DAULAT AUR IZZAT KI LAALACH DEEN KO KHARAAB KARDETI HAI


DAULAT AUR IZZAT KI LAALACH DEEN KO KHARAAB KARDETI HAI

بسم الله الرحمن الرحيم

• Ka'b Bin Maalik (Raziyallaahu 'Anhu) apne waalid se bayaan karte hain ke Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

مَا ذِئْبَانِ جَائِعَانِ أُرْسِلاَ في غَنَمٍ بِأَفْسَدَ لَهَا مِنْ حِرْصِ الْمَرْءِ عَلَى الْمَالِ وَالشَّرَفِ لِدِينِهِ

"Do bhedhiye jo bakriyon mein chhord diye jaayein unhein itna nuqsaan nahin pohnchaayenge jitna aadmi ka daulat aur izzat ki laalach uske Deen ko kharaab kardeti hai."

[Sunan Al-Daarmi: 2772 (Saheeh); Jaami' Al-Tirmizi: 2376]

FAWAAYED: Maal aur Martabey ki hawas Insaan ko paagal kardeti hai yahaan tak ke Insaan apne usoolon aur Deendaari ko chhord kar thodi qeemat ke liye unki taraf maayel hojaata hai, ek riwaayat mein Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya: "Yaqeenan har Ummat ka ek Fitnah hota hai aur meri Ummat ka Fitnah maal hai." [Jaami' Al-Tirmizi]

• Lihaaza khush qismat hai woh Insaan jo apne aap ko un fitnon se bachaakar Allaah (تعالى) ke haan kaamyaab hojaaye. Aye Allaah fitnon se hum sab Teri panaah chaahte hain. Aameen

- Naaqil: Abdul-Mudhill Hafizahullah
 
Last edited:

Top