DEEN e HANEEF KI PAIRWI KA HUKM


DEEN e HANEEF KI PAIRWI KA HUKM

بسم الله الرحمن الرحيم

Tehreer: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah

• Ye toh har Musalmaan jaanta hai ke Rasool Allaah (ﷺ) sabse zyaadah Allaah ki ma'rifat rakhne waale, sabse zyaadah Deen ka ilm rakhne waale, sabse zyaadah taqwey waale, sabse zyaadah Allaah se darne waale the jaisa ke khud Rasool Allaah (ﷺ) ne apne baare mein farmaaya:

أَمَا وَاللهِ إِنِّي لَأَخْشَاكُمْ للهِ وَأَتْقَاكُمْ لَهُ

"Sunlo! Allaah (تعالى) ki qasam! Allaah (تعالى) se main tum sab se zyaadah darne waala hoon aur main tum sab se zyaadah muttaqi (taqwaa rakhne waala aur parheyzgaar) hoon." [1]

• Aur is mein bhi koi shak wa shubah nahin hai ke sabse zyaadah Qur'aan par chalne waale bhi Rasool Allaah (ﷺ) hi the aur jo bhi is ta'lluq se Rasool Allaah (ﷺ) par shak karega Ya shubah rakhega ke Rasool Allaah (ﷺ) Qur'aan ke mutaabiq amal nahin karte the toh woh yaqeenan Musalmaan nahin rahega balke Kaafir hojaayega, ye baat is liye bataayi jaarahi hai ke aksar logon ka kehna hota hai ke Rasool Allaah (ﷺ) kabhi Mushrikeen se Bughz (nafrat) wa Adaawat (dushmani) nahin rakhte the, aisa kehne waalon ko jaan lena chaahiye ke woh log Rasool Allaah (ﷺ) par jhoot baandh rahey hain aur ilzaam daal rahey hain aur Qur'aan ke kayi Aayaat ko jhutla rahey hain aur Qur'aan ko jhutlaane waala Kaafir hai.

• Farmaan e ILaahi hai:

ثُمَّ أَوۡحَیۡنَاۤ إِلَیۡكَ أَنِ ٱتَّبِعۡ مِلَّةَ إِبۡرَ ٰ⁠هِیمَ حَنِیفࣰاۖ وَمَا كَانَ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِینَ

"Aur Hum ne Aap ki taraf (Aye Muhammad ﷺ) ye Wahee kee hai ke Aap Ibraaheem (عليه السلام) ki Millat ki pairwi karein, jo ke Haneef the (Akele Allaah (تعالى) ko maanne aur uski ibaadat karne waale the), jo Mushrikeen mein se na the." [2]

☆ Ibraaheem (عليه السلام) ki Millat ye hai ke Mushrikeen se alaihidgi (judaayi) aur Elaan e Baraa'at kiya jaaye ☆

• Farmaan e ILaahi hai:

قَدۡ کَانَتۡ لَکُمۡ اُسۡوَۃٌ حَسَنَةٌ فِیۡۤ اِبۡرٰهِیۡمَ وَ الَّذِیۡنَ مَعَهٗ ۚ اِذۡ قَالُوۡا لِقَوۡمِهِمۡ اِنَّا بُرَءٰٓؤُا مِنۡکُمۡ وَ مِمَّا تَعۡبُدُوۡنَ مِنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ کَفَرۡنَا بِکُمۡ وَ بَدَا بَیۡنَنَا وَ بَیۡنَکُمُ الۡعَدَاوَۃُ وَ الۡبَغۡضَآءُ اَبَدًا حَتّٰی تُؤۡمِنُوۡا بِاللّٰہِ وَحۡدَہٗۤ

"(Aye Musalmaanon) Tumhaare liye Ibraaheem (عليه السلام) aur Aap ke saathiyon mein behtareen namoonah hai ke unhone apni (Mushrik) Qaum se kaha tha ke hum tum se aur jin ki tum Allaah ke alaawah ibaadat karte ho un sab se bezaar hain, hum tumhaara aur tumhaare ma'boodon ka inkaar karte hain, hamaare aur tumhaare darmiyaan hameshah ke liye Bughz (nafrat) aur 'Adaawat (Dushmani) zaahir hochuki hai (aur hameshah rahegi kabhi khatm nahin hogi) ke jab tak tum (tamaam Ma'boodaan e Baatilah ko chhord kar) Ek Allaah ke maanne waale banjaao." [3]

