Kuffar ko unke tehwaron par mubarak-baad dene ka kya hukm hai?


Staff Member

Member
Staff member
Kuffar ko unke tehwaron par mubarak-baad dene ka kya hukm hai?

Alhumdulillah!
Tamaam ulama ka is baat par ittefaq hai ke Christmas ya kuffar ke deegar mazhabi tehwaron par mubarak-baad dena haraam hai, jaise ke Ibn e Qayyim Rahimaullah ne apni kitaab "Ahkaam Ahl al-zimmah" mein naqal kiya hai, aap kehte hain :
" kufriya Sha'a'ir (rusoom, ibadaat) par Tahniyat (mubarak-baad) dena haraam hai, aur is par sab ka ittafaq hai, misaal ke taur par unke tehwaron aur rozon ke barey mein mubarak-baad dete hue kehna :" aapko eid mubarak ho" ya kehna" is eid par aap khush rahen" waghera, is tarha ki mubarak-baad dene se kehne wala kufr se to bach jata hai lekin yeh kaam haraam zaroor hai, bilkul usi tarha haraam hai jaise saleeb ko sajda karne par usay mubarak-baad di jaye, balke yeh Allah ke haan sharaab noshi, qatl aur zina wagerah se bhi bada gunah hai, bohat se aise log jin ke haan deen ki koi haisiyat hi nahi hai un ke haan is qism ke waqeat paaye jaate hain, aur unhein ahsaas tak nahi hota ke woh kitna bura kaam kar rahe hain, chunan'cha jis shakhs ne bhi kisi ko gunah, bidat, ya kufriya kaam par mubarak-baad di woh yaqeenan Allah ki narazgi mol le raha hai." Ibn Qayyim Rahimaullah ki guftagu mukammal hui.

chunan'cha kuffar ko unke mazhabi tehwaron mein mubark-baad dena haraam hai, aur hurmat ki shiddat Ibn e Qayyim Rahimaullah ne zikr kar di hai, haram is liye hai ke is mein unkay kufriya aamaal ka iqraar shaamil hai, aur kuffar ke liye us amal par izhaar e Razamandi bhi, chahe mubarak-baad dene wala is kufriya kaam ko apne liye jaaiz nahi samjhta, lekin phir bhi ek musalman ke liye haraam hai ke woh kufriya Sha'a'ir par Razamandi ka izhaar kare ya kisi ko un kaamon par mubarak-baad de, kyunke Allah taala ne apne bandon ke liye is amal ko qata'ee taur par pasand nahi kiya hai,jaise ke farmaan e baari taala hai:
إِنْ تَكْفُرُوا فَإِنَّ اللَّهَ غَنِيٌّ عَنْكُمْ ۖ وَلَا يَرْضَىٰ لِعِبَادِهِ الْكُفْرَ ۖ وَإِنْ تَشْكُرُوا يَرْضَهُ لَكُم ۗ​
Tarjumah:
"Agar tum kufr karo toh beshak Allah taala tumhara mohtaj nahi hai. Aur (haqeeqat ye hai ke) Allah taala apne bandon ke liye kufr pasand nahi karta, aur agar tum uska shukr ada karo toh ye tumhare liye uske haan pasandeeda amal hai."
[Surah Zumar(39) Ayat no:7]

Isi tarha farmaya:
الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الْإِسْلَامَ دِينًا ۚ​
Tarjumah:
Aaj mene tumhare liye deen ko mukammal kardiya. Aur tum par apna in'aam bhar-poor kardiya aur tumhare liye islam ke deen hone par raza-mand hogya."
[Surah Maidah(5) Ayat no:3 ]

lehaza kuffar ko mubarak-baad dena haraam hai, chahe koi aapka mulazmat ka saathi ho ya koi aur.

aur agar woh hamein apne tehwaron par mubarak-baad den to hum uska jawab nahi denge, kyunke yeh hamare tehwar nahi hain, aur is liye bhi ke un tehwaron ko Allah taala pasand nahi karta, kyunke ya to yeh tehwar un ke mazhab mein khud key banaye huwe hain ya phir unke deen mein to shaamil hain lekin Mohammad ﷺ par saari makhlooq ke liye nazil hone wale islam ne unki haisiyat ko mansookh kardiya hai, aur isi baarey mein Allah ne farmaya :
وَمَنْ يَبْتَغِ غَيْرَ الْإِسْلَامِ دِينًا فَلَنْ يُقْبَلَ مِنْهُ وَهُوَ فِي الْآخِرَةِ مِنَ الْخَاسِرِينَ​
Tarjumah:
Jo Shakhs Islam ke siwa aur deen talash kare, uska deen qubul na kiya jayega aur woh akhirat me nuqsan pane walo me hoga.
[Surah Aal-e-Imraan (3): Ayat no:85)

Chunancha ek musalman ke liye is qism ki taqareeb par unki dawat qubool karna haraam hai, kyunke unki taqreeb mein shaamil hona unhein mubarak-baad dene se bhi bada gunah hai .

isi tarha musalmanon ke liye yeh bhi haraam hai ke woh un tehwaron par kuffar se mushabihat karte hue taqareeb ka ehtemaam karen, ya tohfon ka tabadela karen, ya mithaiyan taqseem karen, ya khane ki dishes banayen, ya aam ta'teel (chutti, holiday) ka ehtemaam karen, kyunke nabi ﷺ ka farmaan hai : ( jo jis qoum ki mushabihat ikhtiyar karega woh unhi mein se hai)

Sheikh ul-islam Ibn e Taymiyah Rahimaullah apni kitaab "Iqtidaa’ as-siraat al-mustaqeem, mukhaalifat-o-ashaab-il-jaheem"mein kehte hain:
"kuffar ke chand ek tehwaronmein hi mushabihat ikhtiyar karne ki wajah se unke baatil par hote hue bhi dilon mein masarrat (khushi) ki lehar daud jati hai, aur basa auqaat ho sakta hai ke uski wajah se unke dil mein fursat se faida uthane aur kamzor imaan logon ko phuslane ka mauqa mil jaye"

Mazkoorah baala kaamon mein se jis ne bhi koi kaam kiya wo gunah-gaar hai, chahay us ne mujamalat karte hue, ya dili mohabbat ki wajah se, ya Haya karte hue ya kisi bhi sabab se kiya ho, uske gunah-gaar hone ki wajah yeh hai ke us ne deen e ilahi ke baare mein bila wajah narmi se kaam liya hai, jo ke kuffar ke liye nafsiyati quwwat aur deeni fakhar ka baais bana hai .

Aur Allah taala se dua hai ke musalmanon ki apne deen ki wajah se izzat afzai farmaye, aur unhein us par saabit qadam rehne ki taufeeq de, aur unheinapne dushmanon par ghalba ata farmaye, beshak woh taaqatwar aur ghalib hai .
(Majmoo’ Fataawa wa Rasaa’il as-Shaykh Ibn e ‘Uthaymeen: 3/369)

Sheikh Muhammed Salih Al-Munajjid
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Ibnatu Ali Masail 0

Similar threads


Top