Umar Asari

Administrator
Staff member
Daayen haath par tasbeeh padhne ki daleel

❀Sawaal:❀
Tasbih seedhe hath per padhni chahiye ulte hath per nahi... iske mutalliq koi daleel??

✿Jawaab:✿
Tasbeeh daayen haath par ginni chahiye. Iski daleel yeh Hadees hai:
عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: خَصْلَتَانِ، أَوْ خَلَّتَانِ لَا يُحَافِظُ عَلَيْهِمَا عَبْدٌ مُسْلِمٌ إِلَّا دَخَلَ الْجَنَّةَ، هُمَا يَسِيرٌ، وَمَنْ يَعْمَلُ بِهِمَا قَلِيلٌ، يُسَبِّحُ فِي دُبُرِ كُلِّ صَلَاةٍ عَشْرًا، وَيَحْمَدُ عَشْرًا، وَيُكَبِّرُ عَشْرًا، فَذَلِكَ خَمْسُونَ وَمِائَةٌ بِاللِّسَانِ، وَأَلْفٌ وَخَمْسُ مِائَةٍ فِي الْمِيزَانِ، وَيُكَبِّرُ أَرْبَعًا وَثَلَاثِينَ إِذَا أَخَذَ مَضْجَعَهُ، وَيَحْمَدُ ثَلَاثًا وَثَلَاثِينَ، وَيُسَبِّحُ ثَلَاثًا وَثَلَاثِينَ، فَذَلِكَ مِائَةٌ بِاللِّسَانِ، وَأَلْفٌ فِي الْمِيزَانِ فَلَقَدْ رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَعْقِدُهَا بِيَدِهِ، قَالُوا: يَا رَسُولَ اللَّهِ كَيْفَ هُمَا يَسِيرٌ وَمَنْ يَعْمَلُ بِهِمَا قَلِيلٌ؟ قَالَ: يَأْتِي أَحَدَكُمْ - يَعْنِي الشَّيْطَانَ - فِي مَنَامِهِ فَيُنَوِّمُهُ قَبْلَ أَنْ يَقُولَهُ، وَيَأْتِيهِ فِي صَلَاتِهِ فَيُذَكِّرُهُ حَاجَةً قَبْلَ أَنْ يَقُولَهَا​
Tarjumah: Syyedna Abdullaah bin Amr Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya “Do amal aise hain agar koyi musalmaan bandah un ki paabandi kar le, to jannat mein daakhil hoga aur woh bahut aasaan hain magar un par amal karne waale bahut kam hain. (Ek yeh hai ke) har namaz ke baad das (10) baar «سبحان الله » das (10) baar «الحمد الله» aur das (10) baar «الله اكبر» kahe to zabaan ki adaayegi ke aitbaar se 150 baar hai (majmoo'e taur par paanchon namaazon ke baad) aur tarazoo mein 1500 honge aur jab sone lage to 34 baar «الله اكبر» taintees (33) baar «الحمد الله» aur 33 baar «سبحان الله» kahe. zabaani taur par to yeh 100 baar hai magar meezaan mein yeh tasbeehaat 1000 hongi.” Yaqeenan main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekha, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam inhein apne haath se shumaar karte the. Sahaba ne poocha: Aye Allah ke Rasool! Yeh kaise hai ke yeh amal aasaan hai magar karne waale thode hain? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya “Sote waqt mein kisi ke paas shaitaan aa jaata hai aur is se pehle ke woh yeh tasbeehaat poori kar le, woh use sula deta hai aur (isi tarah) namaz mein shaitaan aa jaata hai aur use koi kaam yaad dila deta hai to woh unhein padhe baghair hi uth jaata hai .”
(Abu Dawood: 5065)
√ Shaikh Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai.

Is mein “بِيَدِهِ” mein “ید” waahid (singular) istemaal huwa hai jis se ma’loom huwa ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ek hi haath se tasbeeh ginte the, aur yeh baat maroof o mash-hoor hai ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam har ahem kaam mein daayen haath ko pasand karte the.
حَدَّثَنَا عَبْدَانُ، أَخْبَرَنَا عَبْدُ اللَّهِ، أَخْبَرَنَا شُعْبَةُ، عَنْ أَشْعَثَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ مَسْرُوقٍ، عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا، قَالَتْ: كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُحِبُّ التَّيَمُّنَ مَا اسْتَطَاعَ فِي طُهُورِهِ وَتَنَعُّلِهِ وَتَرَجُّلِهِ
وَكَانَ قَالَ: بِوَاسِطٍ قَبْلَ هَذَا فِي شَأْنِهِ كُلِّهِ​
Tarjumah: Hazrat Aisha Radhiallahu Anha ne bayan kiya ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam jahaan tak mumkin hota paaki haasil karne mein, joota pehan-ne aur kangha karne mein daahni taraf se ibtidaa karte.
Ash'as (is hadees ka rawi) jab Waasit shahar mein tha to us ne is Hadees mein yun kaha tha ke har ek kaam mein Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam daahni taraf se ibtidaa karte.
والله أعلم بالصواب​
 
