4 Din Qurbani Aur Ayimmah E Araba


Abdul Adil

Member
4 Din Qurbani Aur Ayimmah E Araba

Tahreer :-
Shaikh Kifayatullah Samabili Hafizahullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

1] Imam Abu Hanifa Rahimahullah :- Baaz ne Imam Abu Hanifa Rahimahullah ki taraf 3 din qurbani ka qaul mansoob kiya hai. magar waqai Imam Abu Hanifa Rahimahullah ke nazdeek qurbani kitne din hai is silsile me Imam Abu Hanifa Rahimahullah se sahih sanad se qaul hame nahi mila.

2] Imam Safayi Rahimahullah :- Imam Safayi Rahimahullah ne apni kitab me farmaya

فإذا غابت الشمس من آخر أيام التشريق، ثم ضحى أحد، فلا ضحية له

Jab Tashreeq ke akhiri din yani 13 Jil-Hijjah ko suraj guroob hone ke baad koyi qurbani kare to uski qurbani nahi hogi.

[Al-Umm Lis Safayi Jild-2 Safa-244]


Yani 13 Jil-Hijjah ko suraj guroob hone se pahle qurbani kare to Imam Safayi Rahimahullah ke nazdeek wo qurbani jayez hogi , maloom hua ki Imam Safayi ke nazdeek qurbani ke 4 din 11 , 12 , 13 , 14 Jil-Hijjah hai


3] Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah :- Aap ki taraf 3 din aur 4 din donon tarah ke aqwaal mansoob hai

Imam Ibne Kaseer Rahimahullah (Died 774 Hijj) ne kaha

عـن ابـن عبـاس : الأيام المعلومات : يوم النحر وثلاثة أيام بعده،ويروى هذا عن ابن عمر، وإبراهيم النخعي، وإليه ذهب أحمد بن حنبل في رواية عنه.

Abdullah Ibne Abbas Razi Allahu Anhu Farmate hai ki (Allah Ta'ala ne jin maloom dino me qurbani karne ka huqm diya hai) un maloom dino se murad 10 Jil-Hijjah aur uske baad 3 din hai . Yahi baat Abdullah Ibne Umar , Ibrahim Nakahyi , se bhi marwi hai aur ek riwayat ke mutabik Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah ka bhi yahi majhab hai.

[Tafseer Ibne Kaseer Darut Tayyaba Publication Jild-5 , Safa-416]


4] Imam Malik Rahimahullah :-
Aapne 3 din Qurbani wala mauquf apnaya hai lekin is silsile me apne koyi Hadees pesh nahi ki hai. Galiban Moatta me apne Ibne Umar Razi Allahu Anhu ke qaul ki buniyad par mauquf apnaya hai. Lekin Khud Ibne Umar Razi Allahu Anhu ki taraf 4 Din Qurbani wala qaul bhi mansoob hai jaisa ki upar Ibne Kaseer Rahimahullah ki tafseer ka hawala guzar chuka hai.
 

Top