Corona Virus Se Mutalliq Masaail Aur Unka Sharai Hal


Corona Virus Se Mutalliq Masaail Aur Unka Sharai Hal

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah Islamic Dawah Center Taif Saudi Arab​

Ek Waba Ki Wajah Se Puri Duniya Me Khauf Ka Maahol Bana Hua Hai Lakho Log Iski Lapet Me Hai Aur Hazaaro Ki Maut Bhi Waqe Ho Chuki Hai Roz Ba Roz Maut Ka Silsila Jaari Hai Aur Virus Ki Khatarnaki Mazeed Badhne Ka Imkaan Hai. Ayse Me Har Mulk Ahtiyaati Tadabir Apna Raha Hai Musalmaan Mulk Aur Musalmano Ke Liye Bhi Is Bimari Ki Wajah Se Mamlaat Se Le Kar Ibaadat Tak Me Kai Qisam Ke Masaail Paida Ho Gae Hai Un Me Se Ifadah Aam Ke Liye Chand Masaail Ka Sharai Hal Aap Ki Khidmat Me Paish Kar Raha Hu.

SAWAAL:1 Yah Corona Virus Kya Hai,Azaab Hai,Bimaari Hai Ya Fir Gunaaho Ki Saza Hai?
JAWAAB: Corona Virus Ko Hu Ba Hu Ta'un Nahi Kaha Jaae Ga Magar Ta'un Ki Tarah Yah Bhi Ek Qisam Ka Wabaai Bimari Hai Jo Mail Jhol Se Ek Dusre Me Daakhil Ho Jata Hai. Ta'un Ki Hadees Madde Nazar Rakhne Se Maloom Hota Hai Ke Corona Virus Bhi Ta'un Ki Tarah Ek Qisam Ka Azaab Hai Aur Azaab Gunaaho Ki Saza Hi Hoti Hai Lekin Haqeeqi Moamino Ke Haq Me Rehmat Hai. Aaisha RA Se Rivayat Hai Ke Woh Bayan Karti Hai.
سالت رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الطاعون فأخبرني أنه عذاب يبعثه الله على من يشاء وان الله جعله رحمة للمؤمنين ليس من أحد يقع الطاعون فيمكث في بلده صابرا محتسبا يعلم انه لا يصيبه إلا ما كتب الله له إلا كان له مثل أجر شهيد.(صحيح البخاري: 3674)
Tarjumah: Mene Rasul SAV Se Ta'un Ke Bare Me Pucha To Aap SAV Ne Farmaya Yah Ek Azaab Hai Allaah Jis Par Chahta Hai Bhejta Hai Lekin Allaah Ne Usko Moamino Ke Liye Rehmat Bana Diya Hai Agar Kisi Shakhas Ki Basti Me Ta'un Phail Jaae Aur Woh Sabar Ke Sath Allaah Ki Rehmat Se Ummid Lagaae Hue Wahi Tehra Rahe Ke Hoga Wahi Jo Allaah Ne Qismat Me Likha Hai To Use Shaheed Ke Barabar Sawaab Mile Ga.
Is Daur Ke Musalmaan Aksar Gumraah Aur Kamzor Imaan Wale Hai Is Liye Yah Bhi Mumkin Hai Ke Shirk Aur Bid'at Me Dube Hue Logo Haraam Karobaar Karne Walo Be Hayaai Ka Irtikaab Karne Walo Aur Gumraah Logo Ke Haq Me Tanbeeh Aur Saza Ho.

SAWAAL: (2) Wabaai Marz Ke Khauf Se Jamaat Chhodna Aur Gharo Me Namaaz Padhne Ka Hukam Kiya Hai?
JAWAAB: Alag Alag Hadeeso Se Hame Maloom Hota Hai Ke Shadeed Baarish Ya Tez Aandhi Aur Toofan Ki Wajah Se Logo Ko Apne Gharo Me Namaaz Ka Hukam Diya Ja Sakta Hai Chunacha Abdullaah Bin Umar RA Ne Ek Thandi Aur Barsaat Ki Raat Me Azaan Di Fir Aysa Pukaar Keh Diya.《الا صلوا في الرحال》 Ke Logo Apni Qiyaam Gaaho Par Hi Namaaz Padh Lo Fir Farmaaya:
ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يأمر المؤذن إذا كانت ليلة ذات برد ومطر يقول إلا صلوا في الرحال.(صحيح البخاري:666)
Tarjumah: Nabi SAV Sardi Aur Baarish Ki Raato Me Muazzin Ko Hukam Dete The Ke Woh Elaan Kar De Ke Logo Apni Qiyaam Gaaho Par Hi Namaaz Padh Lo.
Jab Sirf Jismaani Mashaqqat Ki Wajah Se Shariat Hame Shadeed Baarish Ke Waqt Gharo Me Namaaz Ada Karne Ki Ijaazat Deti Hai To Jaha Jaan Ka Khatrah Ho Waha Gharo Me Namaaz Ada Karna Bila Darjah Awla Jaiz Hoga Nez Woh Tamam Ahaadees Bhi Daleel Hai Jin Me Nuqsaan Se Bachne Aur Jaan Ko Halaakat Me Dalne Se Man'a Kiya Gaya Hai Badi Aasaani Se Yah Baat Samjh Sakte Hai Ke Jaan Bachaane Ki Garaz Se Pig Ka Goshat Khana Jaiz Hoga To Corona Virus Ke Khauf Se Jis Me Jaan Jane Ka Khadsha Hai Kuy Nahi Ghar Me Namaaz PADH Sakte Hai?