Daayen haath par tasbeeh padhne ki daleel aur is muamile me pesh ki jaane wali riwaayaat ZAYEEF hain
حَدَّثَنَا عُبَيْدُ اللَّهِ بْنُ عُمَرَ بْنِ مَيْسَرَةَ، وَمُحَمَّدُ بْنُ قُدَامَةَ، - فِي آخَرِينَ - قَالُوا حَدَّثَنَا عَثَّامٌ، عَنِ الأَعْمَشِ، عَنْ عَطَاءِ بْنِ السَّائِبِ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو، قَالَ رَأَيْتُ
رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم - يَعْقِدُ التَّسْبِيحَ قَالَ ابْنُ قُدَامَةَ - بِيَمِينِهِ ‏.​

Sunan Abi Dawod Hadis No.1502 me sidhe haath par tasbeeh padhne wali hadis ko HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI rahimahullah ne 'AMASH' rahimahullah ki tadlees ki wajah se ZAYEEF qaraar diya hai.....

Dekhiye: Sunan Abi Dawod, kItab-us-Salat, Abwaab-ul-Witr, Baab: Kankarion par tasbeeh padhna, Hadis No.1502, jild:2, page:186, Published Darussalm

Dono haath par tasbeeh padhne ka faayedah:
Qyaamat ke din hamare jisam ke har hisse se gawahi lijayegi lihaza dono haath ki ungliyan in me shaamil hain jaisa ke ALLAH TA'ALA irshaad farmate hain:
الْيَوْمَ نَخْتِمُ عَلَى أَفْوَاهِهِمْ وَتُكَلِّمُنَا أَيْدِيهِمْ وَتَشْهَدُ أَرْجُلُهُمْ بِمَا كَانُوا يَكْسِبُونَ
(Suyah al-Yaaseen:65)
"Aaj hum unke mohon par huhar kardenge aur unke haath hum se baat karenge aur unke paaon unke kiye ki gawaahi denge".

Last edited:

Apna ilmi taaruf bhi pesh kar den. Taaki usi hisaab se aap se guftugu ho sake.
Mazeed yeh ki meri post mein konsi cheez ghalat hai uski taraf rehnumaayi kar den
 
ASSALAMU ALAIKUM
ye koi itna bada mas'alah hai nahi ke ulama me is ko lekar ikhtilaaf payaa jata ho mera sirf ye kahna hai ke chonke hamare har azo ko qyamat ke din jawab dena hai to lihaza dono hathon ki unglion par tasbeeh padhna bahtar hai aur chonke kisi haath ki takhsees nahi hai ke aap dayen par hi padhe yaa baayen par he padhe ...... agar sarahat ke saath takhsees hai to aap usko pesh karden .....
jazakallahu khair.......
 
mai koi aalim to hon nahi bas ek taalibe ilm hon mujhe is baat ka pata tha so maine share karna laazim samjha aur agar kisi ke paas sidhe haat ki unglion par padhne ki dalil hai to us par amal karna mustahib hai aur isee tarah kisi ke paas left hand ki unglion par tasbeeh padhne wali hadis hai aur uska zuaf bhi wo jaanta ho haalaanke wo aalim nahi hai phir bhi usko ye chhiye ke us zayeef hadis ki wajah se dono haathon par tasbeeh padhle is me koi harj nahi
 
