Darse E Hadees (30 Ahadees E Mubaraka)


Staff Member

Member
Staff member
بــسـم الله الــرّحــمــن الــرّحــيــم
(Bachchon Ki Deeni Taleem Ke Liye 30 Ahadees E Mubaraka)

By: Shaykh Abu Zaid Zameer Hafizahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi
_______________________


Hadees No. 1. Emaan Par Jame Rehna:

"Keh "Main Allah Par Emaan Laaya" Phir Isi Par Jam Jaa." (1)

Hadees No. 2. Allah Ki Makhlooq Mein Gaur Karna:

"Allah Ki Makhloqaat Mein Gaur O Fikr Kiya Karo." (2)

Hadees No. 3. Nafa Waley Ilm Ki Talab Karna:

"Allah(ﷻ) Se Nafa Wala Ilm Maanggo, Aur Aise Ilm Se Panha Maanggo Jo Nafa Na Dey." (3)

Hadees No. 4. Ilm Ki Hifazat Karna:

"Ilm Ko Likh Kar Qaid Kar Lon." (4)

Hadees No. 5. Achchyi Tarha Wuzu Karna:

"Achchyi Tarha Wuzu Kiya Karo." (5)

Hadees No. 6. Aazaan Ka Jawaab Deyna:

"Jab Tum Aazaan Suno Tou Waisa Hi Kehtey Jaao Jis Tarha Muazzan Kehta Hai." (6)

Hadees No. 7. Waqt Par Namaz Aada Karna:

"Namaz Us Ke Waqt Par Aada Karo." (7)

Hadees No. 8. Maal Ki Zakaat Aada Karna:

"Jo Zakaat Tujh Par Farz Hai Usse Aada Kar." (8)

Hadees No. 9. Rozon Mein Burayi Se Bachna:

"Rozah (Jahannum Se) Bachao Hai Lehaza Rozah Daar Hargis Behayayi Aur Jahalat Ki Harkat Na Karen." (9)

Hadees No. 10. Haj Mein Jaldi Karna:

"Jo Haj Karne Ka Iradah Rakhta Hai Wo (Us Ke Liye) Jaldi Karen." (10)

Hadees No. 11. Qur'an Ki Tilawat Ke Aadab:

"Apni (Achchyi) Aawaaz Se Qur'an Ko Zeenat Do." (11)

Hadees No. 12. Allah Se Bhalayi Ki Dua Karna:

"Allah(ﷻ) Se Duniya Aur Aakhirat Mein Muaafi Aur Aafiyat Maanggo." (12)

Hadees No. 13. Naap Tol Mein Sakhawat Baratna:

"Jab Tum (Deyte Waqt) Tolo Tou Jhukta Tolo." (13)

Hadees No. 14. Halaal O Haraam Ka Khayaal Rakhna:

"Jab Koi Cheez Tere Jee Mein Khatakne Lagey Tou Usey Chohor Dey." (14)

Hadees No. 15. Aamanatdari Se Rehna:

"Jisne Tumhare Paas Aamanat Rakkhi Ho Usey (Mangney Par) Us Ki Aamanat Laouta Dey Aur Us Shakhs Se Bhi Khayanat Mat Karo Jisne Tumhare Sath Khayanat Ki Ho." (15)

Hadees No. 16. Dosron Ko Khana Khilana:

"Logon Ko Khana Khilaou Aur Achchyi Baat Kiya Karo." (16)

Hadees No. 17. Khane Peeney Mein Islami Aadaab Ka Khayaal Rakhna:

"Apne Khano Par Jama Huwa Karo, Aur Us Par Allah Ka Naam Liya Karo, Us Mein Tumhare Liye Barkat Di Jayegi." (17)

Hadees No. 18. Zabaan Ka Sahih Istemaal Karna:

"Bhali Baat Kaho Tumhen Khair Naseeb Hogi, Aur Buri Baat Se Bacho Salamat Rahoge." (18)

Hadees No. 19. Gusse Se Parhez Karna:

"Gusse (Utarne) Se Parhez Kar." (19)

Hadees No. 20. Ghalti Ki Bharpaayi Karna:

"Jab Tujh Se Koi Bura Kaam Ho Jaye Tou Us Ke B'ad Hi Koi Nek Kaam Kar Ley, Wo Us Ko Mita Deyga." (20)

Hadees No. 21. Doosron Ka Bhala Chahana:

"Logon Ke Liye Wahi Pasand Kar Jo Tu Kudh Apne Liye Pasand Karta Hai." (21)

Hadees No. 22. Salaam Ko Aam Karna:

"Aise Mein Salaam Ko Riwaaj Do Tum Mein Apas Ki Muhabbat Badhegi." (22)

Hadees No. 23. Doosron Ko Takleef Se Bachana:

"Musalmaano Ke Raastey Se Takleef Dey Chizon Ko Hataya Karo." (23)

Hadees No. 24. Doosron Par Ahsaan Karna:

"Beshak Allah(ﷻ) Ahsaan Karne Wala Hai Bas Tum Bhi Ahsaan Karo." (24)

Hadees No. 25. Ek Doosren Ko Hadiyah Deyna:

"Ek Doosren Ko Hadiyah Diya Karo, Is Se Apas Mein Muhabbat Badhegi." (25)

Hadees No. 26. Doosron Se Reham'Dili Ka Sulook Karna:

"Tu Zameen Waalon Par Raham Kar Aasaam Waala Tujh Par Raham Karega." (26)

Hadees No. 27. Ijazat Se Ghar Mein Dakhil Hona:

"Jab Tum Mein Se Koi Teen Martaba (Anadar Aane Ki) Ijazat Manggey Aur Usey Ijazat Na Mile Tou Wo Wapas Lout Jaaye." (27)