SAWAAL(3): Quraan Ki Roshni Me Kya Masjid Band Karne Zaalim Nahi Qaraar Paae Ga?
JAWAAB: Bataur E Zaroorat Aur Maslihat Masaajid Band Karne Me Koi Haraj Nahi Hai Jaisa Ke Khana E Kaba Rasool Ke Zamaane Se Band Hai Jab Ke Is Me Khood Aap SAV Ne Namaaz Ada Ki Hai. Har Musalmaan Is Me Namaaz Padhne Ki Khawaahish Rakhta Hai Magar Fitnah Ke Sabab Iska Darwazah Band Kar Diya Gaya Hai Aur Woh Rooe Zameen Ki Sab Se Azeem Aur Awwal Masjid Hai. Isi Tarah Duniya Ki Tamaam Masaajid NAMAAZ Ke Baad Gair Waqt Me Band Rakhi Jati Hai Surah Al Baqarah Aayat NO 114 Me Allaah Ke Zikar Se Rokne Aur Masjid Ko Kharaab Aur Barbaad Karne Wale Se Muraad Ya To Isaai Hai Jinhone Yahudiyo Ko Baitul Maqdis Me Namaaz Padhne Se Roka Aur Masjid Ko Nuqsaan Pohnchya Ya Mushrikeen Makka Hai Jo Musalmaano Ko Khana E Kaba Me Ibaadat Se Rokte Is Se Woh Log Bhi Muraad Ho Sakte Hai Jo Masjid Me Ibadat Se Rokte Hai Aur Masjid Ko Dhaane Aur Nuqsaan Pohnchane Ka Kaam Karte Hai Lekin Waqti Taur Par Zaroorat Aur Maslihat Ke Tai Masaajid Band Karne Wala Hargiz Zaalim Nahi Hai.

SAWAAL(4): Ahle Khana Mil Kar Ghar Me Juma Ki Namaaz Ada Kar Sakte Hai?
JAWAAB: Ghar Me Juma Ki Namaaz Nahi Hogi Kuy Ke Shariat Me Aysi Koi Daleel Nahi Hai Shariat Kai Mauqo Se Is Baat Ki Ijaazat Deti Hai Ke Agar Jum'a Ke Din Kisi Uzar Ki Wajah Se Namaaz E Jum'a Ada Na Kar Sake To Uske Badle Zuhar Ki Namaaz Ada Kar Le. Aaj Kal Corona Virus Ki Wajah Se Aksar Mumalik Me Masjid Me Ba Jamaat Namaaz Padhne Se Man'a Kar Diya Gaya Hai Is Haal Me 5 Waqt Namaaz Ghar Me Ada Karni Hai Aur Jum'a Ke Din Ghar Me Namaaz E Jum'a Nahi Padhni Hai Balke Zuhar Ki Namaaz Ada Karni Hai Aur Ahle Khana Ek Sath Mil Kar Namaaz Ada Kare To Jamaat Ka Ajar Mile Ga.

SAWAAL (5) : Jab Masjid Me Azaan Ho Aur Jamat Ki Awaaz Aae To Apne Gharo Me Iqtida Kar Sakte Hai?
JAWAAB: Bar Waqt Masjid Me Sirf Azaan Ho Rahi Hai Aur Log Apne Apne Gharo Me Namaaz Ada Kar Rahe Hai Sirf Muazzin Imaam Aur 2 Ek Log Mil Kar Waha Namaz Padh Rahe Ho Ge Agar Kahi Par Masjid Se Jamaat Karaane Ki Aawaaz Aa Rahi Hai Tab Bhi Apne Gharo Me Is Jamaat Ki Iqtidaa Masjid Me Hi Karen Ge.