Umar Asari

Administrator
Staff member
ASSALAMU ALAIKUM
ye koi itna bada mas'alah hai nahi ke ulama me is ko lekar ikhtilaaf payaa jata ho
Walaikum Assalam
To phir comment karne ki wajah? Woh bhi mere post mein maujood kisi baat par comment nahi kiya. Alag se aap ne ek ajeeb mauqif pesha kiya!
mera sirf ye kahna hai ke chonke hamare har azo ko qyamat ke din jawab dena hai to lihaza dono hathon ki unglion par tasbeeh padhna bahtar hai aur chonke kisi haath ki takhsees nahi hai ke aap dayen par hi padhe yaa baayen par he padhe
Aap alim bhi nahi aur ajeeb istedlaal bhi pesh kar rahe hain?
Hum Quran o Hadees ko Fahm e Salaf ke mutabiq samajhte hain. Ulama ki rehnumaayi haasil karte hain.
Aur jahan tak aapke istedlaal ka talluq hai to woh sahih nahi. Kiunki agar ek haath se bhi insaan agar tasbeeh padhta hai to woh bhi aapke mutabiq gawaahi denge. Mazeed yeh ki aapki daleel ka tasbeeh se door door tak koi talluq nahi.
agar sarahat ke saath takhsees hai to aap usko pesh karden .....
jazakallahu khair.......
Dalail to maine apni post mein zikr kar diye hain.
mai koi aalim to hon nahi bas ek taalibe ilm hon mujhe is baat ka pata tha so maine share karna laazim samjha
Aap ko kya lagta hai ki hum logon ko in sab ka ilm nahi ki sanad mein A’mash mudallis hain? Ya Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahumullah ne is Hadees par kalaam kiya hai?
aur isee tarah kisi ke paas left hand ki unglion par tasbeeh padhne wali hadis hai aur uska zuaf bhi wo jaanta ho haalaanke wo aalim nahi hai phir bhi usko ye chhiye ke us zayeef hadis ki wajah se dono haathon par tasbeeh padhle is me koi harj nahi
Kahan hai baayen haath par padhne ki daleel? Mujhe bhi dikhaayen?
Aur kya agar koi Hadees zaeef ho to us ke khilaaf hi amal kiya jaata hai?
Meri naseehat yaad rakhen ki agar aapko kisi ek cheez ka ilm ho jaaye to zaroori nahi ki duniya mein bus wahi ek cheez hai. Kisi bhi masle mein tafseel se ilm ulama ko ya muhaqqiqeen ko hota hai. Ya phir hum jaise talib e ilm ko. Aap apne aapko talib e ilm keh rahe hain to aap ne kin kin ulama se ilm haasil kiya hai? Ya sirf kuch kitaabein padhi hain? Yaad rahkhen ki aap bhi talib e ilm hain aur main bhi, lekin aap ek alag talib e ilm hain jab ki main ek alag!
 
Assalamu Alaikum warhamatullahi wabarkatoho
Mere bhai ISRAR HUSSAIN
Shoyeb Arnouat ne likha hai ke 'Ata Bin Saayib' rahimahullah ke ikhtilaat se qabl Amash rahimahullah ne ye riwaayat bayaan ki hai lihaza Shoyeb Arnaout ne is riwaayat ko Sahih Qaraar diya hai…..
Israr Hussain Bhai is riwaayat ki Zuaf ki bunyaad Ata Bin Saayib ka ikhtilaat nahi hai balke Amash rahimahullah ki tadlees ki wajah se ye riwaayat ZAYEEF qaraar paayi hai….
is se ek baat to zaahir hogayi hai ke Shoyeb Arnaout ne sarahatan Amash rahimahullah ki tadlees ko nazar andaaz kardiya lihaza Shoyeb Arnoaut ki tahqiq is riwaayat me qaabile etemaad nahi hosakti ….
Haalaanke aap ye bhi dekhen ke MUHADDIS ALBANI rahimahullah ke yahaan baazaabtah ye usool qaayim hai ke "ZAYEEF + ZAYEEF = HASAN is bunyaad par Shaikh Albaani rahimahullah ne is riwaayat ko dorust kaha hai …
jabke Shoyeb Arnaout ke yahan to koi zaabtah yaa usool sare se maujood nahi hai……
To phir kis bunyaad par Shoyeb Arnaout ki tahqiq ko tasleem kiya jaasakta hai???
 
Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatoho
main bahut mazirat khaah hon aur is baat par sharmindah hon ke is tarah se bhi react kya jaasakta hai.........
mujhe is baat ka bilkul andaazah nahi tha
 
Umar Asari

Administrator
Staff member
jabke Shoyeb Arnaout ke yahan to koi zaabtah yaa usool sare se maujood nahi hai……
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu
Aapki saari baaton par kuch na kuch likha jaa sakta hai. Lekin aapki yeh baat bahut hi khatarnaak hai. Kya aap ne Shaikh Shoaib Arnout Rahimahumullah par dirasah kiya hai? Ki aap ko unki tehqeeq mein koi usool hi nazar nahi aata???
 
Umar Asari

Administrator
Staff member
is se ek baat to zaahir hogayi hai ke Shoyeb Arnaout ne sarahatan Amash rahimahullah ki tadlees ko nazar andaaz kardiya lihaza Shoyeb Arnoaut ki tahqiq is riwaayat me qaabile etemaad nahi hosakti ….
Wahi to main aap se poochhna chaahta hun ki aap ek aami ho kar A’mash ki tadlees ko jaante hain lekin mujhe hairat hai ki Shaikh Shoaib Arnout ko itni chhoti si baat nahi maloom thi?
 
Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatoho
to phir aap ko is baat ka ilm bhi hoga ke Shaikh Albaani rahimahullah ne Shoeb Arount ke bareme me kya kaha hai ?
yaa yeh bhi mujh jaise aami ko ye baat batani padegi?
aur maine kabhi ye nahi kaha ke main A'mash ki tadlees ko jaanta hon itni awqaat to meri hai hi nahi ......
balke is mas'le me maine MUHADDIS HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI rahimahullah ki tahqiq pesh ki thi.....
 
Umar Asari

Administrator
Staff member
Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatoho
to phir aap ko is baat ka ilm bhi hoga ke Shaikh Albaani rahimahullah ne Shoeb Arount ke bareme me kya kaha hai ?
yaa yeh bhi mujh jaise aami ko ye baat batani padegi?
aur maine kabhi ye nahi kaha ke main A'mash ki tadlees ko jaanta hon itni awqaat to meri hai hi nahi ......
balke is mas'le me maine MUHADDIS HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI rahimahullah ki tahqiq pesh ki thi.....
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu
Shaikh Albani ne Shaikh Shoaib ke baare mein kya kaha aur Shaikh Shoaib ne Shaikh Albani ke baare mein kya kaha aap us ko chhoden. Aap ne jo kaha us par baat karen.
aur maine kabhi ye nahi kaha ke main A'mash ki tadlees ko jaanta hon itni awqaat to meri hai hi nahi ....
Aap ne zikr bina maloom huwe hi keh diya? Chaahe jaise aap ko maloom ho ya na bhi maloom ho, aap ne us ko zikr kiya.

Ab tak aap se baat karne ka koi behtar nateeja nahi mila hai, aap ne har baar dawe to badey badey kiye lekin na us ko saabit kar paaye aur na hi rujoo’.
 
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu
Shaikh Albani ne Shaikh Shoaib ke baare mein kya kaha aur Shaikh Shoaib ne Shaikh Albani ke baare mein kya kaha aap us ko chhoden. Aap ne jo kaha us par baat karen.

Aap ne zikr bina maloom huwe hi keh diya? Chaahe jaise aap ko maloom ho ya na bhi maloom ho, aap ne us ko zikr kiya.

Ab tak aap se baat karne ka koi behtar nateeja nahi mila hai, aap ne har baar dawe to badey badey kiye lekin na us ko saabit kar paaye aur na hi rujoo’.
aap ye to batayen maine kin batonn par dawa kiya hai??????????????????
 
sab se badi baat ke aap ek aalim hain aur main mahez ek aami hon aap main aur mujh mein zameen aasmaan ka farq hai.......
mere ilm mein ek baat thi so maine usko SAHRE kya likin aap ne is baat ko bahut zyaadah tool de diya....
hona to ye chahiye tha ke agar aapke paas koi daleel hoti to pesh kardete ......
main bahaisiyat -e- ek aami pora haq rakhta honke main aap se daleel talab karon ..................
 
Umar Asari

Administrator
Staff member
aap ye to batayen maine kin batonn par dawa kiya hai??????????????????
Pehla dawa:
Daayen haath par tasbeeh padhne ki daleel aur is muamile me pesh ki jaane wali riwaayaat ZAYEEF hain
Doosra dawa:
Dono haath par tasbeeh padhne ka faayedah:
Qyaamat ke din hamare jisam ke har hisse se gawahi lijayegi lihaza dono haath ki ungliyan in me shaamil hain
Teesra dawa:
is se ek baat to zaahir hogayi hai ke Shoyeb Arnaout ne sarahatan Amash rahimahullah ki tadlees ko nazar andaaz kardiya lihaza Shoyeb Arnoaut ki tahq
Chautha dawa:
jabke Shoyeb Arnaout ke yahan to koi zaabtah yaa usool sare se maujood nahi hai…
 
asslamu alaikum warahmatullahi wabarakatoh
Awwalan to ye koi dawa nahi hai .....
bilfarz agar aap ke mutabiq ye dawa hai to daleel ki bunayaad par is ka rad bhi kiya jaasakta hai.........
 
Umar Asari

Administrator
Staff member
asslamu alaikum warahmatullahi wabarakatoh
Awwalan to ye koi dawa nahi hai .....
bilfarz agar aap ke mutabiq ye dawa hai to daleel ki bunayaad par is ka rad bhi kiya jaasakta hai.........
Walaikum Assalam
 
Similar threads

Top