CONTRACEPTION (HAMAL GIRANE KELIYE) GOLION KA ISTEMAAL KARNA


CONTRACEPTION (HAMAL GIRANE KELIYE) GOLION KA ISTEMAAL KARNA
Fatwaa : DAR-UL-IFATAA COMITY
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAL:
Shadi shuda khawateen ke liye Maane hamal(contraception) golian istemaal karne ka kya hukum hai?

JAWAB:
Kasrat-e-aulaad ya un par akhrajaat ke khauf ke paish-e-nazar aurton ke liye Maney hamal golion ka istemaal najaayez hai. Aur agar aurat ke liye hamal nuqsaan deh ho ya bachey ki wiladat operation ke baghair tibbi tor par nah ho sakti ho ya is tarha ki koi aur zaroorat la-haq ho to aisey halaat mein aisi golion ka istemaal jaayez hai, haan agar kisi maahir Doctor ke zariye maloom ho ke aisi golion ka istemaal kisi aur aitbaar se nuqsaan deh hai to hukm tabdeel ho jaye ga .
 
Top