SAWAAL (6): Ek Msg Ghum Raha HAI Jis Me Kaha Gaya Hai Ke Corona Virus Se Hifaazat Ke Liye Rozana Puri Qaum Thik 10 Baje Apne Apne Gharo Ki Chhat Par Aur Muazzin Hazraat Masjid Me Ek Sath Azaan De Is Paigaam Ki Kya Haqeeqat Hai?
JAWAAB: Isme Koi Shak Nahi Hai Ke Azaan Barkat Aur Rehmat Ka Sabab Hai Magar Ham Kisi Bhi Amal Me Shariat Ke Paband Hai Hame Islaam Ne Jaha Par Azaan Dene Ka Hukam Diya Hai Wahi Azaan Den Ge Alhamdulillaah Aaj Bhi Jab Ke Log Gharo Me Namaaz Ada Kar Rahe HA I Masajid Me 5 Awqaat Azaan Ho Rahi Hai Allaah Ki Rehmat Aur Barkat Ke Husool Ke Liye Yah Azaane Kaafi Hai Barish Ki Namaaz,Janazah Ki Namaaz,Eidain Ki Namaaz, Sun Girahan Ki Namaaz,Chand Girahn Ki Namaaz Jab Un Namaazo Ke Liye Apni Taraf Se Azaan Nahi De Sakte To Balaao Ko Talne Ke Liye Ghar Ki Chhat Se Kaise Azaan De Sakte Hai?Yah Bhi Yaad Rahe Ke Musibat Door Karne Ke Liye Azaan Dene Se Mutalliq Koi Sahih Hadees Nahi Hai Is Liye Apne Gharo Ki Chhat Se Azaan Dena Bid'at Hai Aur Bid'at Ke Kaam Se Aap Musibat Ko Door Nahi Bhaga Sakte Hai Balke Aur Musibat Maul Le Sakte Hai.

SAWAAL (6): Corona Virus Se Bachne Ki Kya Dua Hai?
JAWAAB:Sidhi Baat Sun Le Ke Corona Virus Se Hifazat Ke Liye Koi Makhsoos Dua Nahi Hai Lekin Ahaadees Me Bimaari Se Bachne Ke Liye Kai Saari Duaae Hai Aap Un Duao Ko Padh Sakte Hai Kuch Log Ne Yah Mashhoor Kar Diya Hai Ke Yah Dua Corona Virus Ki Hai Jab Ke Yah Baat Galat Hai.
اللهم اني اعوذ بك من البرص والجنون والجذام ومن سيئ الاسقام.(صحيح ابي داود:1554)
Tarjumah:Ay Allaah Me Teri Panaah Mangta Hu Baras,Diwangi,Kodh Aur Tamaam Buri Bimariyo Se.
Yah Dua Khaas Corona Virus Ke Liye Nahi Hai Lekin Bimariyo Se Hifazat Ke Liye Yah Dua Aur Digar Masnoon Duae Padh Sakte Hai.

SAWAAL (7): Abhi Jo Khauf Aur Hiraas Ka Maahol Hai Ayse Maahol Me Hame Kya Karna Chaahiye?
JAWAAB: Is Waqt Allaah Ki Taraf Ruju Karne Ka Mauqah Hai Ham Ne Zindagi Me Kis Qadar Gunaah Kiye Faraaiz Aur Wajibaat Se Gaflat Barti Allaah Aur Uske Rasool SAV Ki Nafarmaani Ki Un Tamaam Gunaaho Se Taubah Karne Aur Allaah Par Bharosa Aur Imaan Mazboot Karne Ka Waqt Hai.

SAWAAL (8): Corona Virus Se Marne Wale Ko Shaheed Keh Sakte Hai?
Jawaab: Ta'un Wali Hadees Ko Madde Nazar Rakhte Hue Kaha Jaae Ga Ke Kisi Qisam Ki Wabaai Marz Se Marne Wala Shaheed Kehlaae Ga Jaisa Ke Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
من مات في الطاعون فهو شهيد.
Tarjumah:Jo Ta'un(Waba)Me Wafaat Paa Jaae Woh Shaheed Hai.
Balke Agar Koi Wabaai Jagah Par Maujood Ho Sabar Se Kaam Le Aur Allaah Se Ajar Ki Ummid Lagaae To Use Shaheed Ka Ajar Mile Ga Agarcha Uski Maut Na Ho.

SAWAAL(9): Jo Corona Virus Se Marta Hai Uska Chhuna Ya Uske Qareeb Jana Muzzir Hai Ayse Me Usko Kaise Gusal Diya Jaae Ga Aur Kaise Janazah Padha Jaae Ga Aur Kaise Tadfeeen Amal Me Aae Gi?
JAWAAB: Musalmaan Maiyyat Ko Gusal Dena Kafan Dena Aur Namaaz E Janaazah Padh Kar Musalmano Ke Qabrastaan Me Dafan Karna Unke Huqooq Me Se Hai.
Corona Virus Ke Maiyyat Ke Huqooq Bhi Ada Kiye Jaenge Yah Sahih Hai Ke Is Mareez Se Ikhtilaat Nuqsaan Hai Taham Jaise Mareez Ja Ahtiyaat Se Ilaaj Kiya Jata Hai Usi Tarah Ahtiyaat Se Gusal Bhi Diya Jaae Ga Kafan Bhi Pehnaya Jaae Ga Aur Ziyada Log Janazah Me Haazir Na Ho Sake To Chand Afraad Hi Sahi Namaaz E Janazah Ada Kar Ke Musalmano Ke Qabrastaan Me Dafan Karen Ge Mumkin Hai Kisi Mulk Me Hukoomat Ki Taraf Se Gusal (Tayammum Bhi)Aur Kafan Dene Par Pabandi Ho Waha Musalmaan Ma'zoor Hai Jo Log Maiyyat Ke Paas Namaaz E Janazah Na Ada Kar Skae To Woh Dusri Jagah Gaibana Janaaza Ada Kar Le.