Hadees No. 28. Safar Mein Aameer Ke Matehat Rehna:

"Jab Teen Aadmi Safar Mein Jayen Tou Apne Mein Se Ek Ko Aameer Bana Ley." (28)

Hadees No. 29. Nigha Ki Hifazat Karna:

"Apni Nigha Ko (Haraam Chizon Ke Dekhne Se) Pher Ley." (29)

Hadees No. 30. Maut Ke Waqt Kalimah E Tayyaba Yaad Dilana:

"Apne Marte Huwon Ko "La Ilaha Illallah" Ki Talqeen Kiya Karo" (30)

Aye Allah! Hum Sab Ko Deen Ki Sahih Samahj Aata Farma. Aameen

___________________
(1) (Musnad Ahmed, Muslim, Tirmizi, Nasai, Ibne Majah) An Sufiyaan Bin Abdullah As'saqafih. [Sahih Jamie 4395] (Sahih)

(2) (Hillatul Auliya) An Ibne Abbas. [Sahih Jamie 2976] (Sahih)

(3) (Ibne Majah, Ibne Hibban) An Jabair. [Sahih Jamie 3635] (Hasan)

(4) (Al Hakeem Sumuyiyah) An Anas. (At Tabrani, Hakim) An Ibne Umar. [Sahih Jamie 4434] (Sahih)

(5) (Nasai) An Ibne Umar. [Sahih Jamie 928] (Sahih)

(6) (Malik, Musnad Ahmed, Bukhari Wa Muslim, Abu Dawood, Tirmizi, Nasai, Ibne Majah) (An Abi Sayeed. [Sahih Jamie 615] (Sahih)

(7) [Muslim: Al Masajid Wa Mawaadhis Salah 1033]

(8) (At Tabrani) An Abi Muntafiq. [Sahih Jamie 1039] (Sahih)

(9) [Bukhaari: As'saum 1894 - Muslim: As'siyaam 1944] (Muwattah, Bukhari Wa Muslim, Abu Dawood, Ibne Majah) An Abi Huraira. [Sahih Jamie 783] (Sahih)

(10) (Musnad Ahmed, Abu Dawood, Hakim, Bihaqi) An Ibne Abbas. [Sahih Jamie 6003] (Hasan)

(11) (Musnad Ahmed, Abu Dawood, Nasai, Ibne Majah, Ibne Hibban, Hakim) An Bara'a (Abu Nasr Sijzih Fee Al Bazah) An Abi Huraira. (Ad Daarqutni Fee Al Afraad, At Tabrani) An Ibne Abbas. (Haliyatul Auliya) An Aisha. [Sahih Jamie 3580] (Sahih)

(12) (Tareekh E Baqdaad, Hakim) An Abdullah Bin Jafar. [Sahih Jamie 3631] (Sahih)

(13) (Ibne Majah Ad'diyaah) An Jabair. [Sahih Jamie 825] (Sahih)

(14) (Musnad Ahmed, Ibne Majah, Hakim) An Abi Umamah. [Sahih Jamie 484] (Sahih)

(15) (Tareekh E Bagdaad, Abu Dawood, Tirmizi, Nasai) An Abi Huraira. (Daarqutni, Ad'diyyah) An Aans. (At Tabrani) An Abi Umamah. (Abu Dawood) An Rujul Min Sahaba. (Daarqutni) An Abi Bin Ka'aab. [Sahih Jamie 240] (Sahih)

(16) (Daarqutni) An Hasan Bin Ali. [Sahih Jamie 1021] (Sahih)

(17) (Musnad Ahmed, Abu Dawood, Ibne Majah, Ibne Hibban, Hakim) An Wahshi Bin Harab. [Sahih Jamie 142] (Hasan)

(18) (Al'qazayi) An Ubada Bin Samit. [Sahih Jamie 4419] (Sahih)

(19) (Ibne Abi Ad'duniya Fee Zam Al Qazab, Ibne Aasakir) An Rujul Min Sahaba. [Sahih Jamie 143] (Sahih)

(20) (Musnad Ahmed) An Abi Zar. [Sahih Jamie 690] (Sahih)

(21) (Tareekh E Bagdaad, Abu Yala, At Tabrani, Hakim, Shoaib Ul Emaan) Abi Yazeed Bin Usaid. [Sahih Jamie 180] (Sahih)

(22) (Hakim) An Abi Musa. [Sahih Jamie 1086] (Sahih)

(23) (Muslim, Ibne Majah) An Abi Burzah. [Sahih Jamie 1052] (Sahih)

(24) (Tabqaat Ibne Saad) An Sumarah. [Sahih Jamie 1823] (Sahih)

(25) (Abu Yala) An Abi Huraira. [Sahih Jamie 3004] (Hasan)

(26) (At Tabrani) An Jurair. (At Tabrani, Hakim) An Ibne Masood. [Sahih Jamie 896] (Sahih)

(27) (Malik, Musnad Ahmed, Bukhari Wa Muslim, Abu Dawood) An Abi Musa Wa Abi Sayeed. (At Tabrani, Ad'diyyah) An Jundub Bajali. [Sahih Jamie 318] (Sahih)

(28) (Abu Dawood, Ad'diyyah) An Abi Huraira Wa Abi Sayeed. [Sahih Jamie 500] (Sahih)

(29) (Musnad Ahmed, Muslim, Abu Dawood, Tirmizi, Nasai) An Jurair. [Sahih Jamie 1014] (Sahih)


(30) (Musnad Ahmed, Muslim, Abu Dawood, Tirmizi, Nasai, Ibne Majah) An Abi Sayeed. (Muslim, Ibne Majah) An Abi Huraira. (Nasai) An Aisha. [Sahih Jamie 5148] (Sahih)
_______________
 

Top