DEEN e ISLAAM KO GAALI DENE WAALE KA KYA HUKM HAI ?


DEEN e ISLAAM KO GAALI DENE WAALE KA KYA HUKM HAI ?

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

BIN BAAZ KA FATWAA

ما حكم من يسب الدين؟

:السؤال: الأخت صالحة محمد رزق الله من ليبيا بعثت برسالة ضمنتها جمعًا من الأسئلة تسأل عن حكم الذي يسب الدين والعياذ بالله؟ وترجو توجيه النصيحة جزاكم
الله خيرًا شيخ عبد العزيز


الجواب: حكم اللي يسب الدين عند أهل العلم أنه كافر، فالذي يسب الإسلام أو يسب الله أو يسب الرسول محمد ﷺ أو يتنقصه ويعيبه ويطعن فيه أو يسب الجنة أو يقول: إنها غير حقيقة أو ينكر النار ويقول: إنها غير حقيقة، كل هؤلاء كفار عند أهل العلم بإجماع المسلمين، فالذي يسب الرسول ويشتم الرسول أو يقول: إنه ما بلغ الرسالة، أو يقول: إنه يجهل بعض الأمور ما يعرف كل شيء جاهل أو عنده جهل أو مقصر في حق الله أو مقصر في البلاغ أو ما أشبه ذلك من الاستهزاء كله كفر أكبر وردة عن الإسلام نعوذ بالله، أو يسب الله ويتنقص الله أو يقول: إنه يجهل، أو يقول: إنه ظالم، أو يقول: إن شرعه ناقص، أو يقول: إن الإسلام غير صحيح أو إنه دين خرافة أو لا يجوز التزامه أو لا يجوز الدخول فيه أو لا يلزم كل ذلك كفر أكبر، نسأل الله العافية

والخلاصة أن سب الإسلام أو سب الله أو سب الرسل أو تنقصهم أو الطعن فيهم أو الاستهزاء بهم كله كفر أكبر عند جميع أهل العلم نسأل الله العافية، يوجب القتل.. يوجب على ولي الأمر ولي أمر المسلمين أن يأخذ هذا الشاذ وهذا المتنقص ويقتله على ردته عن الإسلام، أما إذا تاب فتوبته فيها تفصيل بين أنواع الكفر، والساب لله ولرسوله لا يستتاب عند جمع من أهل العلم؛ لعظم جريمته نعوذ بالله بل يقتل حدًا، أما أنواع الكفر الأخرى كدعاء الأموات والاستغاثة بالأموات والنذر للأموات وترك الصلاة هؤلاء يستتابون فإن تابوا وإلا قتلوا، نسأل الله العافية. نعم. المقدم: جزاكم الله خيرًا


Shaykh 'Abdul-'Azeez Bin 'Abdullaah Bin Baaz se sawaal kiya gaya:

SAWAAL: Libya se ek behen ne us shakhs ke hukm ke baare mein sawaal kiya jo Deen e (Islaam) ko gaali deta hai, Allaah ki panaah. Aur woh behen aapse naseehat wa rehnumaai ki talabgaar hai, Allaah aapko jazaaye khayr dey.

JAWAAB: Ahl e Ilm ke nazdeek woh shakhs Kaafir hai jo Deen e (Islaam) ko gaali dey. Jisne bhi Islaam ko gaali dee ya Allaah ko bura bhala kaha ya Rasool (ﷺ) ko gaali dee ya Rasool (ﷺ) ke nuqs (khaamiyaan) nikaaley ya Rasool (ﷺ) ke 'ayb nikaal kar ta'ney maarey ya Jannat ko gaali dee ya Jannat na hone ka da'waa karey ya Jahannam ke maujood hone ka inkaar karey, toh ye sab ke sab Ahl e Ilm ke nazdeek Kuffaar hai is par Muslimeen ka ijmaa' hai.

Toh jo bhi Rasool (ﷺ) ko gaali dey ya Rasool (ﷺ) ki tauheen karey ya ye kahey ke Rasool (ﷺ) ne paighaam ko nahin pohnchaaya ya kahey ke Rasool (ﷺ) ba'z cheezon se jaahil the ya Rasool (ﷺ) ke paas jahaalat thi ya Allaah ke haqq ke baare mein Rasool (ﷺ) ne kotaahi kee ya paighaam pohchaane mein kami wa kotaahi kee ya ye sab mazaaq ki tarah kahey, ye tamaam cheezen Kufr e Akbar hai (aur aisa shakhs Islaam se khaarij hai) aur Riddah 'an Al-Islaam (ya'ni Islaam se phhir jaana hai), Hum Allaah ki panaah mein aate hain. Ya Allaah ko bura bhala kahey hai ya Allaah ke nuqs (khaamiyaan) nikaaley ya kahey ke Woh (paak zaat) Jaahil hai ya Zaalim (Naa insaaf) hai ya Allaah ki Sharee'at (Islaami Qawaaneen waghairah) kaamil nahin hai (ya'ni adhoori hain) ya kahey ke Islaam saheeh nahin hai ya Deen behudah hai ya Islaam ka iltizaam karna jaayez nahin ya us mein daakhil hona jaayez nahin ya hum par woh laazim nahin hai ye sab ke sab Kufr e Akbar hai, hum Allaah se 'aafiyat ka sawaal kartey hain.

Khulaasah ye hai ke Islaam ko gaali dena ya Allaah ko bura bhala kehna ya Rasoolon ko gaali dena ya ye tamaam cheezon mein nuqs nikaalna ya ta'ney dena ya mazaaq udhaana sab Kufr e Akbar hai Ahl e Ilm ka ijmaa' isi par hai, hum Allaah se aafiyat ki du'aa ka sawaal kartey hain lihaaza Musalmaan Haakim par Waajib hai ke aisa karney waale shakhs ko Qatal karey usey pakdey aur Islaam se phhir jaane ke sabab usey Qatal kardey.

Jahaan tak uski Tawbah ka sawaal hai uski Tawbah qubool karney ke baare mein Kufr ki qismon ke sabab tafseel hai (kyunke Kufr ke darje hain shiddat ke lihaaz se), lihaaza Jo Allaah ko bura bhala kahey aur uske Rasool (ﷺ) ko gaali dey Ahl e Ilm ke nazdeek us se Tawbah nahin karaayi jaayegi kyunke aise shakhs ka jurm bohat azeem aur bada hai balke (agarche woh tawbah bhi karle uske baawajood) usko Qatal kiya jaayega.

Aur jahaan tak doosre Kufr ki qismen hain jaise murdon se du'aa karna, unse madad talab karna, unke liye mannatein maangna aur Naamaz ko tark kardena ye saari cheezon ke liye Tawbah karaayi jaayegi, Tawbah kar liye toh theek hai warnah Qatal kardiya jaayega. Hum Allaah se aafiyat ka sawaal kartey hain. Na'am

《 Mutarjim: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah 》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ )

Link: https://tinyurl.com/yaxpfrmt
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Masail 0

Similar threads


Top