SAWAAL(10): Pakistan Ke Mufti Taqi Usmani Ki Janib Se Ek Msg Me Kaha Gaya Hai Ke Unko Kisi Ne Kaha Ke Unhe Nabi SAV Ki Ziyarat Naseeb Hui Aap Ne Unhe Corona Virus Ka Ilaaj Batlaya Ke Subah Sham Surah Fatiha 3 Martaba,Surah Ikhlaas 3 Martaba,Aur Hasbunallaahu Wa N'amal Wakeel 313 Martaba Padhna Hai Is Khawaab Ki Sharai Haisiyat Kya Hai?
JAWAAB: Khawaab Me Ek Moamin Ko Rasool SAV Ki Ziyarat Naseeb Ho Sakti Hai Magar Khawaab Se Ab Koi Risalat Ka Paigaam Nahi Aa Sakta Hai Kuy Ke Allaah Ne Aap Ki Hayaat E Mubaraka Me Hi Deen E Islaam Ko Mukammal Kar Diya Is Liye Shariat Ke Nusoos Se Saaf Taur Par Maloom Hota Hai Ke Khawaab Dekhne Wala Aur Khawaab Bayaan Karne Wala Sarasar Jhootha Hai Allaah Un Sab Ko Hidayat De Aur Is Jhooth Se Taubah Karne Ki Taufeeq De.

SAWAAL(11) : Sara Mulk Jab Corona Virus Ki Haiybat Me Hai Ayse Me Log Socail Media Par Durood E Tanjina Kasrat Se Share Kar Rahe Hai Kya Hame Use Padhna Chahiye Aur Dusro Me Share Karna Chahiye?
JAWAAB: Awaam Me Durood E Tanjina Ko Kaafi Shohrat Haasil Hai Bidatiyo Me Mukhtalif Mauqo Par Kasrat Se Iska Wird Kiya Jata Hai Maslan Bimari Se Shifa,Mushkilaat Se Najaat Aur Qazaa E Haajat Ke Taur Par. Dar Asal Yah Banawati Durood Hai Kisi Buzurg Shaikh Moosa Ki Taraf Mansoob Hai Jab Woh Ek Qafla Ke Sath Ek Behri Jahaaz Me Safar Kar Rahe The Ke Jahaaz Toofaan Ki Zid Me Aa Gaya Yah Toofaan Khuda Ka Qahar Ban Kar Jahaaz Ko Hilaane Laga Logo Ko Yaqeen Ho Gaya Ke Jahaaz Dubne Wala Hai Aur Sab Mar Jaaen Ge Isi Afra Tafri Ke Aalam Me Un Par Nind Ka Galba Ho Gaya Aur Nabi Khawaab Me Aae Buzurg Aur Unke Sathiyo Ko Yah Durood Hazaar Baar Padhne Ka Hukam Diya Bedaar Ho Kar Apne Dosto Ke Sath Durood Padhna Shuru Kiya Abhi 300 Baar Hi Padha Tha Ke Toofaan Ka Zaur Kam Hone Laga Aahista Aahista Toofaan Rook Gaya Aur Thode Hi Waqt Me Aasmaan Saaf Ho Gaya Aur Samndar Ki Satah Pur Aman Ho Gai Is Durood E Paak Ki Barkat Se Tamaam Jahaz Walo Ko Najaat Mil Gai.
Yah Sarasar Jhooth Hai Is Waqia Se Hi Jhooth Pakad Sakte Hai Ke Is Buzurg Ko Toofaan Ke Waqt Kaise Nind Aa Gai Yani Jab Log Marne Wale Hai Aur Jahaaz Dubne Wala Hai Is Waqt Kis Ko Nind Aati Hai Aur Waise Bhi Yah Waqia Wafaat E Rasool SAV Ke Kai Sadi Baad Ka Hai Jab Ke Deen Nabi SAV Ke Zamane Me Mukammal Ho Gaya Aur Fir Yah Waqia Khawaab Hai Aur Khawaab Se To Hargiz Daleel Nahi Pakdi Jaae Gi Is Liye Na Aap Log Durood E Tanjina Padhe Aur Na Hi Social Media Par Use Share Kare Balke Jo Log Aysa Kar Rahe Hai Unhe Uske Jhooth Hone Ki Haqeeqat Bataae.

