يُعَذَّبَانِ فِي كَبِيرٍ ‏"‏، ثُمَّ قَالَ ‏"‏ بَلَى، كَانَ أَحَدُهُمَا لاَ يَسْتَتِرُ مِنْ بَوْلِهِ، وَكَانَ الآخَرُ يَمْشِي بِالنَّمِيمَةِ
"In dono ko azaab horaha hai aur (tumhare khiyaal mein) kisi badi cheez par nahi, in mein se ek who tha jo apne paishaab(ke chinton) se nahi bachta tha, aur dosra choghal khor tha."(Sahih Bukhari:216. /wa Sahih Sahih Muslim:292)

Choghal khor ke sath che(6) tarah ko sulok karna chahiye:
1)Usey sachcha nahi samajhna chhiye, kionke choghal khor faasiq hai au raise shakhs ki riwaayat mardod hoti hai.
2)Choghal Khor ko uske bore amal se narmi ya sakhti ke saath mana karna chahiye.
3)Choghal Khor se ALLAH keliye boghz rakhna chahiye yani (agar woh apnea mal se taubah nah kare to) usey bura samajhna chahiye.
4)Jis shakhs ke bare mein Choghal Khor ne choghli khaayi hai, us ke bare mein buraa gumaan gunaah ha.
5)Jis shakhs ke mutaleq chughli khaayi gayi hai, us ke bare mein jasosi nahi karni chahiye.
6)Apne aap ko bhi har qisam ki choghal khori se mukammal taur par bachna chahiye.

in baton par amal karke Choghal Khori ka khatimah kya jasakta hai ya uske nuqsaanaat se bacha jaasakt hai.(neez Dekhiye: Mousua Nazrat-un-Nayeem fi Makaarim Akhlaq Al-Rasoolil-Kareem sallallahu alaihi wasallam:11/5666-5667)
 
Top