Dauran E Jama'at Masjid Me Daakhil Hone Wala Salam Kare Ya Nahi ?


Abdul Adil

Member
بِسْـــــــــــــــــــــــمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ
السَّــــــــلاَم عَلَيــْـــــــكُم وَرَحْمَــــــــــةُاللهِ وَبَرَكـَـــــــــاتُه


Dauran E Jama'at Masjid Me Daakhil Hone Wala Salam Kare Ya Nahi ?

Tahreer :- Mrs. Ansari

Romanised :- Abdul Adil Ansari

Note :- Urdu Me Padhne Ke Liye Link Par Click Karen
👇



dauran e namaz insaan ko aisa kaam nahi karna chahiye jo namaz ka hissa nahi hai aur na hi bahar se anay walay ko koyi aisa kaam karne ki ijazat hai jis se namazi hazraat ka Khushoo mutasir ho, lekin baaz kaam aisay hain jo namaz ka hissa na ho ne ke bawajood bhi douran namaz kiye ja saktay hain kyunki Sharyiat ne un ki ijazat di hai, is terhan kuch kaam aisay hain ki bahar se anay wala inhen saranjam de sakta hai, agarchay is se kisi had tak namazi ka Khushoo mutasir hota hai. un mein salam ka kehna aur is ka makhsoos andaaz se jawab dena bhi hai wazeh rahay ke namaz se mutaliqa ehkaam ki takmeel kayi aik marahil mein hoti hai. chunancha pehlay douran namaz bahar se anay walon ko salam kehnay aur namazion ko is ka jawab dainay ki ijazat thi, lekin baad mein is ijazat ko khatam kar diya gaya, chunancha 👇

Hazrat Abdullah bin masood Raji Allahu Anho kahte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam jab namaz padh rahe hote to hum aap ko salam kehte aur aap is ka douran namaz jawab bhi dete the lekin habsha ke farman rawa hazrat Najashi ke paas se wapas madinah aaye to mein ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko hasb mamool douran namaz salam kaha lekin aap ne is ka jawab nah diya mere dil mein is se mutaliq tarhan tarhan ke khayalat anay lagey. jab aap ne salam phera to mein ne is ke mutaliq aap se daryaft kiya. aap ne farmaya namaz mein masrufiyat hoti hai.

( sahih muslim, kitab Ul Masajid Hadees Number 1201 )


Ek riwayat mein hai ki
👇

jab main ne aap ko salam kaha to aap ne meri taraf ishara farmaya.

( sahih muslim Hadees Number 1205 )

in riwayaat se maloom hota hai ki douran namaz salam kaha ja sakta hai lekin aisa karna zaroori nahi hai ki agar na kaha jaye to kisi farz ka tarik qarar paye, isliye bahar se aane wale ko chahiye ke agar woh salam kehna chahta hai to ba Awaaz buland salam kahne ke bajaye nihayat shaistagi aur ahistagi se salam kahe. namaz mein masroof insaan ke liye is ka jawab kehna do tarah se jaaiz hai .

1) namaz se faraghat ke baad zabaan se is ka jawab de de, jisa ki Hazrat Abdullah bin masood Raji Allahu Anho riwayat karte hain ki unhon ne Rasoolullah ﷺ ko douran namaz salam kaha to aap ne faraghat ke baad is ka jawab diya aur is ke sath sath wazahat bhi kar di.

( Abu-dawood Kitab Us Salat Hadees 942 )

2) douran namaz apne haath ke ishara se bhi jawab diya ja sakta hai lekin zabaan se kuch nahi kehna chahiye. chunancha Hazrat Abdullah bin Umar Raji Allahu Anhu riwayat karte hain ki Rasoolullah ﷺ ek dafaa masjid e Quba Tashareef le gaye. wahan aap ne namaz padhi to wahan muqeem ansari Hazraat douran namaz Aap ﷺ ko salam karne lagey. Rasoolullah ﷺ ke hamrah Hazrat Suhaib Raji Allahu Anho the , is liye mein ne un se daryaft kiya ki Rasoolullah ﷺ un ke salam ka jawab kaisay dete thay unhon ne kaha aap apne haath se ishara karte thay.

( Ibn maja, aqamh Kitab Us Salat Hadees Number 1017 )

Hazrat Abdullah bin Umar Raji Allahu Anho ne Hazrat Bilal ؓ se bhi yahi sawal kiya tha to unhon ne bhi wohi jawab diya jo Hazrat Suhaib ؓ ne diya tha.

( jamey tirmizi, Kitab Us Salat Hadees Number - 348 )



Jabki Abu dawood mein hai ke Hazrat bilal Raji Allahu Anho ne apna haath phela kar wazahat farmai ke Rasoolullah ﷺ douran namaz is terhan jawab dete thay.

( Abu dawood, Kitab Us Salat hadees Number 927 )

darasal Shariat baaz auqaat kisi insaan ki husn niyat ke paish e nazar is ke kisi amal ko sirf juwaz ki had tak na ki afzal honay ki hesiyat se gawara kr leti hai. is liye aisay aamaal ko masnoon hone ka darja nahi diya ja sakta, jaisa ke aik aadmi ne douran jamaat ruku se uath kar ba awaaz buland' ' kalmaat Tehmid ' ' ada kiye the. Rasoolullah ﷺ ne is ke ikhlaas ke paish e nazar is ki tehseen farmai lekin khud is par amal nahi kya aur nah hi doosron ko yeh amal baza laane ki Talqeen farmai, douran jamaat salam kehna bhi isi qabeel se hai. Rasoolullah ﷺ apni zindagi mein kam azkam teen martaba douran namaz shaamil hue hain, lekin aap ka namazion ko salam kehna kisi riwayat se saabit nahi hai, agar yeh afzal amal hota to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam use zaroor baja late, isi tarhan Akabir Sahaba kiraam Raji Allahu Anho ne use juwaz ki had tak barqarar rakha hai. phir aap ke jawab dainay ki jo soorten hain un se bhi is ka afzal hona saabit nahi balki sirf juwaz saabit hota hai .

dekhieye :- fatawa ashaab al-hadith / jild 2 / safa : 112


وَبِاللّٰہِ التَّوْفِیْقُ
ھٰذٙا مٙا عِنْدِی وٙاللہُ تٙعٙالیٰ اٙعْلٙمْ بِالصّٙوٙاب
وَالسَّــــــــلاَم عَلَيــْـــــــكُم وَرَحْمَــــــــــةُاللهِ وَبَرَكـَـــــــــاتُه
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Muhammed Ali Owais Namaz 0

Similar threads


Top