SAWAAL (12): Ham Ne Mushahidah To Nahi Kiya Hai Lekin Bahut Sare Logo Se Bataur E Khaas Aurto Se Suna Hai Ke Surah Baqarah Padhne Se Quraan Me Baal Nikal Aae Aur Is Baal Ko Pani Me Dubo Kar Pine Se Corona Virus Khatam Ho Jata Hai Kya Yah Baat Sach Hai?
JAWAAB: Musalmaano Ko Kya Ho Gaya Ke Jab Musibat Ka Waqt Aata Hai To Imaan Aur Bhi Kamzor Ho Jata Hai Aur Galat Tariqah Se Musibat Door Karne Ki Koshish Karte Hai? Quraan Me Baal Nikalne Ki Koi Haqeeqat Nahi Hai Yah Jhooth Hai Jo Kisi Ne Logo Me Phaila Diya Hai Ho Sakta Hai Koi Surah Baqarah Ki Tilawat Kar Raha Ho Aur Uske Sar Se Baal Tut Kar Quraan Par Gir Gaya Ho Usne Samjh Liya Ke Quraan Se Hi Baal Nikla Hai Yah Bilkul Ayse Hi Hai Jaise Ek Martaba Ek Aurat Bachche Ki Najasat Saaf Kar Rahi Thi Achank Ramazan Ka Chand Nikalne Ka Shor Hua Uske Hath Me Najasat Lagi Thi Woh Us Hath Ko Aankh Ke Upar Rakh Chand Dekhne Lagi Aur Fir Logo Ne Shor Karne Lagi Ke Haa Chand To Nikal Gaya Magar Us Se Badbu Aa Rahi Hai Dar Asal Is Aurat Ko Apne Hi Hath Ki Badbu Mehsoos Ho Rahi Thi Behar Haal Quraan Se Baal Nikalne Wali Baat Jhooth Hai Us Par Bharosa Na Kiya Jaae Agar Khuda Na Khasta Kisi Ke Quraan Se Baal Nikle To Samjhe Ke Khood Ke YA Kisi Dusre Ke Sar Se Gira Hoga.

SAWAAL (13): Kuch Log Corona Virus Ki Khatarnaaki Ko Nahi Samjh Rahe Hai Aur Kehte Hai Ke Maut Aani Hai To Aa Kar Rahe Gi Is Se Kya Darna Lihaza Woh Na To Bheed Se Darte Hai Aur Na Hi Logo Se Milne Jhulne Se Baaz Aate Hai Ayse Haalaat Me Yah Sochna Kaisa Hai?
JAWAAB: Yah Himaaqat Hai Jin Chizo Me Khatrah Ho Islaam Un Khatraat Se Bachne Ka Hukam Deta Hai Corona Virus Ek Vabaai Bimaari Hai Jo Ikhtilaat Ki Wajah Se Ek Se Dusre Ko Lagta Hai Lihaza Jis Shakhas Ko Yah Bimaari Laahiq Ho Ya Jaha Jama Hone We Marz Phailne Ka Khatrah Ho Us Se Duri Ikhtiyaar Karna Koi Galat Nahi Hai Yahi Wajah Hai Ke Nabi SAV Ne Ta'un Phaili Jagah Jane Se Hame Man'a Farmaya Hai.

SAWAAL (14): Kya Ulma Chikh Chikh Kar Saaf Taqreer Hi Karte Rahen Ge Ya Quraan Me Research Kar Ke Koi Dawa Iyjaad Karenge Kuy Ke QURAAN Me Har Masala Ka Hal Maujood Hai Ham To Dekh Rahe Hai Aap Hazraat Yahood Aur Nasara Ke Intizaar Me Hai Ke Woh Koi Dawa Iyjaad Kare Jin Ki Mukhalifat Me Zindagi Guzarte Hai?
JAWAAB: Nabi SAV Ne Ulma Ko Ambiya Ka Waris Qaraar Diya Hai Aur Ambiya Daai Ilallaah Hote Hai Binaae Sabab Ulmaae Ummat Bhi Quraan Aur Hadees Ki Dawat Logo Me Aam Karte Hai Quraan Kareem Noor Aur Hikmat Ki Kitaab Hai Yah English Dawaao Ki Kitaab Nahi Hai Ke Ulma Is Me Research Kar Ke Dawa Iyjaad Karte Rahe Agar Yah Baat Aap Ulma Se Keh Rahe Hai To Kya Allaah Aur Uske Rasool Se Bhi Shikayat Karenge Ke Unhone QURBAAN Me Qayamat Tak Aane Wali Bimari Ka Ilaaj Nahi Batlaya? Allaah Ke Rasool Ne Kodh Aur Ta'un Se Bachne Ki Taaleem Di Magar Kodhi Aur Ta'un Zadah Shakhas Ka Ilaaj Nahi Batlaya Umar RA Ne Ta'un Amwaas Me Hazaaro Musalmaano Ko Marta Chhod Diya Unhone Koi Dawa Bana Kar Musalmano Ko Nahi Bachaya?
Yaha Ek Baat Aham Yah Hai Ke Koi China Ki Tarah Ganda Kaam Hi Kuy Kare Ke Yah Aysi Khatarnaak Bimaari Phail Jaae Aur Dusri Baat Yah Ke Agar Yah Virus Azaab Hai To Use Allaah Hi Taal Sakta Hai Aur Teesri Baat Yah Hai Ke Yahood Aur Nasara Ki Mukhalifat Sirf Mazhabi Chizo Me Hai Duniyawi Mamlaat Me Nahi.