Badee' Uddeen Shaah Raashdi ne apni Kitaab Tawheed e Rabbaani mein likha hai: Is Aayat e Kareemah mein ye ta'leem maujood hai ke Deen e Islaam mein ek Muwahhid ke liye kisi Mushrik se Dosti ki koi gunjaayish nahin hai, Dunyaawi kaarobaar aur Leyn Deyn chalte rahenge lekin kisi Musalmaan ka Dil kisi Mushrik se maanoos (attached) na hoga, kyunke Mushrik bazaahir kitni hi Muhabbat aur Wafaadaari ka iz'haar karey lekin darhaqeeqat woh kisi Muwahhid se khush nahin hota aur uski Taraqqi wa Bhalaayi usey hargiz pasand nahin hoti, Allaah (تعالى) ka farmaan hai:

مَّا یَوَدُّ ٱلَّذِینَ كَفَرُوا۟ مِنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَـٰبِ وَلَا ٱلۡمُشۡرِكِینَ أَن یُنَزَّلَ عَلَیۡكُم مِّنۡ خَیۡرࣲ مِّن رَّبِّكُمۡۚ

"Ahl e Kitaab mein se jinhone Kufr kiya aur Mushrikeen kabhi bhi ye pasand nahin karte ke Allaah (تعالى) ki taraf se Musalmaanon par kisi Bhalaayi aur Meherbaani ka nuzool ho." [4]

• Lihaaza Musalmaanon ko Ghairat karni chaahiye ke woh kis tarah aisey logon ko apna Dost samajhte Ya un se Dosti karte hain, kya woh ye nahin sochte ke jo log apne (Rabb Allaah) Mun'im e Haqeeqi jis ne unhein paida kiya, Rizq ataa kiya aur har tarah ki Ni'maton se nawaaza, Us ke Dushman aur Baaghi bankar Uske saath Shirk karne lagey hain toh woh kisi aur ke kaise Khayr Khwaah hosakte hain ?

☆ DEEN e HANEEF KI PAIRWI KA HUKM ☆

وَٱتۡلُ عَلَیۡهِمۡ نَبَأَ إِبۡرَ ٰ⁠هِیمَ (٦٩) إِذۡ قَالَ لِأَبِیهِ وَقَوۡمِهِۦ مَا تَعۡبُدُونَ (٧٠) قَالُوا۟ نَعۡبُدُ أَصۡنَامࣰا فَنَظَلُّ لَهَا عَـٰكِفِینَ (٧١) قَالَ هَلۡ یَسۡمَعُونَكُمۡ إِذۡ تَدۡعُونَ (٧٢) أَوۡ یَنفَعُونَكُمۡ أَوۡ یَضُرُّونَ (٧٣) قَالُوا۟ بَلۡ وَجَدۡنَاۤ ءَابَاۤءَنَا كَذَ ٰ⁠لِكَ یَفۡعَلُونَ (٧٤) قَالَ أَفَرَءَیۡتُم مَّا كُنتُمۡ تَعۡبُدُونَ (٧٥) أَنتُمۡ وَءَابَاۤؤُكُمُ ٱلۡأَقۡدَمُونَ (٧٦) فَإِنَّهُمۡ عَدُوࣱّ لِّیۤ إِلَّا رَبَّ ٱلۡعَـٰلَمِینَ (٧٧)﴾ [الشعراء ٦٩-٧٧]

• Allaah (تعالى) ne farmaaya:

"Aur un (Kuffaar) ko Ibraaheem ki khabar sunaaiye. Jab usne apne baap aur apni qaum se kaha: Tum kiski ibaadat karte ho ?. Woh kehne lagey: Hum Asnaam (buton) ki ibaadat karte hain, pas (hameshah) unhi ke mujaawar rahenge. Ibraaheem ne kaha: Kya woh tumhein sunte hain jab tum unhein pukaarte ho ?. Ya woh tumhein Nafa' dete hain Ya Zarar pohnchaate hain ?. Unhone kaha: (nahin) balke hum ne apne Baap Daada ko paaya, woh isi tarah karte the. Ibraaheem ne kaha: Kya bhala dekha tumne jinki tum ibaadat karte aarahe ho ?. Tum aur tumhaare agle Baap Daadaa ?. Toh Bilaa shubah woh mere Dushman hain, Siwaaye Rabbul-'Aalameen ke."