SAWAAL(15): Corona Laahiq Hone Ke Khauf Se Log Mukhtalif Qisam Ke Azkaar Aur Mutaiyyan Surat Maslan Surah Nooh,Surah Baqarah,Surah Yaseen Padh Rahe Hai Ek Sahih Aqeedah Musalmaan Ko Kis Qisam Ki Duae Aur Azkaar Padhna Chahiye?
JAWAAB: Ek Baat Achchi Tarah Samjh Le Ke Corona Virus Door Karne Ke Liye Islaam Me Koi Makhsoos Zikar Makhsoos Surah Makhsoos Namaaz Aur Koi Makhsoos Tariqah Nahi Hai. Jo Log Corona Virus Bhagane Ke Liye Surah Nooh Padh Rahe Hai Ya Koi Makhsoos Zikar Kar Rahe Hai Ya Makhsoos Namaaz Padh Rahe Hai Ya Chhat Par Azaan De Rahe Hai Ya Durood E Tanjina Padh Rahe Hai Sab Bid'at Aur Khuraafaat Me Mulawwis Hai Yaqeenan Yah Waqt Badi Mushkil Ka Hai Ayse Waqt Me Hame Allaah Ki Taraf Ruju Karna Chahiye Apne Gunaaho Ko Yaad Kar Ke Us Se Maafi Mangni Chahiye Aur Guryawazaari Ke Sath Duaae Karni Chahiye.

SAWAAL (16): Hadees Me Mazkoor Hai Ke Madinah Me Ta'un Daakhil Nahi Hoga Magar Aaj Kal Madinah Me Wabaai Marz Corona Virus Ka Khatrah Hai Aur Logo Ko Apne Gharo Me Mehsoor Kar Diya Hai Fir Hadees Ka Kya Jawaab Hoga?
JAWAAB: Waqai Yah Paishan Goi Rasool SAV Ki Sahihain Me Maujood Hai Aur Hame Aap Ki Baat Par 100% Yaqeen Hai Ke Yah Paishan Goi Bar Haq Hai Aap Ki Paishan Goi Har Qisam Ke Wabaai Marz Ke Bare Me Nahi Hai Balke Khaas Ta'un Ke Bare Me Hai Yani Madinah Me Kabhi Ta'un Nahi Phaile Gi Taham Dusre Amraaz Aur Dusri Qisam Ki Waba Phail Sakti Hai Jaisa Ke Umar RA Ke Zamane Me Madina Me Aysi Waba Phaili Thi Jis Me Kasrat Se Log Mar Rahe The.

SAWAAL (17): Aaj Ham Dekhte Hai Corona Virus Ki Wajah Se Tawaaf Ruk Gaya Umrah Band Hai Mumkin Hai Haj Bhi Multawi Ho Jaae Kya Yah Qayamat Ki Nishani Nahi Hai Jaisa Ke Hadees Me Hai Qayamat Us Waqt Tak Qaim Na Hogi Jab Tak Baitullaah Ka Haj Na Ruk Jaae?
JAWAAB: Abhi Waqti Taur Par Logo Ko Tawaaf Aur Umrah Se Roka Gaya Hai Fir Shuru Kiya Jaae Ga Jab Ke Haj Ke Bare Me To Qatai Faisla Nahi Hua Hai Ke Is Saal Hoga Ke Nahi Hoga Qayamat Ke Qareeb Jab Haj Bitullaah Rok Diya Jaae Ga Us Waqt Aur Bhi Qayamat Ki Nishaniya Zahir Hogi Maslan Sahih Bukhari 1593 Me Hai Ke Yajooj Aur Majooj Ke Nikalne Ke Baad Bhi Haj Aur Umrah Hoga Jab Ke Abhi To Yajooj Majooj Ka Zuhoor Bhi Nahi Hua Fir Corona Virus Ki Wajah Se Waqti Taur Par Umrah Aur Tawaaf Band Kiye Jane Ko Qayamat Ki Nishani Kaise Qaraar Di Jaae Gi Hame Yah Bhi Maloom Hai Ke Zamana E Maazi Me Kitni Baar Haj Aur Umrah Band Ho Chuka Hai Yah Koi Pehli Baar Nahi Hai Ke Tawaaf E Baitullaah Band Hua Hai.

SAWAAL (18): Kuch Ilaaqo Me Virus Ko Bhagaane Ke Liye Log Ek Sath Roza Rakh Rahe Hai Aur Makhsoos Qisam Ki Namaaz E Padh Rahe Hai Kya Hame Unke Sath Aysa Karna Chahiye?
JAWAAB: Yah Bid'at Hai Is Tariqah Se Virus Bhage Ga Nahi Aur Bhi Badh Jaae Ga Kuy Ke Galat Tariqah Se Bimaari Ka Ilaaj Karne Par Yaqeeni Hai Ke Bimaari Me Mazeed Izafa Hoga Musibat Me Waqt Hame Nabi Se Roza Rakhne Ka Suboot Nahi Milta Hai,Haa Pareshani Aur Ghabrahat Ke Waqt Namaaz E Padh Sakte Hai Magar Makhsoos Tariqah Par Nahi Ke Fala Surah Aur Namaaz Baad Fala Zikar Itni Dafa Aur Fala Dua Itni Daf'a Us Se Pehle Faraaiz Ada Kare Yani 5 Waqt Ki Farz Namaaz Ada Hi Na Kare Sirf Chand Azkaar Padh Le Ya Ek Waqt Ki Nifal Namaaz Kare To Us Se Kuch Nahi Hoga.

SAWAAL (19): Aap Se Ek Sawaal Hai Ke Aaj Kal Jis Qisam Ke Haalat Hai Ayse Me Qunoot E Nazila Padhna Sahih Hai Aur Dua Me Bimariyo Ki Duae Bhi Padh Sakte Hai?
JAWAAB: Naazila Musibat Ko Kehte Hai Aur Qunoot Dua Ka Naam Hai Yani Musibat Ke Waqt Dua Karna Qunoot E Naazila Hai Corona Virus Aysi Musibat Aur Bala Hai Jis Ki Lapet Me Sari Duniya Hai Ayse Me Daf'a Bala Ki Garaz Se Farz Namaazo Me Qunoot E Naazila Padhi Ja Sakti Hai Aur Chunke Qunoot E Naazila Ki Duaae Khaas Nahi Hai Is Wajah Se Tamam Qisam Ki Masurah Duaae Padh Sakte Hai Qunoot E Naazila Ke Alawah Darmiyaan Namaaz,Namaaz Ke Baad Aur Tamam Afzal Awqaat Me Bimariyo Se Hifaazat Aur Daf'a Bala Ki Dua Mang Sakte Hai.

SAWAAL (20): Azaan Me 《صلوا في الرحالكم》 Kab Kehna Hai Aur Uske Jawaab Me Azaan Sunne Wala Kya Kahe Ga?
JAWAAB: Jab Shadeed Baarish Ho Ya Shadeed Thandak Ho Aur Logo Ki Masjid Pohnchne Me Takleef Ka Samna Ho To Muazzin Masjid Me Azaan De Ga Aur حى على الصلاة Ki Jagah Do Martaba صلوا في الرحالكم Kahe Ga Aur Baqiya Kalmaat حى على الفلاح، حى على الفلاح،الله أكبر،الله أكبر، لا اله الا الله Tak Mukammal Kare Ga. صلوا في الرحالكم Ke Jawaab Me Kuch Nahi Kaha Jaae Ga Kuy Ke Yah Azaan Ke Kalamaat Nahi Hai.
SAWAAL(21): Kya Mask Laga Kar Namaaz Padh Sakte Hai?
JAWAAB: Go Ke Bahaalat Namaaz Munh Dhakne Se Man'a Kiya Gaya Hai Magar Un Dino Corona Virus Phailne Ke Dar Se Mask Lagana Zaroorat Hai Lihaza Aysi Jagah Jaha Chand Afraad Ikhatta Ho Kar Namaaz Padh Rahe Ho Waha Mask Laga Sakte Hai Aur Jaha Aap Akele Namaaz Padh Rahe Hai Waha Mask Ki Zaroorat Nahi Rehti Waha Bagair Mask Namaaz Padhe.