[Al-Qur'aan - 26: 69-77]

هَذَا إِخْبَارٌ مِنَ اللَّهِ تَعَالَى عَنْ عَبْدِهِ وَرَسُولِهِ وَخَلِيلِهِ إِبْرَاهِيمَ إِمَامِ الْحُنَفَاءِ، أَمَرَ اللَّهُ رَسُولَهُ مُحَمَّدًا، صَلَوَاتُ اللَّهِ وَسَلَامُهُ عَلَيْهِ، أَنْ يَتْلُوَهُ عَلَى أُمَّتِهِ، لِيَقْتَدُوا بِهِ فِي الْإِخْلَاصِ وَالتَّوَكُّلِ، وَعِبَادَةِ اللَّهِ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ، وَالتَّبَرُّؤِ مِنَ الشِّرْكِ وَأَهْلِهِ

☆ Ibn Kaseer (Rahimahullaah) apni tafseer mein farmaate hain: Is maqaam par Allaah (تعالى) ne apne 'Abd wa Rasool aur Khaleel, Imaamul-Hunafaa' Ibraaheem (عليه السلام) ka zikr karte hue apne Rasool Muhammad (ﷺ) ko ye Hukm diya hai ke Aap apni Ummat ko unka haal pardh kar sunaadein taake woh Ikhlaas, Tawakkul, Allaah Akele ki jiska koi shareek nahin hai usi ki Ibaadat aur Shirk wa Mushrikeen se Iz'haar e Baraa'at mein Ibraaheem (عليه السلام) ke Naqsh e Qadam par chalein.

☆ ALLAAH KE RASOOL MUSALMAAN HONE KE LIYE KIN KIN CHEEZON PAR BAI'AT LETE THE ☆

أَخْبَرَنِي مُحَمَّدُ بْنُ قُدَامَةَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا جَرِيرٌ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ مَنْصُورٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي وَائِلٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي نُخَيْلَةَ الْبَجَلِيِّ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ جَرِيرٌ:‏‏‏‏ أَتَيْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَهُوَ يُبَايِعُ، ‏‏‏‏‏‏فَقُلْتُ:‏‏‏‏ يَا رَسُولَ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏ابْسُطْ يَدَكَ حَتَّى أُبَايِعَكَ وَاشْتَرِطْ عَلَيَّ فَأَنْتَ أَعْلَمُ. قَالَ:‏‏‏‏ أُبَايِعُكَ عَلَى أَنْ تَعْبُدَ اللَّهَ وَتُقِيمَ الصَّلَاةَ، ‏‏‏‏‏‏وَتُؤْتِيَ الزَّكَاةَ، ‏‏‏‏‏‏وَتُنَاصِحَ الْمُسْلِمِينَ، ‏‏‏‏‏‏وَتُفَارِقَ الْمُشْرِكِينَ

• Jareer (Raziyallaahu 'Anhu) se riwaayat hai, Unhone kaha ke: Main Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ke paas aaya, Rasool Allaah Bai'at ley rahe the. Maine 'arz kiya: Allaah ke Rasool haath phailaaiye taake Main Bai'at karun, aur aap Shart bataaiye kyunke aap zyaadah jaante hain.

☆ Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya: "Main tum se is baat par Bai'at leta hoon ke tum Allaah (Akele) ki ibaadat karoge, Namaaz qaayem karoge, Zakaat adaa karoge, Musalmaanon ke saath Khair khwaahi aur bhalaayi karoge Aur (Kuffaar wa) Mushrikeen se alag thalag rahoge." [5]

• Ba'z log Kuffaar wa Mushrikeen se dosti karne ke liye aur apne baatil istedlaal se Rasool Allaah (ﷺ) ka Abu Taalib ke saath jo rawayya tha usko apni bunyaad banaate hain, aaiye is silsile mein khud Rasool Allaah (ﷺ) ne kya farmaaya dekhte hain:

حَدَّثَنِي أَحْمَدُ بْنُ حَنْبَلٍ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ جَعْفَرٍ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، عَنْ إِسْمَاعِيلَ بْنِ أَبِي خَالِدٍ، عَنْ قَيْسٍ، عَنْ عَمْرِو بْنِ الْعَاصِ، قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ جِهَارًا غَيْرَ سِرٍّ، يَقُولُ: «أَلَا إِنَّ آلَ أَبِي، يَعْنِي فُلَانًا، لَيْسُوا لِي بِأَوْلِيَاءَ، إِنَّمَا وَلِيِّيَ اللهُ وَصَالِحُ الْمُؤْمِنِينَ»

• 'Amr Bin 'Aas (Raziyallaahu 'Anhu) se riwaayat hai, unhone kaha ke maine Rasool Allaah (ﷺ) ko buland aawaaz se Sar e Aam (alaaniyah) ye kehte hue suna: "Yaqeenan Aal e Abi (Mere khooni Rishtedaar), ya'ni fulaan Mere Auliyaa (Wali, Dost) nahin, Mera Wali sirf aur sirf Allaah (تعالى) hai aur Neyk Mumin hain." [6]