SAWAAL (22): Ghar Me Jamaat Banane Ka Tariqah Kaar Kya Hoga?
JAWAAB: Ghar Me Jab Farz Namaaz Padhe To Behtar Hai Ke Ghar Ke Tamam Afraad Ek Sath Padhe Taaki Jamaat Ka Sawaab Mile Uska Tariqah Yah Hoga Ke Mard Imaam Ke Piche Mard Khade Ho Aur Mard Ke Piche Aurte Khadi Ho Yani Aurte Mard Ki Saf Me Khadi Nahi Ho Sakti Balke Mard Ke Piche Khadi Hongi Yaha Tak Ke Biwi Bhi Shohar Ke Bagal Me Khadi Nahi Ho Sakti Miya Biwi Dono Mil Kar Namaaz Padhe Tab Bhi Shohar Aage Aur Biwi Piche 2 Mard Jamaat Se Padhe To Muqtadi Imaam Ke Right Khada Hoga Ek Aurat Dusri Aurto Ki Imaamat Kara Sakti Hai Unka Imaam Darmiyan Me Hoga Aur Koi Aurat Mard Ki Imamat Nahi Kara Sakti Hai Na Hi Aurto Ki Jamaat Me Koi Mard Shamil Ho Skata Hai.

SAWAAL (23): Aaj Kal Log Ahtiyaati Taur Par Ek Dusre Se Musafiha Karne Se Katra Rahe Hai Usme Koi Gunaah To Nahi Hai?
JAWAAB: Usme Koi Gunaah Nahi Hai Nabi SAV Ne Ek Kodhi Se Hath Nahi Milaya Is Liye Hame Sunnat Se Bhi Daleel Milti Hai Ke Majburi Me Musafa Chhod Sakte Hai Aur Islaam Me Sath Musafah Karna Zaroori Bhi Nahi Hai Yah Masnoon Amal Hai.

SAWAAL (24): Corona Virus Se Duniya Me Hazaaro Log Mar Gae Agar Yah Allaah Ka Azaab Hai To Isme Hamare Liye Koi Nasihat Hai?
JAWAAB: Isme Koi Shak Nahi Hai Ke Corona Virus Ki Wajah Se Aaj Puri Duniya Uski Lapet Me Hai Aur Hazaaro Ki Tadad Me Maut Waqe Ho Chuki Hai Aur Roz Ba Roz Amwaat Ka Silsila Jari Hai Jane Kab Tak Yah Chalta Rahe Is Mahamari Se Jaha Duniya Me Bahut Kuch Jani Aur Mali Nuqsaan Hua Aur Ho Raha Hai Us Se Alag Uske Kuch Fawaaid Aur Samaraat Bhi Nazar Aa Rahe Hai. Ek Taraf Kaafir Aur Zaalim Aur Taqatwar Qaum ka Nasha Chakna Choor Hote Aur Uski Be Basi Ka Manzar Dekhne Ko Mil Raha Hai To Wahi Musalmano Ko Allaah Ki Taraf Ruju Karne Ka Apne Gunaaho Se Taubah Karne Ka Aur Imaan Aur Bharosa Mazboot Karne Ka Mauqah Mil Raha Hai.

SAWAAL (25): Ilyaas Qaadri Logo Ko Corona Virus Se Hifazat Ke Liye Koi Ta'veez De Rahe Hai Kya Ham Is Mauqah Se Ta'veez Laga Sakte Hai?
JAWAAB: Ta'veez Latkana Shirk Hai Aur Shirk Se Bada Koi Gunaah Nahi Aap Zara Soche Ke Koi Bade Gunaah Ke Zariya Musibat Taal Sakta Hai? Hargiz Nahi Is Liye Zaahir Hai Ke Corona Virus Ke Liye Ham Ta'veez Nahi Latka Sakte Balke Kisi Bhi Mauqah Par Ta'veez Latkana Jaiz Nahi Hai.
Aakhir Me Ek Paigaam Dena Chahta Hu Ke Aaj Hamare Mulko Me Lockdown Hai Ham Apne Gharo Me Mehsoor Hai Deeni Mashaagil, Dunyawi Kaam Kaaj Aur Har Qisam Ki Tijaarat Muattal Hai Ayse Me Ek Taraf Gharo Me Qaid Hone Se Faarig Waqt Kaafi Mil Raha Hai Dusri Taraf Rozana Kamane Khane Walo Ke Ghar Khane Pine Ki Kami Hai Is Tanaazur Me Ham Sab Ko 2 Kaam Karne Hai Ek Kaam Gharelu Hai Woh Yah Ke Apne Bachcho Ko Deen Sikhaae,Duaae Aur Quraan Hifz Karaae Aur Khood Bhi Mutalia Kare,Deeni Bayanaat Se Faidah Uthaae Aur Faraaiz Ke Sath Raat Ki Ibaadat Kar Ke Allaah Se Panaah Talab Kare. Dusra Kaam Samaaji Hai Woh Yah Ke Jin Logo Ke Ghar Faaqe Aur Majburiya Ho Unka Maali Madad Kare. Allaah Ham Sab Ke Imaan Aur Mulk Aur Qaum Ki Hifaazat Farmaae. Aameen

Note: Musalmaano Ki Bhalaai Ke Liye Yah Social Media Par Virul Kare.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
A Masail 0
Shona shaikh Masail 0

Similar threads


Top