• Aur Allaah (تعالى) ne bhi Kaafir wa Mushrik rishtedaar ke baare mein farmaaya:

یٰۤاَیُّهَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوۡۤا اٰبَآءَکُمۡ وَ اِخۡوَانَکُمۡ اَوۡلِیَآءَ اِنِ اسۡتَحَبُّوا الۡکُفۡرَ عَلَی الۡاِیۡمَانِ ؕ وَ مَنۡ یَّتَوَلَّهُمۡ مِّنۡکُمۡ فَاُولٰٓئِكَ هُمُ الظّٰلِمُوۡنَ

"Aye Eemaan waalo ! Apne baapon ko aur apne bhaaiyon ko dost na banaao agar woh Kufr ko Eemaan se zyaadah pasand karey. Tum mein se jo bhi unse muhabbat rakhega woh poora gunahgaar zaalim hai." [7]

• Doosri jagah farmaaya:

لَا تَجِدُ قَوۡمًا یُّؤۡمِنُوۡنَ بِاللهِ وَ الۡیَوۡمِ الۡاٰخِرِ یُوَآدُّوۡنَ مَنۡ حَآدَّ اللّٰہَ وَ رَسُوۡلَهٗ وَلَوۡ کَانُوۡۤا اٰبَآءَهُمۡ اَوۡ اَبۡنَآءَهُمۡ اَوۡ اِخۡوَانَهُمۡ اَوۡ عَشِیۡرَتَهُمۡ ؕ اُولٰٓئِكَ کَتَبَ فِیۡ قُلُوۡبِهِمُ الۡاِیۡمَانَ وَ اَیَّدَهُمۡ بِرُوۡحٍ مِّنۡهُ وَ یُدۡخِلُهُمۡ جَنّٰتٍ تَجۡرِیۡ مِنۡ تَحۡتِهَا الۡاَنۡهٰرُ خٰلِدِیۡنَ فِیۡهَا ؕ رَضِیَ اللهُ عَنۡهُمۡ وَ رَضُوۡا عَنۡهُ ؕ اُولٰٓئِكَ حِزۡبُ اللهِ اَلَاۤ اِنَّ حِزۡبَ اللهِ هُمُ الۡمُفۡلِحُوۡنَ

• Allaah par aur qiyaamat ke din par Eemaan rakhne waalon ko Aap Allaah aur uske Rasool ki mukhaalifat karne waalon se muhabbat rakhte hue hargiz na paaenge agarche woh unke Baap Ya unke Bete Ya unke Bhaai Ya unke Kunbah (qabeele) ke (‘azeez) hi kyun na ho. Yahi log hain jinke Dilon mein Allaah ne Eemaan ko likh diya hai aur jinki taaeed apni rooh se kee hai aur jinhen un jannaton mein daakhil karega jinke neeche nahren bah rahi hain jahaan ye hameshah rahenge, Allaah unse raazi hai aur ye Allaah se khush hain, ye Allaah ka lashkar hai, Aagaah raho beshak Allaah ke giroh waale hi kaamyaab log hai." [8]

• Is silsile mein Qur'aan mein bohat se maqaamaat par yahi maf'hoom adaa karne waale kayi aayaat maujood hain, ye dalaael dekhne ke ba'd bhi kya kisi ko ab bhi shak wa shubah baaqi reh sakta hai? Ek Kaafir hi Qur'aan ke aayaat par shak karega.

• Toh kya khayaal hai, kya Rasool Allaah (ﷺ) in tamaam aayaton par amal nahin karte the? Aye logo! Allaah se daro aur jis fitrat par tumhein Usne paida kiya hai uski taraf lauto. Allaah samajhne ki tawfeeq dey.

آمين يا المنّان بديع السموات والأرض يا ذا الجلال والإكرام يا حيّ يا قيّوم، وما عليّ إلا البلاغ، ولله الحمد والمنة وهو أعلم.

《 Muharrir: Abd Al Mudhill Hafizahullah》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)

_____________

References:


[1] Saheeh Al-Bukhaari: 5063.

[2] Soorah No. 16, Al-Nahl, Aayah: 123.

[3] Soorah No. 60, Al-Mumtahinah, Aayah: 4.

[4] Soorah No. 2, Al-Baqarah, Aayah: 105.

[5] Sunan Al-Nasaai: 4182.

[6] Saheeh Muslim: 519 - 366 - 215

[7] Soorah No. 9, Al-Tawbah, Aayah: 23.

[8] Soorah No. 58, Al-Mujaadalah, Aayah: 22.
 

Similar threads


Top